All in One SEO Pack aur Yoast SEO plugins dono ab tak ka sabse zayada SEO ke liye use kiya jane wala aur popular plugins me se hai. Isliye hamesha users confuse rahte hain ki dono me se kon sa plugin zayada behtar hai. Agar aap bhi confuse hai, to aap dono popular WordPress SEO plugins (Yoast SEO and All in One SEO Pack) me se kisi ek ko choose kar sakte hai. Mjhse hamesha comment section me pucha jata hai, ki dono me se better kon hai ? To hamlog iss article me Yoast SEO vs All in One SEO Pack ko compare kar ke pta lagaenge ki dono me se sabse achha WordPress SEO plugin kon sa hai.
About Our Contenders :
All in One SEO Pack 2007 me Michael Torbert aur Steve Mortiboy ke zariye banaya gaya tha. Tab se isne bahut bade paimane par user base earned kiya hai aur ye ab tak ka sabse zayada download kiye gaye WordPress plugins me se ek ban gaya hai.
Yoast SEO, 2010 me yoast ke zariye WordPress SEO me shuru kiya gaya tha. Ye Joost de Valk ke zariye create kiya gaya tha. Plugin me regular improvement ke sath ye jald hi All in One SEO ka major competitor ban gaya.
Ye dono excellent plugins hai aur ye sare important features provide karta hai jinki apko WordPress site par maximum SEO benefits gain karne ke liye zarurat hoti hai. Ye sab janne ke baad, chaliye ab Yoast SEO vs All in One SEO Pack ko compare karte hai ki unme se kon sa sabse achha WordPress SEO plugin hai.
Installation and Setup :
Website me SEO ke concepts ko samjhne aur successfully implement karne ke liye bahut sare training aur practice lagte hai. Ek WordPress SEO plugin ko beginners ke liye SEO best practices ko bina kisi special skills ke setup karna bahut asaan hai. Chaliye dekhte hai ki WordPress website par basic SEO settings ko install aur setup karne ke liye ye dono plugins kaise stack karta hai.
Yoast SEO
Sabse pahle apko Yoast SEO plugin ko install aur activate karna hoga. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad, Users SEO » Dashboard page par ja sakte hai aur “General” tab ke zariye configuration wizard launch kar sakte hai.
Ye wizard ko laega jo aapko step by step setup process ke through chalaega. Ye beginners ko complex jargon aur option se overwhelmed hue bina jaldi se start karne ke liye allow karta hai.
Yoast SEO ek bahut hi powerful plugin hai, aur isme bahut sare options hai jiske through apko chalne ki zarurat hai. Agar aap Yoast SEO Plugin ko asani se Install and Setup karna chahte hain, To separate article WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ? ko read kar sakte hain, ye apke liye bahut useful hoga.
Yoast SEO ke setting section ko bahut hi neatly se un pages me divide kiya gaya hai, jahan har ek pages me respective settings ke liye alag alag “tab” hai. Isse Users ke liye settings me ek option ka pata lagana bahut asaan ho jata hai.
Yoast SEO setting ke sabhi pages par screen help available hai. Simply top par purple “Help center” button par click kare, Aur ye pages par options ke bare me video ya text show karne ke liye expand hoga.
Yoast SEO ka neatly organized settings, configuration wizard aur screen help options se beginners ke liye WordPress site par Yost SEO setup karna bahut hi asaan hai.
All in On SEO Pack
Sabse pahle apko All in On SEO Pack plugin ko install aur activate karna hoga. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad, Apko dashboard ke thik niche All in One SEO menu mlega. Ispar click karne se aap plugin ke settings page par pahuch jaenge.
All in One SEO Pack me, ek hi page me sabhi settings hain. Ye dekhne me thora overwhelming lagta hai, Lekin kuch users ko Yoast SEO ke multi-page settings ke compare me ye tarika easy aur fast lag sakta hai.
Settings page ko different sections me divide kiya gaya hai. Har ek section kisi particular area ya feature se deal karta hai, Example for : homepage settings, title settings, display settings etc.
