Ajkal discussion ka matter hi yahi bana huaa hai ki SEO as a Career option India me sahi hai ya nhi, To chaliye aj isi topic pe discuss kiya jaye. SEO ka full form hota hai Search Engine Optimization, Joki ajkal bhut hi zyada zruri ho gya hai Digitakl Marketing ke liye. Ye India me ajkal tazi se popular hote ja rha hai. Apko bata dun ki SEO av India me well-trained me chal rha hai. Aur yahi reason hai ki SEO field me ek career opportunity banti ja rahi hai.
Almost sabhi business aur organizations chahe vo small ho ya big vo Google me top rank pe ane ke liye funding kar rahi hai. Ye sbse importent thing hota ja rha hai har e-commerce aur service website keliye. Hum is article me dekh rhe hain ki SEO as a Career choose kiyun karen, To chaliye ab ispe baat krte hain.
We Will Clear These Topics In This Article :
- Why choose SEO as a career option.
- SEO Job Profiles and Designations in India
- Some Cons of SEO as a Career Option
- How much can earn as a SEO.
Why choose SEO as a career option.
01- Importance of SEO: It’s a Need for Any Business :
Ajakl 80% log har roz Google surfing karte hain. Ek Company jo kuchh bhi sell karti hai chahe vo product ho ya services agr vo in audience ko neglect kar degi to vo fool hi hogi. To agra company in audience ko target karegi to unko Google ke 1st page pe ana hoga, Kiyunki koai bhi 1st page pe jo result ata hai usehi dekhta hai bhut kam ya kabhi hi Google ke dusre page tak jata hai.
To aise me Google ke 1st page me ana importent ho jata hai, Aur Google ke 1st Page me ane ke liye sirf SEO ( Search Engine Optimization ) hi work krta hai. Yahi reason hai ki harjagh SEO ki demand hai. Agr aap online marketing kar rahe hain to apko SEO ki zarurat padti hi hai.
02 : Bright Future Scope in SEO :
SEO India me hot career opportunity ke roop me rise ho rah hai. Log accept kar rhe hain digitization ko aur online competitions continuously increase ho raha hai. India me internet aur mobile users day by day increase hote ja rhe hain. Aur aise me SEO professionals puri demand me hain.
SEO sirf ek career option hi nhi hai balke ye ek aisa skill hai jo apko Digital Marketing me apna career build krne me genuinely help krega. Ajakl company SEO me zyada invest kar rahi hai other filed ke comparison me. Aap Internet Marketing industry me ab zyada opportunities expect kar skte ho work ke liye.
03 : A Career Where You Can Get Fame :
Yes ! Ye field apko fame bhi deta hai. Bhaut sare professionals jinhone SEO opportunities ko successfully practic kiya hai vo as a internet marketing/ Digital Marketing experts pure world me jane jate hain. Apne SEO industry me Rob from Blackwood Productions, Rand Fishkin from SEOMoz, Jill Wahlen logon ke naam to suna hi hoga. Yelog SEO experts me famous hai jinki SEO skills pure duniya me jani jati hai.
04 : Are You doing Web Designing?
Agr aap Web designer aur as a part of career ise aap continue karna chahte hain to be carefull ! Kiyunki ye zyada time work nhi krene wala, Ab aap soch rhe honge ki kiyun ? To Clients aur customers ab zyada intelligent hote ja rhe hain. Vo ab Google SERP ke value ko smjhte hain.
Ab apke har client apse SEO-friendly site expect krenge, SEO se apke payment me bui increase hoga. Agr aap indono me expert hote to ye apke career ko boost kar dega.
05 : SEO is the Future of Advertising or Marketing Professionals :
Internet ke penetration ne organizations ko puri trh se badal diya hai. To ab advertisers aur marketers ko digitally market improvement pe discuss krna hoga, To ab aise me marketing career ke liye SEO ki knowledge hona impotent ho jata hai.
SEO Job Profiles and Designations in India.
Ye keh skte hain ki SEO jo hai vo Online Marketing ka part hai. Lekin SEO me bhi apko bahut sare job profiles mil jyenge, Aap firstly kisi digital marketing company me as a Jr. SEO Executive work kar skte ho, uske baad advanced SEO techniques ke liye practic aur learn kar skte hain. Fir aap khud ko Sr. SEO Executive ban skte ho apne skills ko upgrade kar ke. Fir aap team leader ban skte ho. To is treh se yahan pe SEO me bhut sare job profiles available hain. Here are job profiles and designations if you choose SEO as a career :
- SEO Trainee
- Jr. SEO Executive
- Sr. SEO Executive
- SEO Analyst
- Link Building Expert
- SEO Consultant
- SEO Project Manager
- SEO and SEM Specialist
- Analytics Expert
- Digital Marketing Manager
- SEO Trainer
- Freelance SEO consultant
Some Cons of SEO as a Career Optio.
