What is CorelDraw?
CorelDraw vector graphic design ke liye design kiya gya ek software program hai. Is Application ko Corel Corporation ne develop kiya hai. Coral software industry ki ek well-known company hai. Ye software ek robust graphics suite hai jo image ko edit karne ke liye users ko bahut sare options provide karta hai jinme contrast adjustment, color balancing, special effects jaise feature shamil hai.
CorelDRAW ko January 1989, me develop kiya gya tha, ise khas kar windows operating system ke liye design kiya gya hai.
Microsoft Windows 3 ke liye CorelDRAW develop kiya gya tha, Aur ab ye Windows XP, Windows Vista, Windows 7, Windows 8 and Windows 10 pe run karta hai. Iska latest version 11 April 2018 me release kiya gya hai.
macOS and macOS X, ke liye iske versions ko release kiya gya tha par in versions ke poor sale ki wajah se inhe continue nahi kiya ja saka.
CorelDRAW ka use logos, signs, vectorize images or new fonts ko create karne ke liye kiya jata hai. Aur sabse khas baat CorelDRAW ki help se aap small size me design kiye gaye file ko high quality me print kar sakte hai. Graphics design industry me is software ka bahut zyada use kiya jata hai.