Is article ka topic hai Video Marketing Kya Hai aur iske benefits Kya Hai? Is Website pe apko Digital Marketing se related bahut se articles aur Videos mil jyenge, Jisse aap Digital Marketing se judi sari information le skate ho.
Video Marketing Kya Hai ?
Apka jo bhi product ya service hai uske bare me ek chhota sa promotional video banana, aur use online media pe promote karna hi Video Marketing kehlata hai.
Aajkal ke time me kisi bhi product ki marketing ke liye video marketing ko tezi se apnaya ja rha hai, Aaj consumers tak pahuchne ke liye live streaming, Interactive 360 Video, Augmented reality ko janna marketing ka integral part ban chuka hai. Year 2018 Video Marketing ke liye ek Exciting year tha, Is dauran humne facebook par video trend ko tezi badhte huye dekha hai.
Yahan tak ki Google ne bhi search karne pe video content ko sabse upar dikhana shuru kar diya hai, Iska natija yeh huaa hai ki dusre social media sites ne bhi video content ko age badhne me pura sath diya hai.
Facebook, Instagram, Twitter, Linden etc. par badhte video content ke sath video advertisement ki nyi plans aur possibilities samne aayengi. Is terh se YouTube ka dekha dekhi me sabhi social media sities is direction me apna kadam rakh rahi hai. Jab Netflix ने mail-order video service ki shuruat ki to koai bhi ye nhi soch sakta tha ki age kya hoga ? Aur kuchh hi salo me Netflix videos material ka power house ban gya hai. Netflix ab sirf streaming service nhi raha balke ek established production studio ban chuka hai.
Netflix ke alawa Hulu, Amazon Prime, Hotstar jaisi services ane ke baad is possibility se inkar nhi kiya ja sakta hai ki ane wale time me internet video material Traditional television content ko pichhe chhod degi.
Video Marketing Ke benefits Kya Hai?
Agr baat kren Video Marketing Ke benefits ke bare me to main apko bata dun ki streaming services par advertisement karne ke kai sare benefits hain:
- Yahan pe advertisement karna other Other traditional means ki comparison me kam kharchila hota hai, In platforms ke liye advertisement content banan asan hota hai.
- Social media platforms ke ane ke baad video content na sirf banan easy huaa hai balke iski vajah se customer tak phuchna bhi easy huaa hai.
- Ye medium apko direct Customers ke samne lake khara kar deta hai, Jahan aap apne customer tak roz badi asani se phuch skte hain aur ek Community bana ke unhe influence kar skte hain.
20 saal pahle tak aisa koai platefrom nhi tha jahan pe ek sath itni big numbers me logo tak bina koai paisa kharch kiye phucha ja skae magr yeh platefrom nye ya chhote sare businessman ko bhi wahi chance deta hai jo kisi established ya bade brand ko yahan pe milta hai. Aise me aap yahan pe na sirf bade bade competitor ko competition de sakte hain, Balke use defeat bhi kar skte hain.
Ye smjha apne ki Video Marketing Kya Hai aur iske benefits Kya Hai? agar aap Video Marketing se related video dekhna chahte ho to aap niche diye gye video ko dekh skte ho.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article (Video Marketing Kya Hai aur iske benefits Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( Digital Marketing in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Digital Marketing Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap Digital Marketing se related videos dekhna chahte hain to aap hmare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Digital Marketing Kya Hota Hai
- Define Your Business & Target Audience
- Digital Marketing Branding Kya hai aur ye kiyun zaruri hai ?
- Website Kiyun Zaruri Hai Digital Marketing Ke Liye ?
- Email Marketing Kya Hai || Iske liye free tool kaun kaun se hai ?
- Facebook Groups Marketing Kya Hai? FB Group Marketing Kaise Kare?