01 : Search Engines Algorithms affect SEO :
Search Engines algorithms hamesha apne algorithms ko change karte rehta hai. aur ye SEO ka sabse bada con hai. Ye changes kabhi bhi publicly show nhi hote hain, Search engine hmesha notifies krta hai changes ke bare me. Ye kaise hua hmesha secret rehta hai. Blke greatest SEO experts ye admit krte hain ki ye work kaise krega ye hmesha guess krte hain.
Har baar jab aap kuchh sahi karte hain aur jab algorithm change ho jata hai. To firse apko isko perfect banane ke liye alg planning karni hogi. Kai baar aisa hota hai ki apki site ki ranking ek raat me 100 se niche chali jati hai, Iska sbse worst part hai client ko smjhana, Qki vo apni girti rating se unsatisfied hote hain.
02 : SEO Has No Rule :
SEO ka dusra biggest drawback ye hai ki bhut baar hark work kar ke. Hra planned tactic ko follow kar ke bhi apko success nhi milti hai. Aur aap isme search engines pe sawal bhi nhi utha skte hain.
03 : Your Position Cannot Always be the same in SERP :
Aap hmesha Search Engine Result Pages me same rank pe position nhi pa skte. Agr aap kisi specific keyword se top rank pa rhae hain to apko sath hi apni position ko secur bhi krni hogi aur agr aap isme fail hojate hain to isse apko negative affect hoga kiyunki dusre blogs bhi usi keyword pe mehnat kar rhe hain.
04 : SEO Requires Patience :
Chahe aap SEO professionals hain ya client ya customers hain, Aap sabhi ko understand krna hoga ki SEO me bhut patience ki zarurat hoti hai. Aur main apko pahle bhi bata chuki hun ki isme continuous effort aur time chahiye.Isme apko kuchh mahine lag skte hain apne blog ya post ko kisi keyword pe rank krne ya backlink build krne me.
Halaki agr aap kuchh time ke liye apne blog pe optimization hold kr lete ho, to aap ratings aur rankings me significant drop experience krenge. Ek person jo sabkuchh chahta ho vo is field me survive nhi kar skta hai. Definitely apko bahut sare impulse aur patience ki zarurat hoti hai taki jab chizen worse ho jye to aap giveup na karen.
05 : The Ultimate Enemy: Blackhat SEO :
Ek honest SEO specialist ke liye biggest fear hai Digital Marketing ki duniya me black part. Ye apki most significant concerns bhi ho skta hai. Scam aur unfair to har jagh hota hai to isi tarh Search Engine Optimization me bhi hai, Good aur ethical Search Engine Optimization bhi isse suffer kar rhe hain. Blackhat SEO quite extensive hai.
Halanki, Ye sach hai ki search engines penalize hai black hat methods se lekin fir bhi SEO industry me ye major concern hai.
How much can earn as a SEO.
Sabse zyada jo puchha jata hia vo ye sawal hai ki, Ek SEO ki salary kya hoti hai ? Apko hairani ho sakti hai, Lekin SEO Experts lagbhag similar ya higher than engineers, developers, marketers (offline), designers. Ek SEO ki per month salary start ho skti hai 15 to 20 k per month se.
SEO ka ek plus point ye bhi hai ki aap bina 9 to 5 job kiye ghar baithe freelance job bhi kar skte ho. SEO freelancing site available hai aur vo apko WOW Salary pffer krte hain. Aap ek agr achhe SEO expert hoto aapko per hour $30 to $40 mil jata hai.
To is post se ab aap smjh hi gye honge ki SEO na sirf ek best career option hai balke apko every online business aur service ko run krne ke liye bhi SEO ki zarurat padegi.
Bus itna hi, Hame umeed hai ke aapko ye article ( SEO as a Career) informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.
Also Read:
- SEO (Search Engine Optimization) kya hai?
- Google Search Engine Kaise Kaam Karta Hai?
- 2019 Me SEO Campaign Kaise Start Kare
- Mobile SEO Guide
- Apni Website Ka SEO Audit Kaise Kare
- Best WordPress SEO Plugin