Hi Guys, Previous article me hamne Digital Marketing Introduction aur Digital Marketing System ko samjha tha. aur aaj ham laye hai apke liye ek new topic. Jo apke business ke liye bhut important role adaa karta hai. Aaj ka hamara topic hai Define Your Business And Target Audience.
Define Your Business & Target Audience:
Ye ek bhut important part hai Digital Marketing Process ka, Isme ham ye dekhenge ki kis trah se humlog apne true Target Audience ko dhundenge. Hamne aapko asaani se samjhne ke liye iss topic ko 5 part me divide kra hai taake apko achhe se samjh aajae.
- Define Your Purpose
- Position Your Brand
- Unique Selling Proposition
- Personality
- Find Your Audience
1 : Define Your Purpose.
To guys, previous article me hamlog iss article ka introduction smajh chuke hai ki Digital Marketing System kia hota hai. To ab ham baat karenge Define Your Purpose ke bare me. define Your Purpose kia hai?
To hum baat kar rhe hain apne business ko define krne ki, Isme sawal ye hai ki hum kis Product, Brand, Ya service ko provide kar rahe hai? Aur hum kis trah se apne Audiences ke problems ka solution better way me de rhe hain. To sabse pahle hum janenge ki Problem kya hai ??Aur uska hamare paas solution kya hai?
For Example: Ek video school hai, Ab har kisi ke liye us school me jana, Aur jakr sikhna ye posibble nhi hoga, kisi ko schedule problem hogi, Kisi ko budget problem hoga. To ye ek problem huaa Audience ka, Ab iska solution kya ho skta hai hamare paas?
Agr hum unhe unke affordable charges pe course provide kar den to ye ek solution ho skta hai. Dusra ki High quality online course vo bhi unke hi place pe provide kara den, To unko schedule problem nhi hogi. Apke audiance ko skills learn krne ke liye school nhi jana pdega agar aap unhe ye sb unke place pe hi provide kar doge, Vo bhi affordable charges pe.
Mgr ab baat ye hai ki. Yeto bhut sare log sikha denge ki kisi bhi tool ko kis trah se use krna hai, Kis buttons ko kahan pe click krna hai, Kya kay options hain apke paas , lekin agr aap ye bhi sikhate ho ki kisi tool ko proper way me kaise use krnge, to ye ek alag solution hoga apka jo apko dusron se alag krega, Aur apke audience ko easy aur creative skills sikhne ko milega. To ye huaa apka Aim.
To ab hame krna ye hai ki apne business ka better solution dekhna hai. Har wo possible solution dekhiye jisse hamara business world me better place pa sake. Jisse apke audiens ko zyada se zyada fayeda mile aur aap unka bharosa le pyen. To ummed hai ki aaplog Define Your Purpose ko achhe tarike se samjh gaye honge.
2 : Position Your Brand.
Ab ham baat karenge Brand Position ki. Yahan pe ye understand karna bhut important hai ki hame kya chiz competition se alg krti hai, ham aisa kya services provide kar rhe hai apne audience ke liye jo dusron se hame alag kre. Aur ye position hi hame hamare Service, Product, Brand ko sell karne me help karegi.
Hamlog uper diye gaye same video wale example se aage bhi samjhte hai, To sawal hai ki kiya chiz hame compitition se alag karti hai? To iska jawab ho skta hai ki. hmara course world me available, Hamara course low cost pe available hai, Hmara course high quality me available hai, Hamara course bilkul easy way me aap sikh skte ho, Ekdm friendy way me jaise aap apne friend se baat kr rhe hon, us trah se aap hmara course sikh skte hain.
Hamare paas iske ek core reason hone chahiye ki kiyun aap ye business run kr rhe ho. To iska answer hai… Humlog logo ko padha rhe hain taki log new hobby ko enjoy kar paye, Humlog logo padhate hain taki log apna new career bana paen, Yafir apne career me aur advance ho jayen.
Agr ham in dono sawal ka core answer dete hai, To ye apke actual positioning statement me help krega. Jo bhi business hai hamara. Agr ham landscap business me hai, Yafir window cleaning business me hai, Chahe ham social media markting krte hai, ham koi bhi business krte ho, Usme apko in dono sawal ka core answer dena hoga.
3 :Unique Selling Proposition.
Ab baat krte hain Unique Selling Proposition ki, Ye hamre last topic ke trah hi hai magar thoda different hai. Isme hum smajhnge ki kiya chiz hume alag krti hain apne competition se? Ye question ka answer krne ke liye pahle hame janna hoga ki hamara competition kiske sath hai? kon kon si companies hmari similar combines hai. Jab hum ye jaan jayenge to hum asani se khud ko unique kar pyenge. Uske baad Hume audience ko aware karna hai ki Kiyun koi hamara hi product ya services choose kre compare to another company..