Har ek option ke bad ek help icon hota hai. Icon par click karne se ek short description aur kabhi kabhi additional documentation link show hota hai. Iske zariye beginners ko samjhne me asani hoti ha ki wo kiya kar rahe hai.
Yaha All in One SEO Pack ke liye hamare users ke liye guide hai, WordPress me All in One SEO Pack Install and Setup Kaise Kare, jo users ko plugins properly setup karne me madad karega. Ek bar jab aap carefully general settings jaan jaye, to aap apne WordPress site par All in One SEO ka use bahut hi asani se kar sakte hai.
Conclusion:
Yoast SEO aur All in One SEO dono ke paas bahut sare options hai. Ye setup ko thora intimidate karta hai. Dono plugin users ke liye chizen ko asan aur SEO settings ko asaani se setup karne ke liye poori koshish karta hai. Hame lagta hai ki Yoast SEO apne multi-page aur tabbed settings ke sath All in One SEO ke compare me thora better work karta hai. Winner: Yoast SEO
Day to Day SEO Tasks :
SEO ek ongoing process hai, aur apke website par apke zariye add kiye gaye sare new post aur pages ka apna SEO score hota hai. Iska matlab hai jaise hi aap apne kisi post ya pages ko apne website par jorte hai, aap search engines ke liye apne content ko optimize karne ke liye SEO plugin ka use kar rahe hote hain.
WordPress blog post ko SEO optimize karne ke tarike ke bare me ek separate article WordPress me SEO Optimize Article Kaise Likhe ko read kar sakte hai. To chaliye dekhte hai ki, jab hmare WordPress site par Day to Day SEO Tasks ko poora karne ki baat aati hai to hmare contenders kaise stack ho jate hain.
Yoast SEO
Yoast SEO ek powerful content analysis tool ke sath ata hai, jo apki website par har ek post ya pages ko optimize karne me apki madad karta hai. Post editor ke just niche, aapko focus keyphrase field, Preview as, and SEO analysis ke sath Yoast SEO metabox milega.
- Focus keyphrase : Yaha focus keyphrase ya main keyword add kar ke shuru kar sakte hai. Main keyword add karne se plugin us particular keyword ke liye content ko analyze karne ke liye allow karta hai. ye analyze SEO analysis area me show kiya jata hai, Jahan yoast SEO suggestion deta hai ki apne post ke SEO score ko kaise improve kar sakte hai.
- Preview as : Yaha se pata chalta hai ki search engines me apki site ka title aur description kaisa dikhta hai. Yoast SEO automatically aapke post ke title ko as a tilte use karta hai aur description ko as a description show karta hai. Lekin mai apko recommend karungi ki “Edit snippet” button par click kar ke ise change kar le.
- SEO analysis : Yaha apne kisi bhi post ke SEO aur Readability analysis ke liye, Yoast SEO apke post content ko check karta hai. Yaha se apne article ko aur behtar banane ke liye “analysis” ko view kar sakte hai.
Yoast SEO meta box me do aur section hai. Advanced view par switch karne ke liye aap “Advance” par click kare sakte hain.
Advanced view ek aisi chiz hai, jise biginners ko kabhi bhi use nahi karna chahiye, jab tak ki aap ye nahi jaan lo ki aap kar kia rahe hai.Ye apko search engines post/page ko follow or index karne se rokne ke liye allow karta hai.
Second, social icon hai jo apke post ke liye social settings display karta hai.
Yaha se aap facebook, twitter ke liye ek article image set kar sakte hai. Aap description aur title bank chhor sakte hai kyunki yoast SEO apke main title aur description ka use open graph meta tags me karega.
All in One SEO Pack
All in One SEO post ke basis par ek post par SEO settings ko edit karne ke liye ek similar metabox ke sath ata hai. Simply ek post edit kare aur post editor ke niche aapko All in One SEO meta box milega.
