Guys aajke waqt me hum sabhi mobile se videography karte hain, Video and camera ki quality high hone ki wajah se video file ka size kafi increase ho jaata hai, Aise me agar hume us video file ko kahin bhejna ho ya social media platform par share karna ho to hume kafi pareshani hoti hai. To chaliye jaante hain Video file size kaise reduce kare.
Android ki sabse khaas baat ye hai ki har chiz ke liye hume koi na koi app mil jaata hai, video file size ko reduce karne ke liye bhi kafi saare apps available hain. Unme se ek app main aapko suggest karna chahunga wo hai Video Compress.
Step 1 – Sabse pahle aapko app download and install karna hai. App me aapko sabse pahle video choose karna hai. sabhi video related folders aapko dikh jayenge.
Step 2 – Video select karne ke baad aapke paas video editing se related kuch options honge Jaise ki Rotate Video, Fast Forward, Extract mp3 etc. Video ko compress karene ke liye aapko Compress Video ka Option Choose karna hai.
Step 3 – Next aapko quality ya compression level choose karna hai.
And finally aapka video compress ho jayega.
Or is trah se aap kisi bhi big video file size ko compress kar sakte hain.