Jab aap email ka use kisi bhi marketing ke purpose se karte hain to use hi Email Marketing kehnte hain. Email Marketing Kya Hai? Ye kaam kaise karta hia, Ise liye free tools kaun kaun se ate hain, Insab ke bare me hum detail me baat krnge is article men.
We Will Clear These Topics In This Article :
- Email Marketing Kya Hai ?
- Email Marketing Kyu Use Karte Hai ?
- Email List Kaise Build kare ?
- Subscribers ko kab aur kya bheje ?
- Email Marketing Karne Ke Tarike.
- Email Marketing Ke Tools.
- Beginner Email Marketing me Shurat Kaise Kare ?
01 : Email Marketing Kya Hai ?
Kisi bhi tarh ke marketing me jab email ka use kiya jata hai to use hi Email Marketing kaha jata hai. Chuki email marketing ke liye apke paas dusre logo ki email id honi hi chahiye tabhi aap un logo ke paas apne services, blog, product ke bare me information de paaoge.
02 : Email Marketing Kyu Use Karte Hai ?
- Product Launching : Iska use hum kisi product launching ko logo tak pahuchane me karte hain.
- Product Information : apne product ki jankari ko logo tak pahuchane ke liye karte hain.
- Blog Information : apne blog ko logo tak pahuhane ke liye, Uski jankari dene ke liye karte hain.
- Target Traffic : Apne blog pe target traffic lane ke liye karte hain.
- Sells Growth : Apne product ki sells me growth lane ke liye karte hain.
- Course Advertise : Online course ka advertise karne ke liye bhin karte hain.
Is trh se Apne blog ya apne services ka advertise karne ke liye apke paas zyada se zyada number me email list honi chahiye agr apke paas email address list nhi hogi to aap email kisko bhejnge ? Aur email marketing kaise klarnge ? To chaliye ab dekhte hain ki humlog email marketing karne ke liye kis tarh se email list ko build karenge ?
03 : Email List Kaise Build karenge ?
Aap apne website pe email box set kar sakte hain, Jisse koai visitor ata hai apke website pe aur use apka content achha lgta hai to vo apke email box ko subscribe kar ke appna email dega. Agr aap ek blogger hain to aap jaisehi apni blog ki shuruaat kijye tabhi aap email subscription box ka use karen, isse koai visiter apke blog par ata hai, aur use apka blog post pasnd ata hai, to vo zarur apke email subscription box ka use karega, aur vo apna email apko dega taki aap apke new post ki information use email me mil jye.
Jab tak apke paas ek achha email list nhi hai tab tak aap email marketing me sucess nhi pa skte hain, Jab bhi apke paas email ki achhi list ban kar ready ho jyegi tabhi aap email marketing kar skte hain.Subscribers ko kab aur kya bheje ?
04 : Subscribers Ko Kab aur Kya Bheje ?
Chunki Email Marketing ka trend badhta ja rha hai aur isme sabhi company ko fayeda bhi mil rha hai, To ye bhut zaruri hai ki agr hum email krenge to kab kren aur kaya bheje. For Example : Agr aap ek blogger hain to sabse pahle aapne subscriber ko welcome aur thanks email aur fir jab bhi aap koai new blog post publish kijye to uska brief description apke blog post link ke sath apne subscriber ko bhej dijye. To jab apke bheje gye email ko apka subscriber dekhega to vo apke link pe click krega jisse apke blog page ka views badhega.
05 : Email Marketing Karne Ke Tarike :
Newsletter- Newsletter ek magazine types sa hota hai. Jo aap apne subscriber ko monthly ya daily apne new products, services ya fir new blog post ke bare men us newletter ke through btate ho mail send krke.
Jaise kai bar aapne dekha hoga ki flipkart ya amazon pr jb new sale lgti hai to ek magazine types sa mail aapko aata hai, Wahi Newsletter ka example hai aap upper image mai bhi dekh pa rhe honge. Newsletter ka istemal krne ke liye aap mailchimp or SendGrid tool ka istemal kr skte ho.
Drip Marketing- Drip marketing ek tarika hai regular basis par email send krne ka. For example agr maine apne website pr koi free course offer kiya hai or aap us form ko fill krte ho to usi din se aapke pas mail aane shuru ho jate hain or wo lgtar aate rhte hain. yahi drip marketing hai.
Jaise Aweber ek Email marketing platform hain jaise hi aap unke sath apni website ko connect krte ho to aapke subscriber ke pas automatically aapke free course se related mails send krte hain or aapko lgta hai ki koi person aapko personally mail kr rha hai. Lekin ye sb un email marketing platform ke jariye hota hai.
One to One email Marketing- Email marketing ka sbse badiya tarika yahi hai aap phle kisi person ke bare mai kuch search kr lo or fir use personally apne product se related mail send karo.
For example : aap ek technology blogger hain or aap mobile ka review krte hain ya unke bare me btate hain to, Ab agr koi mobile company ke log apke bare mai phle search krte hain or uske bad mail ke zariye khte hain ki aap bahut badiya tari ke se review dete hain or jo bahut helpful hoti hain, or eske bad fir aap apne product ke promotion ko lekar likhte hain to ye best tarika hai business development ka. Aapko sirf apne product ke bare me sirf mail hi nhi likhna hai blki phle samne wale ke bare me search kr lena hai fir use apne product ke promotion ke liye khna hai.
06 : Email Marketing Ke Tools :
- Mailchimp- Agr aap free mai starting me email marketing apne blog pr shuru krna chahte ho to mailchimp aapke liye best hai. Kyonki first 2000 subscriber ke liye mailchimp ka use aap free me kr skte ho.
- SendGrid – Newsletter email marketing ke liye SendGrid ka bhi aap istemal kr skte ho ye bhi free tool hai.
- Aweber – Aagr aap human behavior ke hisab se unhe email send krna chate ho or apne product ko promote krna chate ho to aap Aweber ka use kr skte ho.
07 : Beginner Email Marketing me Shurat Kaise Kare ?
Agr aap nye hain aur aap email marketing karna chahte hain, Aur aap thoda confused hain ki aap kahan se shuru kren to apko niche diye huye steps ko follow kar ke email marketing ko shuru kar skte hain :
- Apne blog ya website pe email subscription box ka widget zarur lagye aur social media se bhi apne friend list se apne email list ko build kijye.
- Starting se hi apne visitor ya subscriber ko email update bhejna start kar dijye, Lekin is baat ka dhayan rahe ki apka bheja gya email annoying na ho.
- Starting ke dino me aap ise khud se free tarike se karne ki koshish kijye jaise ki gmail id se aap ek din me 500 emails bhej skte hain.
- Jaise jaise apko email marketing ka benefits dikhe aap kisi premium email tool ya service ko apne email marketing ke liye use kar skte hain.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Email Marketing Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( Digital Marketing in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Digital Marketing Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap Digital Marketing se related videos dekhna chahte hain to aap hmare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Digital Marketing Introduction
- Digital Marketing System
- Define Your Business & Target Audience.
- Digital Marketing Branding Kya hai aur ye kiyun zaruri hai ?
- Website Kiyun Zaruri Hai Digital Marketing Ke Liye ?