Agar aap ek website run kar rahe hai, ya run karne ka soch rahe hai, To Yoast SEO ek powerful tool hai jo apke site ko search engine friendly banane me help karta hai. Yoast SEO Plugin ko kisi bhi WordPress site par install kiya ja sakta hai. Iske zariye search ranking me bhut sudhar la sakte hai, Ye puri tarah se website ke sare page aur blog ko optimize karne me help karta hai. Yoast SEO plugin install and Setup karne ke bare me bahut sare beginners ko pata nahi hota hai, Isliye aaj yaha detail me janenge ki WordPress Yoast SEO plugin install and Setup Kaise Kare ?
Ye free aur premium dono hi version me available hai. Iske free version me apko bahut se useful feature mil jate hain Jaise ki – content analysis, meta keywords and description, XML sitemaps, social features, rich snippet etc. Yoast SEO ka aur advance feature use karne ke liye aap iska premium version buy kar sakte hai. Iske features ko aur detail me janne ke liye hamare separate article Yoast SEO Plugin Key Feature ko read kar sakte hain.
How to Install Yoast SEO Plugin :
Sabse pahle apne WordPress site par Yoast SEO plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad aap dekhenge ki, WordPress admin bar me ek new menu item Yoast SEO Plugin ka “logo” add ho jata hai.
Ab jab apne plugin ko install aur activate kar liya hai, To chaliye Yoast SEO plugin ko Setup kare.
How to Setup WordPress SEO Plugin by Yoast :
Yaha apko yaad rakhna hai ki, mai yaha jo bhi settings select kartungi wo hi settings apko recommend bhi karti hu. Other expert users ka apna preferences aur reason ho sakta hai, Isliye expert users kisi bhi chiz ko ignore kar sakte hai jo bhi unhe pasand nahi hai.
Agar aap beginner hai, Aur aap Yoast’s WordPress SEO plugin use karna chahte hai jaise mai use kar rahi hu. To please carefully sare steps ko follow kare.
Step 1. Data Transfer
Aap me se bahut ke paas shayad ek aur WordPress SEO plugin hai, Jaise All in One SEO pack jo apke site ke SEO data se deal karta hai.
Agar aap Yoast SEO plugin ko successfully use karna chahte hai, to apko pahle ye make sure karna hoga ki pahle wale plugin ko deactivate karne se pahle uska data Yoast SEO plugin me transported hua hai. Agar aap kisi new blog/website me setup kar rahe hai to aap iss step ko skip kare.
Step 2. General Settings
“SEO” icon par click karne se aap SEO ke setting page par pahunch jate hai. “General” tab par jaye aur apko configuration wizard open karne ke liye ek button dikhai dega. Mai recommend karungi ki aap iss “wizard” ko ignore kar de, Kyunki mai apko aage har ek option step by step bataungi.
Step 3. Features
Yoast SEO Plugin bahut sare features ke sath ata hai. Ye page apko unn sabhi features ko asaani se turn on aur off karne ke liye allow karta hai. By default, iss page ke sare options turned on rahte hai.
Mai inme me se kuch features ke bare me iss post me baad me baat karungi. Abhi ke liye, har ek features ke bare me thora jaante hai ki ye kia work karta hai.
- SEO analysis : Ye content ke liye SEO score aur analysis show karta hai.
- Readability analysis : Ye content ke liye readabity analysis aur score show karta hai.
- Cornerstone content : Ye cornerstone content ko mark aur filter karne ke liye allow karta hai.
- Text link counter : Ye post me internal text links ki numbers ka pata lagata hai.
- XML sitemaps : Ye website ka XML sitemaps create karta hai.
- Ryte integration : Ye ek third-party service hai, Ye weekly site ko check karta hai aur agar site par koi kharabi milta hai to Yoast SEO ko notify karta hai.
- Admin bar menu : Ye WordPress admin toolbar me Yoast SEO menu show karta hai.
- Security: no advanced settings for authors : Ye security me improvement ke liye authors se advanced SEO settings hide karta hai.
Step 4. Webmaster Tools
“Popular search engines” kisi bhi site owners ko webmaster’s tools area ka use kar ke apni sites ko search engines me add karne ke liye allow karta hai. Yoast SEO apki website ko search engines ke sath verify karna asaan banata hai. Aisa karne ke liye apko webmaster tools program ki zarurat hoti hai aur webmaster tools program ke liye apko search engine ko sign up karna hoga.
