What is Digital Signature
Digital signature ek aisa Mathematical technique hai jise message, software or digital document ke authenticity aur integrity ko validate karne ke liye use kiya jata hai. Digital signatures hame author ko varify karne, signature ke date aur time, aur message content ko authenticate karne ke liye allow karta hai, iske sath hi Ye additional capabilities ke liye bhi authentication function provide karta hai.
Digital Signature electronic document, transaction ya message ke origin ke evidence identity aur status ke liye assurance provide karta hai.
Also Read: Operating system Kya hai?
How Digital signatures work?
Digital signature public key cryptography encryption technique pe based hai jise asymmetric cryptography bhi kaha jata hai. Is Digital method me do key create kiya jata hai ek public aur dusra private. Jub kisi document ko digital signature create kiya jata hai to signature signer’s ke private key se create kiya jata hai. Is sign kiye huye data ko signer’s ke public key se hi decrypt kiya ja sakta hai, Aur is tarah se Digital signature ko authenticate kiya jata hai.
Is technology me signer ko apne Private key ko secret rakhna hota hai kyu ki agar signer ke private key ko koi access kar leta hai to wo private key holder ke naam pe fraud digital signature create kar sakta hai.
Applications
Authentication: Digital signatures message ke source ko authenticate karne me help karta hai.
Integrity: Message ke ek baar sign ho jane ke baad agar message content me koi changes aata hai to message ko invalidiate kar diya jata hai.
Non-repudiation: Is property ki help se agar kisi ne message ko sign kiya hai to wo baad me us message ko sign karne se inkar nahi kar sakta hai.
Digital Certificate
Digital Signature Certificate ek secure digital key hai jise certifying authorities certificate holder ke identity ko validate aur certify karne ke liye issue karte hai. Digital signature certificate (DSC) me user name, pin code, country, email address, certificate ka issue
date aur certifying authority ka naam hota hai. Digital signatures ko digital certificate ki help se create kiya jata hai.