Hi Guys, Aaj ka hamara topic hai Digital Marketing Branding ( What is branding in digital marketing ) Previous articles me hamne jo topics clear kiye vo hain Digital Marketing Introduction Digital Marketing System aur Define Your Business & Target Audience. Ye articl hai Digital marketing me branding ke bare me, Specifically brand ke graphics ke bare me, Ye ek alag important section hai apke digital marting ka. kiyunki aap apne brand ko grow krne ke liye bhut sare graphics ka use karte hain, To jab aap apne brand ke liye graphic choose krenge to kin kin baton ka khayal rakhna hai yahi dekhnge aaj humlog.
What is Branding in Digital Marketing ?
Digital marketing me bhut sare visuals aur graphics ka use krte hain apne products aur services ko sell karne ke liye. To isme ek solid brand identity hona bhut important hai. So Brand Identity ka matlb kya hai yahan pe :
- Visuals,
- Look,
- Style,
Ye jo apke Visuals, Look, Style, hai ye apke audience ke samne ayenge, Apke Logo, Website, Storefront, In-store design, Staff uniforms, Advertisements, business card se jo aap apne business me use kroge.
Vo sare images, vo sare fonts, jo apne use krte hai, vo sare colour jo aapne brans ke liye choose kiye hain. Yahan pe apke liye best advice hai Simplicity. Jitna zyada ho ske apne chizon ko simple rakhiye. Colour me bhut zyada colour mat pick kijye apne brand ke liye. Font me bhi same aisa font use kijye jo simple ho, easy to read ho. Apne ye to suna hi hoga ki Simplicity Is Key To Making Your Brand Win.
Ek common mistake jo aksar log karte hain vo ye hai ki most of the time log sirf Logo ke hi bare me sochte hain, aur sirf usi pe dhayan dete hai magr aisa nhi hai, Branding ka mtlb sirf logo se nhi hai balke us har design elements se hai aap apne business ke liye use kijyga, us har chiz se hai jisse log visually engage rahe apke company me jaise business card, letterhead, postcard , email blast everthing.
Kisi bhi company ka success sirf uske sales pe depends nhi karta hai, balke ye yahan pe brand recognition bhi bahut zyada importent hai, For Example : Simple logo bhut hi best lagte hain, Aur bade bade brands apna logo bhut hi simple rkhte hain. Nike, Apple, Netflix, Cocacola insab ka logo apne dekha hi hoga, Apne brand me simplicity rakhna important hai.
Simplicity apke success ka key hai is baat ka dhyan rakhen brand create krte waqt, Ye apko memorable bnayega aur aap apne audience ko clear message phuchne me kamyab rahoge, Ek baar apne trust build kar liya, Ek baar apne inspiration environment bana liye aur emotional connection bana liya apne audience ke sath to vo apko kabhi nhi bhulenge. To ye humne smjha ki Digital Marketing Branding Kya hai aur ye kiyun zaruri hai aur digital brand strategy kya honi chahiye. (What is Branding in Digital Marketing, What is digital brand strategy)
Chaliye ab kuchh Free tools ko dekh lete hain. Sabse pahle Color ke liye baat krte hain.
Free Tools To Help Choose Colors :
- AdobeColor CC – Aap AdobeColor CC ek quality color wheel tool hai, Jo various color rule ke sath work karta hai, Sath hi apko custom option bhi mil jyenge, Ye different hex aur RGB codes bhi batat hai, Is tool se Apne according ek sath 5 colour pics kar skte ho circle ki help se, har colour ka apko code bhi mil jyega.
- Coolors – Colors apko images ke sath quick drag aur drop kr ke colors lene deta hai, Agar apke paas koai graphic ya photo hai to aap yahan pe dekh skte ho ki apke design me kaun sa colour work krega.
Free Tools To Help Choose Font :
Waise to apko computer me already fonts mil jate hain pad apko kuchh uniqe font ki zarurt pregi apne brand ke liye to aap in free tools se le skte hain.
- dafont.com : Ye tool apke personal use ke liye free hai, Personal design ke liye yahan se aap font le skte hain.
- Font Squirrel : Commercial use ke liye aap is tool ka use kar skte hain aur jo bhi font apko achha lage apne business ke liye to aap use yahan se le skte hain.
Free Tools To Help Choose Stock Images :
Ye tools se aap free stock images le skate hain, Jo apko apki website, Poster, Brochure, Banner, Mailer, Advertisements, Business Card etc banane me use kar skte hain.
Ye sare free tools hain jo apko free stock images de denge. In sab free resource ka use aap designg me kar skte hain, aap apne desighn ke lie Photoshop ka use kar skte hain. Agr apko photoshop ata hai bhut achha hai nhi to aap sikh lijye, bhut se online course already hain YouTube pe. Niche diye huye video pe click kar ke bhi aap photoshop sikh skte hain. Is video me Complete Photoshop Course hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( What is digital brand strategy ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( Digital Marketing in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Digital Marketing Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap Digital Marketing se related videos dekhna chahte hain to aap hmare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Digital Marketing Introduction
- Digital Marketing System
- Define Your Business & Target Audience.
- Digital Marketing Me Career Kaise Start Kare