Apne website pe zyada traffic lane ke liye WordPress SEO men improvement bahut important hai. Sadly most WordPress SEO guide new users ke liye kafi technical hota hai, Jo Beginners ko confused kar deta hai. Agr aap apne website traffic ko increase krne ke liye serious hain to apko WordPress SEO practices pe full attention dene ki zarurat hai. Hum apke WordPress SEO ko behtar banane aur apke Website pe organic traffic lane me help krne ke liye ye article WordPress SEO Complete Guide share kar rahe hain.
Apne bahut se logon ko kehte suna hoga ki WordPress SEO friendly hai. Yahi reason hai ki log website ya blog start krne ke liye WordPress choose karte hain. Jabki WordPress ye sure krta hai ki ye SEO Best Practice Code
Generate krta hai. Agr aap apne SEO efforts ko improve krna chahte hain to apko bahut kuchh janne aur karne ki zarurat hai.
Hum kuchh actionable steps apko batyenge, jo apko apne WordPress SEO ko properly optimize krne ke me kaam ayenge. Is guide ko easily navigate krne ke liye humne content table create kiya hai, Aap iski help le sakte hain :
Content Table : WordPress SEO Complete Guide :
Introduction
- What is SEO?
- Why SEO is important
The Basics of WordPress SEO
- Check your site’s visibility settings
- Using SEO friendly URL structure in WordPress
- WWW vs non-WWW in URLs
The Best WordPress SEO Plugin
- Choosing the Best WordPress SEO plugin
- Add XML sitemaps in WordPress
- Add your site to Google Search Console
- Optimizing your blog posts for SEO
WordPress SEO Best Practices
- Properly using categories and tags in WordPress
- Make internal linking a habit
- Optimize WordPress comments
- NoFollow external links in WordPress
- Full posts vs summaries (excerpts)
Speed and Security for WordPress SEO
- Optimize your site’s speed and performance
- Optimizing images in WordPress for SEO
- Security and safety of your WordPress site
- Start using SSL/HTTPS
Ab Last me apne WordPress SEO ko aur bhi better banane ke liye SEO tool aur resources ko dekhiye.
Introduction :
Hum jante hain ki WordPress SEO ke liye optimizing ka idea beginners ke liye thoda hard ho sakta hai, Khaas kar agr aap thoda week hain to. Lekin don’t worry ye complicated nhi hai. Humlog basices se start krenge aap dhire dhire level up krte jyenge aur aap pahle samjhiye aur fir apne website pe apply karna shuru kijye.
1 : What is SEO?
SEO ka fullfrom hai Search Engine Optimisation ka. Website owners ki ye ek strategy hai jiska use search engine me high rank karke website pe traffic lane ke liye use kiya jata hai. Search engine optimisation Google ya system ko gaming karne ke bare me nhi hai. Ye ek aisi website banane ke bare me hai jisme code optimize aur formatting hai, Jo apki website ko search engines pe khojne ke liye easy banata hai.
Jab log apke likhe huye topics ko web me search kren to apka search engine optimised content results me zyada visible hoga, Aur jab aisa hoga to apke website pe zyada se zyada log phuchenge.
2 : Why SEO is Important ?
Search engine aksar website ke liye biggest traffic ka source hota hai. Google aur other search engines advanced algorithms ka use karte hain search results me pages ko samjhne aur rank karne ke liye. Lekin vo algorithms perfect nhi hain — Use abhi bhi apki zarurat hai ye samjhne ke liye ke apka content kya hai ?
Agr apka content optimized nhi hai, To search engine ko ye pata nhi chalega ki ise rank kaise kiya jaye. Aur fir apka likha huaa topics search engine me rank nhi hoga, fir log search krenge us topics ko jo apne likha hai, aur apki website search result me nhi dikhegi tab aap un sabhi traffic ko miss kar denge.
Sabhi business owners ke liye apni website ko search engine friendly bana really very important hai, Taki vo apne search traffic ko maximize kar saken.
The Basics of WordPress SEO :
SEO technical ho sakta hai, Lekin ye hona nhi chahiye. Bus aap apni website ko optimize karne ke liye, basic SEO ke kuchh tips ko sikh lijye jisse aap apni website ke traffic pe dhayan de saken. Aaiye apni website ko optimize krna shuru kren.
1 : Check Your Site’s Visibility Settings :
WordPress me ek built-in option hota hai jo search engines se apki website ko hide rakhta hai. Is option ka purpose ye hai ki jabtak apki website publicly ready nhi ho jati aap aram se ispe kaam kar sakte hain. Halaki ki kabhi kabhi aisa hota hai ki humlog is option ko galti se check nhi karte hain aur ye option activate hi reh jata hai, aur ye apki website ko search engine ke liye unavailable bata hai.