Uske baad, apko website ke owner ko verify karne ke liye ek “meta tag” add karna hoga. Simply respective fields me search engines se received kiya hua “meta tag” add kare.
Step 5. Search Appearance
Yoast SEO settings me “Search Appearance” control karti hai ki website search results me kaisa dikhta hai. Isme homepage, single articles, archives, aur taxonomies ke liye kuch options shamil hain. Mai yaha har ek option ko batungi. To chaliye pahle general settings se start karte hai.
1. General
Yaha aap unn symbol ko choose kar sakte hain, jise aap titles ko separate karne ke liye use karna chahte hai. Agar aap unsure hai ki kon sa symbol choose kare to aise situation ke liye “dash” (symbol hai) ek default option hai, aap uska use kar sakte hai.
Iss page par, aap apne website ke homepage ke liye SEO title and meta description choose kar sakte hai.
Uske baad aapko apne website ke liye knowledge graph aur schema option milega. Aap usme choose kar sakte hai ki apki website kisi organization ya kisi individual ko represent karti hai.
Aap yaha kisi individual ya kisi business website logo ke liye ek profile picture bhi upload kar sakte hai.
2. Content Types
Yaha aap apne zariye likhe gaye sare post ya pages ke liye SEO title aur description choose kar sakte hai. Yoast SEO khud ke use ke liye apko ek automatic template set karne ke liye allow karta hai.
Agar aap post ko manually add karna bhul jate hai, to ye “Content Types” option Yoast SEO ko unn options me automatically fill karne ke liye default settings use karne ke liye allow karta hai.
Yaha se aap sare content types ke liye search appearance, date snippet, aur SEO meta box ko “show aur set” karne ya nahi karne ke liye able honge. Iske default options sabhi websites ke liye work karta hai.
Uske baad aap SEO title template aur default meta description set kar sakte hai. Jabki mai apko SEO title aur meta description field ko khali chhorne ki liye recommend karungi. kyunki iske wajah se ye apke post ke pahle kuch lines se dynamically description generate karne ke liye Yoast SEO ko allow karta hai.
3. Media
By default, WordPress apke zariye post kiye gaye sare image aur media ke liye ek new page create karta hai. Ye page sirf attachment media ko hi display hota hai.
Iss attachment pages me search engine ko context provide karne ke liye koi valuable text nahi hai. Aise pages ko search engine ke zariye low-quality wali content mana jata hai aur iska SEO par negative impact padta hai.
“Yoast SEO” users ko attachment page ke bajae attachment file me redirect karne me madad karta hai. Ye option by default “Yes” par set rahta hai aur ise change karne ki zarurat bhi nahi hoti hai.
4. Taxonomies
Yaha “Taxonomies” tab categories, tags, custom taxonomies, aur post format archives ke liye titles aur meta ko configure karta hai. Default template zayada tar attractive sites ke liye work karta hai. Descriptions ke liye yaad rakheye ki Yoast SEO apke categories aur tags se option select karta hai.
5. Archives
Yaha “Archives” tab apko apni website par multiple archive pages ke liye “search appearance” options ko control karne ke liye allow karta hai. Isme author, date, search, aur 404 pages shamil hai.
Zayadar tar websites ke liye default options work karta hai. Aur agar aap single author blog run kar rahe hai, to search engines se “author archive” pages ko disable karna hoga.
Ek single author blog par, author archive pages bilkul “date archive or blog pages” ki tarah hote hai. Ye duplicate content create kar ke apke SEO rankings ko affect kar sakta hai.
6. Breadcrumbs
Breadcrumbs internal link ke liye bahut hi achha hota hai, Kyunki ye uss page par ek clear path ya trail ko define karta hai. Breadcrumbs search results me apki sites ko search me extra advantage dete hue bhi dikhai deta hai.
“Enable” par click kare, Ye aur zayada breadcrumb settings ko reveal karega.
Default settings zayada se zayada websites ke liye work karta hai, Lekin agar aap is settings me kuch changes karna chahte hai to kar sakte hai. Then “save changes” button par click kare. Agar aap aur zayada strong breadcrumb features chahte hai, to Breadcrumb NavXT plugin ka use kar sakte hai.
7. RSS
RSS Feed hamesha content scrapers ke zariye apke website ke content ko copy karne ke liye use kiya jata hai. Yoast SEO apke apne RSS Feed me har ek post ke liye apni khud ki sites par ek backlink add karne ke liye allow karta hai.
