Google hamare content ko acche se parh ke analyze kar sakta hai. Google “consulting” “consulting”aur “consultant” jaise word ko similar hi samajhta hai. Iske sath hi Google ye bhi samjhta hai ke baby aur babies basically same hai. Keyword stemming ye process hai jiski help se Google different words ke form ko same samjhta hai.Ye aapko freedom deta hai ke aap apna text likhte waqt different words ke form ka use kar sakte hai, jise Google root word hi samjhega. To is post me hum baat karenge ke keyword stemming kya hai aur ye kaise kaam karta hai.
Keyword Stemming Kya Hai?
Stemming ya keyword stemming Google ki ek aisi ability hai jiski help se Google kisi khas search query ke different word forms ko samajhta hai. Ye root word ko leta hai aur same information dene wale variation ka pata lagata hai. Jaise agar root word “run” hai to iske variation word jisko Google recognize karega wo “ran”aur “running” ho sakta hai.
Google lambe time se keyword stemming ka use apne algorithm me kar raha hai. Google ki search intent aur context ko samjhne ki ability ek aise technology hai jise pichle kuch saalo me Google ne lagatar behtar banane ki koshish ki hai.
Aur Google ki ye ability keyword aur uske variations ko pahchanne me help karta hai, aur ye samajhta hai ke search kiye jane ke dauran root word aur uska variation aapke content me same context me use kiya ja raha hai.
Keyword Stemming Aur SEO
Google pahle ke comparison me ab kafi smart ho gya hai. Ab ye text aur uske context ko samjhne laga hai. Agar aap apne content ko Google ke first page pe dekhna chahte hai to aapko jis topic pe aap rank karna chhate hai to aapko ek zabardast content likhna hoga.
Agar aap apne content me keyword ko stuff karte hai to aise content ab rank nahi karte hai. Google aur aapke user bhi aise content ko pasand nahi karte hai.
Aapko apne content ko user ke liye pleasant banane aur ise easily rank karne ke liye apne content me synonyms aur related keywords ko add karna chhaye.
Aapko apne content ko parhne ke liye aasan banane ke liye different word forms ka use karna chahye. Aur stemming ki help se Google aapke different word forms ko same keyphrase samajhega.
Aapko Keyword Stemming Ka Use Kab Karna Chahye?
Agar aap sahi dhang se keyword stemming ka use karte hai to ye aapke content ko original keyword ke variation ka use karne pe aur zyada searchable bana deta hai.
Zyada traffic generate karne ka potential hone ke bawajood kuch aise cases hai jinme agar keyword variant sahi dhang se fit nahi hota hai to keyword stemming aapke traffic ko nuksan pahncha sakta hai.
Niche kuch factors diye gaye hai jinhe aapko apne content me Keyword Stemming karte waqt dhyan me rakhna chahye:
1. Kya Ye aapke content Me Fit Ho Raha Hai
Keyword Stemming ka jo sab se important aspects me se ek ye sure karna hai ke kya aapka variant keyword aapke original keyword ke context me fit hai ya nahi.
Agar aap context ko change kar detet hai to Keyword Stemming ka sara maqsad khatm ho jata hai, aur is se aapke content ek jaisa effect barqarar nahi rahta hai jiski wajah se ye aapke user ko confuse bhi kar sakta hai.
Example ke liye jaise aap dekh sakte hai ke “football” aur “footballer” do alag chizen hai, ek ka matlab khel hai jubki dusre ka ek athletes jo khel me bhag leta hai. Iska matlab hai ke agar hum aise out of the context words ka use karenge to ye hamare content ko bahut zyada affect karne wala hai.
2. Kya Variation Original Keyword Se Related Hai?
Keyword variation ke use peche hamara main goal zyada se zyada organic traffic gain karna hai, taki hum apke search kiye jane ke zyada opportunity create ho sake. Lekin agar ap apne main keyword me sufix aur prefix laga kar uske meaning ko completely change kar denge to apke keyword variation ki meaning completely change ho jayegi. Aur ek ghalat keyword variation kause karne ki wajah se aapki sri mehnat bekar ja sakti hai.
Google apne Keyword stemming feature me lagatar improvement kar raha hai, jiski wajah se search engine user context ko pahle se kahi zyada behtar dhang se smajh raha hai. Ye search engine ko user intent ko behtar dhang se smajhne me help kar raha hai taki wo user ko sahi search results tak le ja sake.
Ummid hai aapko ye article (Keyword Stemming Kya Hai?) informative lagi hoaa. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read: