What is Windows?
Windows operating systems ka ek series hai jise Microsoft ne develop kiya hai. Ye ek graphical interface element hai jiska use application ke content ko display karne ke liye kiya jata hai taki user content ko dekh sake aur interact kar sake. Pichle do decades se widows personal computers PCs ke liye sab se zyada use kiye jane wala operating system hai.
Windows ne graphical display aur organized information ki help se computer ko user-friendly bana diya hai taki ise easily accessed kiya ja sake. Windows me icons aur tools ke use se computer ka complex operation bhi simplify ho gya hai. Estimates ke according 90% personal computers me Windows operating system ka use kiya jata hai.
Microsoft ne 1985 me windows ko introduce kiya tha. Windows home editions ke pichle versions me Windows 3.0 (1990), Windows 3.1 (1992), Windows 95 (1995), Windows 98 (1998), Windows Me (2000), Windows XP (2001), aur Windows Vista (2006) Windows 8 and 8.1 aur windows 10 shamil hai. Windows ka current version Windows 10 July 29, 2015, me release hua.
Windows ko standard x86 hardware pe run karne ke liye design kiya gya hai jaise ki Intel aur AMD processors. Is liye ise Dell, HP, aur Sony computers ke sath sath home-built PCs jaise kayi hardware brand pe install kiya ja sakta hai. Haal me aaye huye windows me touchscreen feature bhi diya gya hai, jo operating system ko touchscreen displays ke sath computer aur tablet pe bhi run karne ki facility provide karta hai.
Window pahle Apple Macintosh ke hisse ke form me general use me aaya tha. Bad me Microsoft ne apne is idea ko Windows operating system ka base bana diya.