For example: Agr hum koi online course sikha rhe hain to, Online aakar kisi bhi, kabhi bhi, kahin se bhi, creative skills ko sikhaye, basic to advance. Hum jo online course provide kar rhe hain, wo more focused hai, more visually Creative hai, basic to advance course kar skte hain, Aur sabse importent hmara course hai wo more affordable hai campare to another onine course. Aur ye course krne ke liye apko kahin jane ki zarurat nhi aap apne place se kahin pe bhi, kabhi bhi, class le skta hain.
Yahan pe jo hume sbase alg krega wo hoga Basic to advance. Kyun ki bhut sare online publisher hai jo ya to basic course dalte hain, ya advance, hum agr basic to advance dalenge, To interesting aur different honge. To ab ham sochenge ki ham kyun different hai sabse? Aur iss soch ke sath start krenge apna unique selling position kyun ki agr ham jante hain ki ham kyun alg hai sabse to aap bhut aage badh skte apne business me.
4 : Personality.
Ab baat karte hai Personality ki, kyuki ek business ke roop me personality ki importance bhut badi hai. Hame samjhna hoga ki personality kya hai aur isko advantage ke roop me use kar sakte hai. Kyunki hamara personality hamare Target Audience se match karna chahiye.
Hame aeisi personality rakhni hogi jisse Target Audience relate hon aur connect hon. To hamari business personality kiya hai? hamari Voice, hamara style, hamara place. hamare voice se matlb hai ki. hamare words kiya hain, kaise ham apne words ko use kar rhe hain. Style mtlb. Kya graphics ham use kar rhe kiya content ham use ar rhe hain. ham casual hai ya professional hai, ham modern hain ya fir ham thoda old school hain.
Aur place ki ham kahan pe hain? kiya ham social media pe hain? social media me kahan pe hain. Facebook, Snap chat, ye sare ye sab hamare personality ke roop me aate hain,hamaree website se, hamare send kiye huye email se, hamare creative video se, aur hamare advertisements se jo hamne banye hain. To ye hoti personality.
5 : Find Your Audience.
To ab aap jaan gye hain ki hamari personality kiya hai, ham ye bhi jaan gye hain ki kiyun ham apne competition se alag hai, To chaliye ham apne Audience ki taraf ,Unpe thora aur focus karte hain. Sabse pahle ham kahan pe apne audience ko dhundenge? To chaliye isko is trh se smjhte hain..
Ajkal ke time me almost har kisi ke paas camera aur computer hai, Aur vo apne camera se videos photo shoot krte hain aur intersted hote hain hai new creative visual sikhne me. Tab hamare paas billions audience hogi, aur big audiense hona bhut hi achhi baat hai. mgr sometime ye bhut hard ho jata hai big audience me apne product ya services ko sell krna. To chaliye ab thoda dusre way me smjhte hain.
Ki agar koi bhi video banana chahta hai, Aur ham online course provide krwate hain aur sikhate hain video production ke bare me. Aur koi bhi videos banana sikhna chahta hai, chahe wo entrepreneurs ho, ya creative filmakers, wo sikh sakta hai na sirf video balke photo editing classes ya dusra koi design class bhi sikhna chahta ho to wo b sikh skta hai.
Chahe log fun ke liye sikhe, Ya apne skills ko improve krne ke liye sikhna chahte hon, apne business apne career me iska use krne liye sikhna chahte hon, ya fir YouTube Channel start krne ke liy sikhna chahte hon, yafir photography business ke liye karna chahte hon, Short time business ya full time business ke liye sikhna chahte hon sikh skte hain. humne ye isliye chose liya kiyunki hum logo ki help krna chahte hain.
Aur hum better tarike se logo ka help tabhi kar payenge jab hume logo ka problem logo ka pain feel ho pata ho,Hume kuchh bhi course provide krne ke liye customer ka pain point improve krna hoga. Customer ki feeling ko smjhna hoga, Agr aap customer ke pain ko smjh gye to hamne unke problem ko solve kar diya. Aur hamne aisa kar diya matlb apne apne audience ko target kar liya.
Jaise ki Photoshop, Primear Pro, Aftereffect ye sb bhut confusing hai khaas kar beginners ke liye. Kiyunki Ise open krte hi kitne sare log ise band kar dete hain, to ye huaa ek pain point. Dusra pain point huaa ki, kisi bhi tool ka use kaise krna hai ye problem nhi hai , uska properly kaise use krna hai ye major problem hai. To ye huaa customer pain. agar hamne ise pakar liya to apne apne audience ko target kr liya. To ye apne smjha Define Business & Target Audience.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Define Business & Target Audience ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( Digital Marketing in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Digital Marketing Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap Digital Marketing se related videos dekhna chahte hain to aap hmare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Digital Marketing Introduction
- Digital Marketing System
- Define Your Business & Target Audience.
- Digital Marketing Me Career Kaise Start Kare