Yoast SEO ke oppose me, Ye meta box bahut asaan hai. Yaha aap title aur description edit kar sakte hai, Lekin koi content analysis aur SEO score nahi hai. All in One SEO har ek post ke liye advanced tools offer karta hai jo apko search engine ke zariye indexing aur following ko control karne ke liye allow karta hai.
Yaha tak ki iska ek option bhi hai jo uss particular post or page ke liye ‘All in One SEO’ usko turns off kar deta hai. Social features ke liye, “All in One SEO » Features Manager” page par ja kar Social Meta addon ko enable karna hota hai.
Iss addon ko enable karne se post editor ke niche All in One SEO meta box me ek social settings add ho jata hai. Ye addon apko Facebook aur twitter ke zariye use kiye jane wale custom image aur description set karne ke liye allow karta hai.
Conclusion
Dono plugin ek post ke basis par SEO settings ko edit karna easy banata hai. All in One SEO Pack me users ko additional fields add karne ki permission dene ke liye ek lean and clean approach liya jata hai. Dusri taraf Yoast options ke approach par decisions ke sath jata hai. Aur un features ko jorta hai jo sabhi sites ke liye essential mana jata hai.
Ham sabhi ye pasand karte hai ki All in One SEO apko sirf zarurat padne par functionality ko activate karne ke liye allow karta hai. Winner: Tie
Support and Addons :
Bhale hi dono plugin ko use karna kafi asaan hai aur extensive free documentation ke sath hai, aapke free support options bahut limited hai. To chaliye dekhte hai dono plugins professional support aur addons kaise sambhalte hai.
Yoast SEO
Basic free Yoast SEO plugin bina kisi support ke ata haia aur aap ise apne risk par use karte hai. Jab aap WordPress.org support forum me question puchh sakte hai, aur other users se help le sakte hain, to apko team Yoast ki official response ki guaranteed nahi hai.
professional support ke liye, aapko Yoast SEO premium buy karna hoga. Single site license ke iski price $69 hai, aur jab aap isme aur site add karte hai to iska price badh jata hai. premium license kuch additional features jaise multiple focus keywords, aur ek redirect manager ke sath ata hai.
‘Yoast SEO’ specific SEO needs ke sath niche sites ke liye available kuch paid addon plugins bhi provide karta hai. Ye addon plugins hain.
- Video SEO
- Local SEO
- News SEO
All in One SEO Pack
All in One SEO ka free version bina kisi support ke ata hai. All in One SEO Pack Pro version one year ke professional support ke sath ata hai. Pro version me ek site ke liye one years ke License ka price $97 hai.
All in One SEO ka pro version usually free plugin ke aage major version hai. Ye WooCommerce products ke liye support, category SEO options, video XML sitemap etc jaise extra features ke sath ata hai.
Conclusion
Agar aap ise sirf ek site ke liye chahte hai, to Yoast SEO license sasta hai. Jabki, aur sites add karne par price badh jati hai. Dusri taraf unlimited sites par All in One SEO ka license bhi use kiya ja sakta hai. Winner: All in One SEO Pack
Our Verdict
All in One SEO aur Yoast SEO dono hi great plugins hai, Isliye dono ke bich kisi bhi comparison ko bahut hi closely hona chahiye. Mai personally apne sabi website par Yoast SEO karti hu, aur ise sabse achha WordPress SEO plugins manti hu.
Isme zayada features hai, jaise webmaster tools, breadcrumb navigation, Your Info section, social features, etc. Lekin sabse achhi features content analysis jo mjhe lagta hai ki beginners ke samjhne me bahut help karti hai, ki unhe apne content me post titles, descriptions kaise likhna chahiye aur keywords kaise use karna chahiye.
Yoast SEO vs All in One SEO Pack ki ye comparison apki site ke liye ek bahut achha SEO plugin dhundne me help karegi. Aap aur WordPress SEO plugins ke bare me janna chahte hai to The Best WordPress SEO Plugin Tool – Updated 2020 ko bhi read kar sakte hai.
Ummid hai aapko ye article (Yoast SEO vs All in One SEO Pack) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen