Android version ka use Android Operating system ke various updates ko describe karne ke liye kiya jata hai. Abtak Android ke bahut se updates aa chuke hai. Har naye update me Android kuch naye aur useful features ko le kar aaya hai, aur pahle se bhi kahin zyada powerful aur user-friendly ban gya hai. Yahan pe Android ke updates ka ek snapshot diya gya hai jo abtak release ho chuke hai. To aaeye dekhte hai Android versions lists ko
Version 1.0/1.1 – September 2008
Android ka pahla version HTC G1 ke liye release kiya gya tha. Jisme synchronization ke sath sabhi basic feature (search, mail, contacts, calendar, etc.) shamil the. February 2009 me version 1.1 ne message me attachment ko save karne ki capability ko add kiya gya.
Cupcake 1.5 – April 2009
Cupcake 1.5 me wedget support, jaise home screen par App me search box, virtual keyboards, MPEG-4 video aur YouTube/Picasa uploading jaise feature shamil huye.
Donut 1.6 – September 2009
Search ko expand kar ke bookmarks aur history feature add kiya gya, more camera integration feature add hua, OS ke reboot errors ko fix kiya gya aur navigation feature ko shamil kiya gya.
Eclair 2.0/2.1 – October 2009
Is update me Microsoft Exchange mail, SMS aur MMS messages, aur browser me HTML5 ke support ko include kiya gya. Iske sath hi kuch camera features jaise flash, zoom and white balance ko bhi add kiya gya.
Froyo 2.2 – May 2010
Is update me Bluetooth hands free, push notifications, Wi-Fi hotspot functionality aur greater screen resolution jaise support ke sath hi Better Microsoft Exchange aur Android Market integration ki facility aayi.
Gingerbread 2.3 – December 2010
Is update ko Samsung Galaxy Nexus S pe introduce kiya gya jisme
VoIP, enhanced copy/paste, front-facing camera, AAC audio, near field communication (NFC) aur screen ke liye WXGA aur higher resolution jaise update shamil the.
Honeycomb 3.0 – February 2011
Ye update joke ek tablet version tha ise Motorola Xoom pe introduce kiya gya tha. Is update me System Bar, Action Bar, Redesigned keyboard, multicore processors, Security improvements, Microsoft’s Media Transfer Protocol jaise support shamil kiye gaye.
Ice Cream Sandwich 4.0 – October 2011
Is update ko Samsung’s Galaxy Nexus pe introduce kiya gya joki Gingerbread and Honeycomb versions ka combination tha. Facial recognition unlocking, resizable Widgets, Wi-Fi Direct, NFC data transfer aur back button aur home screen ke badle touchscreen keys jaise feature shamil the.
Jelly Bean 4.1 – August 2012
Is update me automatic information ke liye Google now, smooth experience ke liye project butter, Offline Speech Recognition, improved camera, predictive keyboard, aur Voice Search jaise feature ko shamil kiya gya.
Jelly Bean 4.2 – November 2012
Is update me zyadatar support tablets ke liye the jisme panoramic photo mode, TV pe direct wireless transfer ke liye Miracast, Gesture typing, predictive text jsie support shamil the.
Jelly Bean 4.3 – July 2013
Parental control ke liye Restricted profile, Bluetooth smart ready, dialup auto-complete, Notification access, Game ke liye OpenGL ES 3.0 graphics standard, different language ke liye Keyboard & input jaise support shamil the.
KitKat 4.4 (formerly Key Lime Pie) – October 2013
Slicker aur polished interface ke sath is update me bahut se changes aaye jaise instant messaging, photo editing, full-screen display mode, 1GB se kam Ram wale purane phone ke liye support aur voice search ke liye ‘OK’ google feature.
Lollipop 5.0 – December 2014
Is Android version me Material Design support diya gya joki ek redesigned user interface tha, Java Dalvik runtime engine ko Android runtime engine se replace kiya gya, jo ARM, x86 aur MIPS CPUs ke liye cross-platform support karta hai, Personal aur business App ko separate karne ke liye Enterprise feature diya gya, device ko unlock karne ke liye passcode feature, aur mobile ke compromise hone pe data ke chori se bachane ke liye encryption feature diya gya.
Marshmallow 6.0 – 2015
Is update me Android Pay mobile payment system, standardized fingerprint support, Google cloud me automatic data backup, Google Now me user ke liye context awareness, aur internal storage me SD card integration, Lock screen se Google Now voice search feature, Doze Mode, aur better App permission option jise user jub chahe band kar sakta hai jaise feature aaye.
Nougat 7.0 – 2016
Multi-window view, switch between Apps, high-quality VR, battery life ko save karne ke liye Doze mode, Notification me Direct Reply, Customised Quick Settings, same time me ek se zyada language support, Java open source runtime version ka Apache Harmon se replacement jaise update aaye.
Oreo 8.0 – 2017
Android Version 8 me battery life aur performance me improvement ke liye App ko Background me limit karne ka feature update kiya gya hai. Notification aur AutoFill pe zyada control ke sath do App ko ek sath dekhne ki facility, high-quality Bluetooth codecs, nazdeeki Wi-Fi awareness jaise feature update huye hai.
Pie 9.0 – 2018
Is Android Version me bahut saare enhancement aaye hai. Jise Adaptive feature jo learn karta hai ke aap apne phone ko kaise use karna chhate hai taki jin Apps aur services ka aap use nahi kar rahe hai wo aapke battery drain hone ka reason na bane aur aapke phone ka brightness automatically adjust ho sake.Is update me aap aage kya kar sakte hai ye predict karne ki facility ko add kiya gya hai. Slices ki help se aap App ke relevant part ko dekh sakte hai aur button ki jagah gesture ka use bhi kar sakte hai.
Multiple aur external camera support ke sath hi kaam ke liye App ko visually separate kiya ja asakta hai. 5 blutooth device connect kiye ja sakte hai aur incoming call ko alag alag volume level ke sath un sabhi ko send kiya ja sakta hai.