Snippet ek search result ke set me se ek single search result hota hai, isme usually page ka title, URL aur description hota hai. Snippet ke content search query ke kisi part se match karne pe apko snippet description me apna keyword highlighted dikhta hai. Snippets ke description ke liye search engine aksar apke content ke kuch part ka use karta hai. most cases me search engine aapke liye best possible snippet ko select karta hai, lekin aap apne override karne ke liye apna khud ka meta description page pe add kar sakte hai. Is post me hum aapko detail me batayenge ke snippet kya hai?
Snippet online real estate ka sabse valuable piece hai. Ye aapke site ka doorway hai aur aapko ise jitna ho sake utna zyada attractive banana chahye.
Aapko logo ko apne link pe unhe mislead kiye bina click karne ke liye attract karne ki zaroorat hai. Search engine aapko option deta hai ke ye snippets kaise dikhenge ise aap decide kar sakte hai. Yaha tak ke Google ke John Mueller ne bhi apna khud ka meta description dalne ke liye kaha hai.
Regular Snippets, Rich Snippets, And Featured Snippets
Is article ke starting me aapne jis snippet ke screenshot ko dekha tha wo regular, static snippet hai, lekin snippet me bahut variation paye jate hai. Search engines particular result ko different ways me search results pages pe highlight karta hai.
Ab hum alag alag form me rich results ko dekhenge. Rich snippets regular snippets hote hai jisme zyada information hota hai jaise product details, availability, reviews aur bahut sari chizen.Ye normal Google results hi hote hai jisme additional data display hota hai.
Yahan pe ek search term ke rich snippets ka example diya gaya hai.
Jaisa ke ap dekh sakte hai ke rich snippet normal snippet ke comparison me zyada eye-catching hai jo higher organic CTR ka reason ban sakta hai.
Google apke page ke HTML me Structured Markup (jaise Schema) se rich Snippet data milta hai.
Bahut sare logo ka manna hai ke Structured Data hamare search engine rankings ko improve karta hai. Lekin Gogle ne is bat ko confirm kar diyta hai ke ye ek ranking signal nahi hai.
To is liye rich snippet abhi ke liye sirf hamare click-through-rate ko hi increase kar sakta hai.
Dusre type ka snippet featured snippet hai. ye ek naye tarah ka result hai jo search results page ke top me appear hota hai, yaha tak ke first organic search result se bhi pahle zero position pe.
In featured snippets ke content un pages se ate hai jo poche gaye question ke answer ko apne page me specify karta hai. Aap agar apne content ko features snippet me dekhna chahte hai to apko ise earn karna parega. Apne content ko features snippet me rank karne ke liye ap hamare is article ko follow kar sakte hai.
“keyword research kya hai?” is search term ke liye Featured snippets ka example:
SEO Title Aur Meta Description
Jaisa ke humne aapko pahle hi bataya hai ke search engine kabhi kabhi snippets me use karne ke liye aapke site se khud hi pick kar leta hai. Iske sath hi Google aapko ye option bhi provide karta hai ke aap apne snippet ko jaisa chahte hai waisa appear kare.
Aap apne page ke mata description ko edit kar sakte hai. Meta description aapke content ka ek short text description hota hai jo aapke page ko searchers aur search engine dono ke liye attractive banata hai. Meta description aur Tittle ke liye aap is article follow kar sakte hai.
Snippet preview in Yoast SEO
Yoast ka ye snippet preview aapko ek accha idea dega ke aapka ke search engine me aapkapage ya post kis tarah ka dikhega.
Aap yaha pe ye dekh sakte hai ke aap SEO yoast ki help se apne page tittle aur description ko change kar sakte hai. Description field me us content ko add kar sakte hai jise aap chahte hai ke Google use kare.
Ummid hai aapko ye article (Snippet Kya Hai?) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- SERP Kya Hai?
- Specific Keyword ke Liye Google search Ranking Ko Improve Kaise Kare
- SEO Optimize Article kaise likhe