Iss tarah apko unke sites se backlinks mil jaenge, aur google ko bhi pata chal jaega ki aap original source hai. Yaha apke author link, Post link, blog link, aur blog description me add karne ke liye options hai, jiska use karke RSS feed me advertisements add kar sakte hai.
Step 6. Search Console
Yoast SEO plugin me search Console section, apko apni WordPress site ko Google Search Console (formerly webmaster tools) se add karne ke liye allow karta hai. Aap apne WordPress site ko “Search Console” se add kar sakte hai aur Yoast SEO ko search console data ko lane aur display karne ke liye allow kar sakte hai.
Simply SEO » Search Console page par jaye aur “Get Google Authorization Code” button par click kare.
Yaha se aap Google search console par chale jaenge aur apse allow karne ke liye kaha jaega. Uske baad, apko plugin setting me “Authorization code” ko copy karna hoge then yaha uss code ko paste karna hoga.
Google Search Console apki search ranking ke liye useful information provide karti hai. Unn sabhi useful information ko Google Search Console complete guide me dekh aur use kar sakte hai.
Step 7. Social
Jaise ki pahle mai batayi thi, Yoast SEO ek powerhouse hai jo comprehensive optimization provide karne ke liye bahut sare features ke sath bhara hua hai. Iss Plugin ki ek khubi ye bhi hai ki ye apke sites ko Facebook, Twitter, aur Google+ social platforms se jore rakhta hai.
SEO menu ke tahat social link par click karne se apko unn platforms ko set up karna hoga. Mai apko dikhaungi ki unn sabhi ko kaise configure kiya jata hai.
1. Accounts
Social settings ke tahat first tab apke sabhi social accounts ke liye hota hai. Ye Yoast SEO ko “Google” ko apke social profiles ke bare me batane ke liye allow karta hai. Apko apne site ke main social profiles ke liye simply URLs aur Twitter username add karne ki zarurat hai.
2. Facebook
Yaha apko make sure karne ki zarrat hai ki ‘Facebook’ tab ke tahat “open graph metadata option” enable hai. Ye apke site ke head section me Yoast SEO ko “Facebook open graph metadata” add karne ke liye allow karta hai.
Jab apke website ka koi post Facebook par shared kiya jata hai, to facebook ko right thumbnail aur page ki information lene me madad milta hai.
Next, agar apke pass ek Facebook App ID hai to apko Facebook App ID provide karna hoga. Uske niche apko SEO titleaur description ke sath homepage ke liye thumbnail provide karne ke option milega. Iss image aur description ka use tab kiya jaega jab koi apke site ka homepage facebook par share karega.
Additionally, aap ek default thumbnail image URL provide kar sakte hai. Iss image ka use unn sabhi artical ke liye kiya jaega jinme koi thumbnail ya koi image nahi hoga.
3. Twitter
Twitter ke liye, aap apne site ke haed section me “Twitter cards” add kar sakte hai. Aap kis type ka card use karna chahte hai wo bhi choose kar sakte hai. Mai large image ke sath summary use karne ke liye recommend karungi.
4. Pinterest
“Pinterest” facebook ke tarah hi Open Graph meta data ka use karta hai. Make sure kare ki apke paas Facebook setting ke tahat Open Graph meta data hai.
Uske baad, apko bass Pinterest ke zariye provided “site verification code” enter karna hai. Simply apne site ko add aur verify karne ke liye apne Pinterest account settings par jaye. apko ek “meta tag” provide kiya jaega jise yaha enter karna zaruri hai.
Step 8. Tools
Yoast SEO kuch in-built tools ke sath ata hai jo apko kuch advanced tasks karne ke liye allow karta hai. Zayada tar beginners ko unn tools ko use karne ki zarurat nahi hoti hai. Mai yaha unn sabhi tools ke bare me thora batungi ki ye kia work karta hai.
1. Import and Export
Agar aap pahle se built-in SEO functions ke sath WordPress SEO plugin ya theme ka use rahe hai, to aap iss tool ka useSEO data import karne ke liye kar sakte hai.
Aap iska use Yoast SEO plugin ke settings ko import karne ke liye bhi kar sakte hai aur use kisi alag wordpress par use kar sakte hai.
2. File editor
Jaise jaise apki WordPress site badhta jae, waise waise aap tutorials me aakar aap apne website ke “.htaccess or robots.txt” file me kuch code add kar sakte hai. Ye dono configuration file hai aur apke website ke SEO par bahut zayada impact dalti hai.
