Windows keyboard shortcuts windows operating system me kuch aise key ya set of keys ka combination hota hai jiski help se hum mouse se kiye jane wale kaamo ko keys se kar sakte hai. Shortcuts hame computer programs ko use karene ka ek easier aur quicker method provide karte hai. Ye commands commonly Alt key, Ctrl, aur Shift key ko kisi ek letter ke sath combine kar ke use kiya jata hai. To dekhte hai Windows keyboard shortcut keys ki list ko.
Windows keyboard shortcuts
Alt+Tab
Is shortcuts ki help se aap Windows me open applications ke beech switch kar sakte hai. Aap same time me Alt+Shift+Tab press kar ke direction ko reverse kar sakte hai.
Ctrl+Tab
Is feature ko support karne wale application me is shortcut ka use kar ke program groups, tabs, or document windows ke beech me switch kar sakte hai. Aap same time me Ctrl+Shift+Tab press kar ke direction ko reverse kar sakte hai.
Alt+double-click
Windows 95 aur uske later version me aap Alt+double click press kar ke object ke properties ko display kar sakte hai. Agar aap kisi bhi file ya folder pe Alt+double click press karenge to us file ya folder ki property open ho jayegi.
Ctrl+Alt+Del
Is shoertcut ki help se Windows ke later version me locking computer, switching user, Task Manager jaise Windows option screen open kare. Agar aap Ctrl+Alt+Del multiple times press karenge to aapka computer reboot ho jayega.
Ctrl+Shift+Esc
Windows 2000 aur later version me Task Manager ko open karne ke liye Ctrl+Shift+Esc press kare.
Ctrl+Esc
Windows ke zyadatar version me window start menu open karta hai. Windows 8 me ye start screen open karta hai aur Windows 3.x me Task Manager open karta hai.
Alt+Esc
Windows 95 aur later version me Taskbar me open applications ke beech switch karne ka kaam karta hai.
Alt+Spacebar
Windows 95 aur baad ke version me current open window program ke liye window control menu ko niche drop karta hai.
Shift+Del
Windows 95 aur later version me kisi bhi file ya object ko Recycle Bin me dale bina permanently delete karta hai.