Agr apki website search engine result me nhi dilkh rahi hai, fir apko sabse pahle ye confiram krna hoga ki ye option unchecked hai. Simply, Apne WordPress site ke Admin area ko login karen aur uske Settings » Reading page pe ayen.
Is page pe aap ane ke baad, Scroll down kijye niche me apko ‘Search Engine Visibility’ ka section milega, Fir aap ‘Discourage search engines from indexing this site’ ke age jo box hai use unchecked kar dijye. Yahan pe jab aap changes kren to ‘Save Changes’ button pe click karna na bhulen.
2 : Using SEO Friendly URL Structures in WordPress :
SEO friendly URL me aise words hote hain jo page ke content ko clearly explain karte hain. Aur vo humans & search engines dono ko read krne me easy hote hain.
Some examples of SEO friendly URLs are :
http://wpseekho.com/wordpress-admin-panel-introduction/
http://wpseekho.com/wordpress-blog-kaise-start-kare/
Aap dekh sakte hain ki ye dono URL readable hain, aur URL text ko dekhar ek user easly ye guess kar sakta hai ki vo page pe kya dekhega.
Some examples of non-SEO friendly URLs are :
http://wpseekho.com/wordpress-basics/ ?p=8764
http://wpseekho.com/?p=27583
Aapne notice kiya hoga ke ye sare URL contest se Unrelated numbers ka use karte hain, aur ek user ye guess nhi kar sakta is URL ko dekh ke ki vo page pe kya pyenge. To apko apne SEO friendly permalink structure ko improve karna hai, Kiyunki ise improve kar ke aap search results me better positions pa sakte hain. To aaiye dekhte hain ki hum apne WordPress site ke permalink structure ko check & update kaise krenge ?
Apko ana hai Settings » Permalinks page pe. Aur post name option ko select krna hai fir ‘Save Changes’ button pe click kar ke settings ko save kar den.
Agr apko iske bare me deeply detail chahiye to aap hmare article WordPress Me SEO Friendly URL ( Permalink ) Kaise Create Kare ko padh sakte hain.
Note : Agr apki website ko run krte huye 6 month se zyada ho gya hai to please jab tak aap number option ka use nhi krte hain tab tak apni permalink structure ko na badlen. Agr aap Day and Name or Month and Name use kar rahe hain to continue rakhen.
Kisi bhi establish site ke permalink structure ko agr aap chnge krenge to sare social media share count aur existing SEO ranking kho dene ka risk hoga. Agr aap fir bhi permalink structure ko change karna chahte hain to kisi professional ko hire karen taki vo proper redirects ka setup kar saken. lekin tabhi aap apne social share counts ko lose kar denge.
3 : WWW vs non-WWW :
Agr aapne apni website ko just start kiya hai, to apko in dono www ( http://www.example.com ) aur non-www ( http://example.com) URL mese choose krne ki zarurat hai jo aap use krna chahoge. Search engines inhe two different websites consider karte hain. To apko inmese kisi ek ko choose krna hai aur uspe stick rehna hai.
Apko ye preference ko set krne ke liye Settings » General page pe visite karna hoga. Yahan pe akr apne dono preferres URL ‘WordPress Address’ aur ‘Site Address’ ko fields me Add kren.
The Best WordPress SEO Plugin :
WordPress ka sabse best part ye hai ki iske har chiz ke liye plugin hai, to SEO ke liye bhi hai. Apko thousands WordPress SEO plugins mil jyenge jise beginners ko choose karne me confusion ho sakta hai. Website me har individual SEO tasks ke liye separate plugins install karne se behtar hai ki aisa plugin choose kren jo sare work karta ho. Hum apko sabse best WordPress SEO plugin choose karne me help krenge jo 100% free ho aur sare work krta ho.
1 : Choosing the Best WordPress SEO Plugin :
Jab best WordPress SEO plugin choose krne ki baat ati hai to aap two most popular choice hoti hai : Yoast SEO aur All in One SEO Pack. Ye dono hi effective solutions hain aur hume indo ke pros and cons comparison kiye hain : Yoast SEO vs All in One SEO Pack – SEO Ke Liye Zayada Behtar Kon ?
Hum apne website pe Yoast SEO use krte hain to humne example ke liye jo screenshots use kiya hai vo Yoast SEO ka hi hai. Agr aap indono mese koai bhi plugin choose krte hain to plugin ke properly settings ko set krne ke liye aap hmare guide ka help le sakte hain :
- WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ?