Yoast SEO apko WordPress admin area se directly dono files ko easily edit karne ke liye allow karti hai.
3. Bulk editor
Yoast SEO me “bulk editor” tool apko apne sabhi blog posts and pages ke liye jaldi se SEO title aur description add karne ke liye allow karta hai. “Titles” tab ke tahat blog post ke liye apna new SEO title add karne ke liye ek khali field milega. Uske baad aap apne changes ko store karne ke liye “Save link” par click kare.
Descriptions add karne ke liye “Descriptions” tab ko switch karna hai. Ek baar fir aap sabhi blog post or page par descriptions add kar ke “save” kar sakte hai.
Step 9. Redirects Manager (Premium)
Yoast SEO Premium ek powerful redirect manager add karta hai. Isse aap apne WordPress site par jaldi se redirects set kar sakte hai. redirect manager ka use kar ke aap 404 errors ko jaldi se fix kar sakte hai, ek article se users ko dusre kisi bhi article par redirect kar sakte hai.
Note :- Redirects apke website ke SEO me ek important role play karta hai. Mai recommend karti hu ki aap ise apne SEO plugn ke sath nahi jore.
Iske bajae, aapko apne Redirection ko manage karne ke liye Redirection jaise dedicated redirect manager ka use karna chahiye. Ye apko Yoast SEO ka use band karne par bhi redirect karne ke liye allow karta hai. WordPress me redirect set karne ke bare me detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Par Redirects Kaise Setup Kare ko read kar sakte hain.
Step 10. Optimizing Your Posts and Pages with Yoast SEO
Bass Yoast SEO Plugin ko install aur set up karna enough nahi hai. Agar iska achhe se faeda uthane ke liye, apko settings ko per post ke basis par customize karne ki zarurat hoti hai. To chaliye dekhte hai ki, WordPress ke sare post/pages ko kis tarah se customize kar ke zayada faeda uthaya ja sakta hai.
Simply, kisi bhi post ys pages ko edit kare aur aap post editor ke niche ek new Yoast SEO metabox dekhenge.
Yaha focus keyphrase ya main keyword add kar ke shuru kar sakte hai. Jab koi users kisi article ko dhundne ke liye search engine me jo bhi enter karta hai, use hi main keyword kaha jata hai. Uske baad, ‘Yoast SEO’ SEO aur Readability analysis ke liye apke post content ko check karta hai. Apne article ko aur behtar banane ke liye “analysis” ko view kar sakte hai.
Hamesha apko custom SEO description likhna chaiye, kyunki excerpt generator sirf first paragraph ko hi pick karta hai jo kabhi kabhi zayada important nahi bhi hota hai. Isliye sometimes hamara post title aur your SEO title same nahi hota hai.
Pro Tip: Yoast SEO me SEO aur readability analysis report apke content ko behtar banane me kafi achha aur behad hepful hai. Jabki, bahut sare blogger apne content ko users ke liye behtar banane ke bajae analysis ko follow karne me zayada time expend kar dete hai.
WordPress me kisi post ya blog ko SEO optimize karne ke bare me detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress me SEO Optimize Article Kaise Likhe ko read kar sakte hai.
Step 11. Optimizing Taxonomies for SEO (Categories and Tags)
Apni post aur pages ki tarah category, tag, aur author archive pages ke liye SEO title aur meta descriptions ko override kar sakte hai.
Simply, Posts » Categories page par jaye aur kisi bhi category ke niche diye gaye edit link par click kare. Category edit page par thora scroll down kare aur apko Yoast SEO meta box dikhai dega.
Aap apne sabhi categories, tags, aur custom taxonomy archives ke liye aisa kar sakte hai.
Step 12. Optimizing Ecommerce Products
‘Yoast SEO’ WooCommerce ka use kar ke online stores aur eCommerce websites ke liye full support ke sath ata hai. Ye apko apne product pages ko waise hi opti mize karne ke liye allow karta hai, jaise blog posts aur pages ko optimize karte hai.
Apni website par ek new product add karne par apko sabhi eCommerce SEO options milenge. Aap kisi bhi old product ko optimize kar sakte hai aur isme focus keyword, SEO title, SEO description etc ko enter kar ke optimize kar sakte hai.
Thats all, Agar aap WooCommerce ke bare me detail me information lene chahte hai to aap hamari separate article WooCommerce complete guide ko read kar sakte hai.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article ( Yoast SEO plugin install and Setup ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen