Is article ka topic hai YouTube Marketing Kya hai ? Is Website pe apko Digital Marketing se related bahut se articles aur Videos mil jyenge, Jisse aap Digital Marketing se judi sari information le skate ho.
YouTube Marketing Kya hai ?
“Youtube Marketing” Marketing ka hi ek tarika hai, Jisme hum apne business ko YouTube par videos ke roop me promote karte hain, aur zyada se zyada logo tak apne business ke bare me batate hain, Isse zyada logon ko aapke business ke bare me pata chalta hai aur apka business zyada jaldi grow karta hai.
Aaj ke time me YouTube Google ke baad dusra bada search engine hai. Kiyunki ab bahut se log blog padhne se zyada videos dekhna zyada pasnd karte hain, Videos zyada interested lagti hai, To isiliye ab ke time me YouTube Marketing bahut achha tarika hai apne business ko badhane ke liye. Chaliye ab dekhte hain ki YouTube Marketing Kaise karenge ?
01 – Free YouTube Marketing :
Agar apko free me YouTube Marketing ka use karna hai to iske liye apke paas khud ka YouTube Channel ka hona bahut zaruri hai. Youtube Channel Kaise Banaye hindi? Khus ka YouTube channel create krne ke liye niche diye huye video ko b dekh skte hain.
YouTube Channel hone ke sath sath apko apne channel ko thoda famous karna bhi zaruri hai. Uske baad agr aap apne channel pe, apne business ke bare me videos banakar logon ko batayenge to apka business zayda jaldi grow karega. To ye kehlayega Free YouTube Marketing.
02 – Paid YouTube Marketing :
Paid YouTube Marketing 2 types ke hote hain : BY RUNNING ADS & PAID PROMOTION
- BY RUNNING : Isme aap apne business ko logo tak pahuchane ke liye YouTube par Ads chalate ho, Ads chalane ke liye apko Google Adwords par paise lagane padegen, Jisse apke business ke bare me logon ko pata chalega, Isme Ads chalane ke liye apko paise kharch karna padega.
- PAID PROMOTION : Isme aap apne business ki same category ke YouTube Channel ko search karoge, Aur us Channel ke owner ko paise dekar apne business ke promotion ke bare me bolege. Us channels ke paas already bahut sari audience hogi, Aur jab volog apke business ka video dekhnge to apka business grow krega. Isme apko channel ko paise dene padte hain, Taki vo apke biseness ke bare me logo ko bataye.
Ye thi YouTube Marketing ki details, agar aap YouTube Marketing se related video dekhna chahte ho to aap niche diye gye video ko dekh skte ho.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( YouTube Marketing Kya hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( Digital Marketing in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Digital Marketing Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap Digital Marketing se related videos dekhna chahte hain to aap hmare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Digital Marketing Kya Hota Hai
- Define Your Business & Target Audience
- Digital Marketing Branding Kya hai aur ye kiyun zaruri hai ?
- Website Kiyun Zaruri Hai Digital Marketing Ke Liye ?
- Email Marketing Kya Hai || Iske liye free tool kaun kaun se hai ?
- Facebook Groups Marketing Kya Hai? FB Group Marketing Kaise Kare?