- WordPress me All in One SEO Pack Install and Setup Kaise Kare ?
2 : Add XML Sitemaps in WordPress :
Ek XML sitemap ek specially formatted file hai jo apki website par every single page ko list karti hai. Isse search engine ko apki site ke sare content ko khojne me easy hota hai.
XML sitemap add krne ke dauran apki site ki search ranking improve nhi karti hai, Ye help krta hai search engine me page ko easily find aur rank karne. Agr aap Yoast SEO plugin use kar rahe hain to ye plugin hi apke liye XML site map bana dega. Apne website pe sitemap create krne ke liye aap hmare saprate guide XML Sitemap Kya hai – Sitemap Create Kaise Kare ka help le sakte hain.
3 : Add Your Site to Google Search Console :
Google Search Console ko Webmaster Tools ke naam se bhi jante hain. Ye Google ke ek Tool ka set hai jiske zariye website ke owner search engine me unka content kaise dekhega dekh ye sakte hain. Sath hi apko actual search terms bhi dekhne ko milega jo log apki website ko find karne ke liye use kar rahe hain.
Simply, aap ye samjhe ki ye tool apko report aut data provide karta taki aap ye dekh payen ke apke page search engine result me kaise dikhai dete hain. Har ek page search result me kaise appear hota hai, aur apke page pe log kistni baar click krte hain. Ye sari information apko ye smjhne me help krti hai ki apki site par kya kaam ho raha hai aur kya nhi. Is tool se sari information lekr aap uske according content strategy plan kar sakte hain.
In case apke site me kuchh problem hota hai to Google Search Console apko alerts bhi karta hai. Jaise jab search crawlers ise access krne me unable hote hain, duplicate content aur restricted resources ko khojne me. Hmarae paas step by step guide hai ki Google Search Console Me Site ko Add Kaise Kare ?
Ek baar jab aap successfully sitemao Add kar denge to ye pending dikhaai dega, Kiyunki apki website ko crawl krne me Google ko thoda time lagta hai, Kuchh ghnte baad aap apne sitemap ke bare me kuchh statistics ko dekh pyenge. Ye apko apke sitemap me mile link ke numbers ko dikhayega, Unme se kitne indexed huye, aur images ratio aur web pages, etc. Search console ko kam se kam monthly check zarur karen taki apko website ke SEO progress ki information mil sake.
4 : Optimizing Your Blog Posts for SEO :
Kai baar beginners ye sochne ki galti karte hain ki WordPress SEO Plugin ko install karna aur activate karna hi solution hai. To apko bata dun ki SEO ek ongoing process hai jise apko maximum results dekhne ke liye ready rakhna chahiye. Yoast SEO apko website ke sare page aur blog post pe title, description & focus keyword ko add krne deta hai. Iske help se aap ye bhi preview kar sakte hain ki users ko google result me apki website kaisi dikhegi.
Aap zyada se zyada click pane ke liye apne title and description ko optimize karen. Apko apna blog likhte time, Simply apko scroll down kijye aur Yoast SEO section me akr is plugin ka full advantage lijiye.
Agar aap soch rahe hain ki focus keyword kaise choose kren, Ek achha title kya hoga, aur ek achha meta description kya hona chahiye to aap hmare separate guide WordPress me SEO Optimize Blog Kaise Likhe se help le sakte hain. Aur hum apko ye bhi suggest krte hain ki on-page SEO ke bare me baat jane.
WordPress SEO Best Practices :
Agr aap SEO ke basics ko follow karte hain aur best WordPress SEO plugin ka use krte hain to aap already bahut se websits se age honge. Balki agr aap aur bhi better result chahte hain to apko niche diye huai WordPress SEO best practices ko follow krna padega. Ye sare SEO practices bahut technical nhi hain aur iske liye code ki bhi recruitment nhi hogi. Lekin agr aap inhe follow kijyega to bahut difference ayega.
1 : Properly Using Categories and Tags in WordPress :
WordPress me aap apne blog post ko categories & tag se sort kar sakte hain. Aisa krne se apke liye Content ko topics ke according manage krna kafi easy ho jata hai, Aur users bhi vo content easly find kar lenge jiski talash me vo hain. Categories & tags search engines ko apki website ke structure aur content ko smjhne me help krta hai. Aksar beginners is baat me confused ho jate hain ki vo best categories & tags ko kaise use kren.
