Har ek WordPress site ko ek SEO Plugin ki zaroorat hoti hai. Aur jub baat SEO plugin ki aati hai to ab tak ka sab se popular options Yoast SEO hi hai. Is plugin ko Yoast team ke SEO beginner-friendly banane ke bawajood kuch chizen hai jahan pe aapko Yoast SEO ke kuch features ko acche se janne ke liye help ki zaoorat hogi. Is liye aj is article me hum aapko batayenge ke aap Yoast readability analysis ka use kaise kare.
Hum me sabhi log Yoast SEO me colored bullets ko jante hai. In do parts me se ek content analysis hai aur dusra readability analysis. Pahla ye batata hai ke aapka post SEO proof hai, wahi dusra ye check karta hai ke aapka post general audience ke liye readable hai.
Ye dono ek dusre se connected hai, agar aap chahte hai ke aapka content search result me accha perform kare to readable content bahut important hai. Is post me hum aapko batayenge ke aap readability analysis ko kaise check kare.
Yoast SEO Readability Analysis Kya Karta Hai?
Readability analysis algorithm ke use se ye determine karta hai ke aapka post kitna readable hai. Agar aap SEO Yoast ke advice ko follow karenge to ye aapke text ko parhne aur samajhne me aasan banayega.
Ye aapke content ko aasani se samjhne ke layaq banata hai. Iski help se aap apne content ko zyada se zyada logo ko samajhne ke qabil bana sakte hai.
Agar aap apne content ko simplify karte hai to utna zyada aapka content logo ke samajh me aata hai aur is wajah se ye aapke audience ko grow karne me help karta hai.
Iske sath hi agar aap ek accha content likhte hai to Google aapke content ko rich results jaise ke featured snippets ke liye use kar sakta hai.
Aisa kaha jata hai ke readability section me diye gaye advice ko hame last advice nahi manna hai, kyuki ye aapko aapke content ke bare me kuch important clues deta hai. Isliye aapko chhaye ke aap likhte waqt readability ko mind me rakh kar likhe taki aapke content easily rank ho sake.
Current Readability Checks
Currently Yoast readability analysis me niche diye gaye check ka use kiya jata hai:
- Transition words: Kya aap ‘most importantly’, ‘because’, ‘therefore’, or ‘besides that’ jaise transition word ka use apne text ko tie karne ke liye karte hai. Agar aap aise words ka use karte hai to ye aapke article ke flow ko improve karta hai, kyuki ye aapke reader ko aage ane wale chizon ke bare me hint deta hai.
- Sentence beginnings: Kya aapka koi bhi sentance same word se start hota hai? Agar aisa hia to ye aapke user ko repetitive feel karayega, aur ye user ke liye annoying ho sakta hai. Isliye aap apne sentence ko hamesha alag rakhe taki aapka article kisi bhi tarah ke rukawat se free ho.
- Flesch reading ease: Ye aapke text ko analyse karta hai aur use 1-100 tak ke scale pe grade karta hai. Jitna lower aapka sore hoga utna zyada mushkil aapke text ko parhna hoga, aur jitna zyada score aapka Flesch reading ease score hoga utna easy aapke text ko parhna hoga. Appko short sentence ka use karna chahye. 60 ser 70 ka reading ease score web copy ke liye acceptable hai.
- Paragraph length: Kuch log bahut lamba paragraph use karte hai. Aisa karne se aapka text dikhne me difficult lagta hai. Isliye aapko chhaye ke aap chote chote paragraph ka use kare.
- Subheading distribution: Long paragraph me bina subheading ke text ko scan karna mushkil hota hai, jo use difficult bana deta hai. Isliye agar aap apne reader ko guide karne ke liye subheading ka use karte hai to is tarah se aap apne reader ki content ko sahi tarah se samajhne me help karte hai.
- Sentence length: Sentence length un core aspects me se ek hi jo aapke text ko parhne ke liye mushkil bana sakta hai. Agar aapke zyadatar sentences bahut long hai yani 20 se zyada word to log aapke baat ka track kho denge. Aksar readers ko kuch word piche jana parta hai taki wo ye jaan sake ke aap kya samjhana chhate hai. Aisa karna aapke user ke liye irritating ho sakta hai. Isliye aapko chhaye ke aap apne sentence ko chota banaye. koshish kare ke aapka sentence logo ko aasani ke sath samjh me aa jaye.
- Passive voice: Agar aap apne sentence me bahut zyada passive voice ka use karte hai to ye aapke text ko less clear banata hai. Aapke sentence mushkil ho jata hai kyuki sentence structure ko samajhna mushkil ho jata hai. Jub bhi aap passive voice ka use kare is baat ka dhyan de agar better, active alternative available hai to uska use kare.
Supported languages
Readability analysis English aur bahut sare languages me available hai jaise German, French, Spanish, Portuguese and Russian. Aap Yoast SEO ke support kiye jane wale language ko check kar sakte hai.
Yoast readability Analysis Ko Use Kaise Kare
Readability analysis aapko apne Yoast sidebar me ya jis post ya page ko aap edit kar rahe hai uske niche ya Yoast meta box me mil jayega.
Yaha pe aap easily analysis ka use kar ke apne content ko improvekar sakte hai. Jub aap likhna start kare to apne mind me apne audience ko rakhe ke likhe. Aise words ko use karne ki koshish kare jise aapke user kar sakte hai.
Readability score ko real time me calculate kiya jata hai. Lekin aapko chahye ke aap writing process me readability score pe dhyan na de. Apne article ko finish karne ke baad aap readability score ko check kar ke dekh sakte hai ke aapko kuch theek karna hai ke nahi. Agar aapko orange ya red bullet dikhte hai to aap eye icon pe click kar ke dekh sakte hai ke aapko kis jagah pe improvement ki zaroorat hai.
Hum se har ka apne writing aur editing process hota hai, isliye ye zaroori nahi ke har koi ek hi process ko follow kare.
Kya Sabhi Bullets Ka Green Hona Zaroori Hai?
Ye aisa question hai jo zyadatar logo ke zahan me aata hai. Aisa zaroori nahi hai ke sare bullets green hone chhaye. Aapko overall green bullet ko target karna chhaye jo “Readability” ko read karta hai.
Agar aapko upar diye gaye screenshot ki tarah koi ek bullet orange hai to iske liye aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai. Aapka article agar sare test ko pass nahi karta hai tab bhi rank kar jayega. Ye ek indication hai necessity nahi hai.
Hun chahte hai ke har koi hamare content ko parh aur samajh sake, lekin hum ye bhi jante hai ke aise industry bhi hai jaha use kiye jane wali language aam language se bilkul different hote hai. Is liye aapko chhaye ke aap is baat pe dhyan de ke aapke case me kaun se language kaam karta hai.
Yoast readability analysis aur content analyses aapko excellent, SEO-proof articles likhne me help karta hai. Aise article kisi ke liye bhi samajhne me aasan hote hai. In guideline ko follow karne se content reader ke liye enjoyable hone ke sath hi easily search engine me rank ho jayega.
Read More:
Ummid hai aapko Yoast readability analysis ka ye article (Yoast SEO Me Readability Analysis Ka Use Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai. Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega. Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.