Agr easy way me smjhen to maan lijye aap apne website pe kisi Mobile, Laptop, Watch ke bare me likhte hain, To yahan pe Mobile, Laptop, Watch Categories me aa gya. To humne Mobile ke bare likh ab Mobile word se bahut sara aria capture ho gya. Magr Tag is aria ko aur kam kar deta hai hum post me Mobile ke bare me kya baat kar rahe hain, Uske feture, Software, ya Apps ke bare me, To yahan pe feture, Software, ya Apps Tag hoga.
Categories & tags ko properly use kar ke, aap apne users ke liye apni website ko browse krna easy bana dete hain. Chunki jab ye users ke easy hai to, isliye ye search engine ke liye bhi apki website ko browse krna bhi easy banata hai. Agr aap dekhna chahte hain ki Categories & tags ko kis tarh se add krenge apni website me to hmare ye guide WordPress Me Categories and Tags Add Kaise Kare read kar sakte hain.
2 : Make Internal Linking a Habit :
Search engines apki website pe available sare page ko ek score deta hai jise page authority kehte hai. Google kis based pe ye desid krta ki kis page ka kitna score hoga ye secret hai, Halaki score ka most common signs link hai. Yahi reason hai yeh bhut impotent hai ki aap apne content ko apne dusre blog post aur page se link kren. Kiyunki agr agr kisi ek page ki bhi page authority high huai to automatically usse connect sare page ke score high honge.
Ye apke page views ko boost krega sath hi apke site pe user ko zyada engage krega jisse ultimately apka SEO score improve hoga apke individual page ya blog post pe.
3 : Optimize WordPress Comments :
Comments apki website par users se communicate hona ka ek strong indication ho sakta hai, Users engaged matlb website pe more links back, more traffic aur improved SEO. lekin apko ye sure karna hoga ki apke comments real hain spam nhi. Spammers bad links ke sath comment krte hain jo apki search raking ko affect aur even ruin kar sakte hain.
Halaki ye bhi dhayan dena zaruri hai ki agr apke kisi post pe bhut zyada comments hai to ye apke site ko slow kar sakta hai jo search ranking ko affect krta hai. Apko apni website aise ready karni hogi ki vo comment ko manages kar sake aur slow na ho, Aap apne comment ko dusre pages pe split bhi kar sakte hain.
4 : NoFollow External Links in WordPress :
Jaisa ki apne upar bhi padha ki link jo hai vo search engine ko ye decide karne me help krta hai ki kaun sa page impotent hai. Jab aap kisi website se link karte hain to aap us link par apni site ka kuchh SEO score paas kar rahe hote hain. Is SEO score ko hi “link juice” kaha jata hai. Good search rankings ke liye apko ye sure krne ki zarurat hai ki aap kisi dusre website ko jitna de rhe hain usse zyada link juice le pa rahe hain.
Link Juice: Link juice kisi bhi article ya website ke homepage ko link karne ke liye kisi website ki taraf se pass kiya jata hai. Link juice article ki ranking aur domain authority ko improve karta hai. Link juice ko no-follow link ke through pass hone se roka ja sakta hai.
No-follow Link: No-follow link tag ke zarye se koi website kisi dusre website ko link juice pass nahi karta hai. Page ke ranking me no-follow link kuch bhi contribute nahi karta hai. Kisi unreliable site se link-out karne ke liye no- follow link ka use kiya jata hai.
Do-follow link: Aise link jo link juice pass karte hai do-follow link kahlata hai. By default post pe use kiye gaya sabhi link do-follow hota hai.
External links ke liye “nofollow” attribute add kijye ( vo website jo apke nhi hai ) Aisa krne se search engine us link ko follow nhi krega. Aur ye process apko link juice se save krne me help krega.
Nofollow link add krne ke liye apko Edit as HTML me jakr link ke samne nofollow add kar dena hai.
Ek normal HTML link apko aisa dikhega :
<a href="http://wpseekho.com">WordPress SEO</a>
Ek external link noffollow attribute ke sath aisa dikhega :
href="http://wpseekho.com" rel="nofollow">WordPress SEO</a>
5 : Full Posts vs Summaries or Excerpts :
WordPress kai pages se apke post ko displays & links krta hai, Jaise ke home page, category archive, tags archive, date archive, author pages, etc.
By default, Ye in sabhi pages par full article content dikhata hai. Ye apki site ke SEO ko affects krta hai, As search engines ye duplicate content ho sakta hai. Full articles bhi apke archive pages load ko slower banate hain. Har jagh full article dikhane se ye apke page vies ko bhi affects krta hai. For example : Jo users apke RSS feed ko subscribe kiye huye hain, Vo kabhi bhi apke website pe aye bina apne feed reader me hi pura article padh sakte hain.
Ise solve krne ka sabse easy way hai ke aap full article ke bajaye summaries dikhaiye. Apko ye setting krne ke liye jana hai Settings » Reading section me aur wahan pe summary ko selet krna hai.
Speed and Security for WordPress SEO :
Agar aap upar diye gye sabhi WordPress SEO tips aur best practices ko achhe se follow krte hain, To apki site slow hai ya hacker ne kuchh ghadbad ki hai fir bhi search engine ranking ko ek big hit milegi. Ab dekhte hain ki slow performance aur lax security ke vajah se agr aap search engine traffic loose kar rahe hain to use prevent kaise kiya jaye ?
1 : Optimize Your Site’s Speed and Performance :
Web usability experts ka kehna hai ki usres kuchh sec me hi decide krte hain ki unko kis site pe rehna hai aur kis site se just bahr aa jana hai. Iska mtlb hai ki as a website owner apke paas bus kuchh sec hoge ki aap apni website ko present kar pyen. Aapko is precious time ko barbad nhi karna chahiye jisse ki koai bhi visiotr apki website ko load hone ke liye wait kare.
Google jaise Search engines ye admit karte hain ki vo slow loading websites ke comparison me faster websites ko rank karte hain. Agr apko apni website ki speed ko improve krne ki zarurat hai to aap hmare guide WordPress Website Speed Up Kaise karen ki help le sakte hain.
2 : Optimizing Images in WordPress for SEO :
Image zyada engaging hote hain text ke compression me, Lekin unhe load hone me zyada time lagta hai, Agr aap images ke sizes & quality ke sath careful nhi hain to vo apki website ko slow kar sakte hain. Apko ye sure hona hoga ki jis images ka use kar rahe hai vo fast load hone ke liye optimized hai.
Dusra trick hai ki aap search engines me apne image ko optimize karne ke liye aap descriptive title & alt tags ka use kar sakte hain. Ye tags search engines ko understand krne me help krega ki ye images kis topics ke bare me hain. Jab aap WordPress site me image upload karte hain to ye apko title & alt tags add karne ka option deta hai.
3 : Security and Safety of Your WordPress Site :
Har hafte Google malware ke liye 20,000 websits aur phising ke liye around 50,000 ko blacklists karta hai. Jab kisi site ko blacklist kiya jata hai to vo kisi bhi search engine me bilkul bhi nhi show hota hai. Iska mtlb hai ki achhi ranking ke liye apki WordPress website security important hai.
Agr aap nhi chahte ki apki sari mehnat SEO waste jaye, kisi hacker se apki site compromised ho jye to apko website security pe dhayan dena hoga. Good news ye hai ki apke WordPress site ko safe rakhna diffcult nhi hai. Aap apne website ko safe rakhne ke liye step by step ye WordPress Security Tips ko read kar sakte hain.
4 : Start Using SSL/HTTPS :
SSL (Secure Sockets Layer) ek technology hai jo users ke browser aur vo jis server se connect ho rahe hain unke bich encrypt karti hai. Ye apki WordPress website par ek additional security layer add karta hai. SSL Apke website ko secure karne ke saath hi google search me Rank karne me help karta hai kion ki ab google sirf unhi website ko rank karti hai jo SSL certified hota hai.
Agar aapka website SSL secure hai to users without hesitation aapke website par visit karte hain. Ab Jitne bhi Modern Browser hain wo un-secure website par visit karna allow nhi karte to aap website par jald se jald SSL install kar len.
Jab bhi aap apni website ke liye SSL buy karte hain to aapki website ke liye ek SSL certificate Issue kiya jaata hai. jise aapko apne hosting pannel me jaakar install karna hota hai. Install karne ke baad hi aapka website SSL certified hota hai. SSL se related aur detail janne ke aap SSL Certificate Kya Hai is guide ko read kar sakte hain.
More SEO Tools and Resources :
Ek baar jab aap WordPress SEO best practice kar lete hain, To aap apni competition se age badhne ke liye apne skills ko aur age le jana chahenge. Humne apke liye best WordPress SEO plugins and tools ki list ready ki hai aap iske help se achhe SEO ko boost kar sakte hain. Agr aap kuchh aur advanced techniques ko try krne ke liye ready hai to aap hmare SEO se revealed jitne bhi guide hain use read kar sakte hain : WordPress SEO
In sare tips apke WorPress site ko properly optimize krne me help krenge, Aap insab ko implemet kijye aur kuchh month ke andr apko apne traffic me increment dekhne ko milega kiyunki search engine apke changes ko process krta hai.
Ummid hai aapko ye article ( WordPress SEO Complete Guide ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen