Aapki site pe aapke text ka structure SEO ke liye ek important factor hai. Agar aapka content clearly structured hota hai to aapke chances Google pe accha rank karne ke badh jate hai. Is Post me hum aapko batayege ke text structure important kyu hai.
Log Text Ko Scan Kaise Karte Hai?
Kisi bhi text ko parhna hai ye nahi ye decide karne se pahle log kisi bhi text ko scan karte hai. Visitors aapke text ko parhna shuru karne se pahle janna chahte hai ke ye kis bare me hai.
Kuch parts aise hote hai jise log kisi text ko scan karte waqt khas taur pe parhte ya dekhte hai. Headings aur subheadings real me important hai, jitna ke kisi bhi text ka first paragraph. Iske sath hi kisi bhi new paragraph ka pahla sentence bhi scanner ke attention ko apni taraf khinchta hai.
Google Text Ko “scan” Kaise Karta Hai?
Jis tarah se aapke human visitor ek khas way me text ko scan karte hai theek usi tarah se Google bhi scan karta hai. Yahi wajah hai ke text structure important hai. To chalye hum aapko teen examples ke zarye show karte hai ke kaise Google text structure ko ranking ke liye use karta hai aur text structure important kyu hai.
- Google apne kuch patents me ranking signals jaise ke semantic closeness ko define karta hai. Semantic closeness ye batata hai ke text ke formatting ko dhyan me rakhte huye text me related words ke nazdik kitni hai. Words ke semantic closeness ko samajhne ke liye aapka text structure clear hona chahye.
- Dusre Google patent, “the reasonable surfer“ me Google clearly headings ke bare me baat karta hai. Headings containing certain keywords are important for the topic of a given page. Aise heading jisme kuch keywords kisi bhi page ke topic ke liye important hai.
- Hummingbird update ke baad Google synonyms ko recognize karne me aur bhi zyada behtar ho gaya hai.
Text ko samajhne ke liye text ke structure ke bare me hint dene ke liye bahut se patent hai. Google time guzarne ke sath content ko analyze karne me ejtar ho gaya hai. Jitna zyada accha aap likhte hai utna hi Google ko aapke content ko samajhna aur use rank karna utna hi aasan ho jata hai.
Sath hi Google language ko samajhne ke liye bahut koshish kar raha hai. Language ko samajhne ke liye 2019 me Google ne BERT joki ek Natural Language Processing (NLP) model hai use introduce kiya, jo Google ko best result serve karne ke liye language ko Behtar dhang se samjhne me help karta hai.
Agar aap apne article ko ek clear structure dete hai to is se aapke ranking pe bhi ek positive impact parta hai. Ek well-structured texts ka bounce rates bhi kam hota hai, aur social media attention receive karne ke bhi chances high hote hai. Jo aapke content ko automatically high ranking provide karne me help karta hai.
Text Structure Ko Improve Karne Ke Tips
Agar aap apne text structure ko improve karna chah rahe hai to aapko in topics pe dhyan dena chahye:
- Text ka first paragraph
- Your headings
- Har new paragraph ka first sentence
Apne blog post structure ko setup karne ke liye aap hamare post Blog post structure Kaise Setup Kare ko follow kar sakte hai.
First paragraph
Aapko apne post ke first paragraph me is baat ko clearly mention karna chahye ke aapke post kis bare me hai. Apne readers ke attention ko draw karne ke liye aapke pass bahut thora time hota hai. Pahle kuch seconds me hi aapka user ye decide kar leta hai ke use aapke post ko parhna hai ke nahi.
Is liye ye zaroori hai ke aap apne first paragraph me hi apne post ke topic ko clearly bata den. Aisa karne se aap apne user aur google dono ko apne post ke bare me janne me help karenge. Apne focus keyword ko first paragraph me mention karna na bhoolen.
Headings
Aapki heading attractive honi chahye aur ye paragraph ke content ko clear karta hua hona chahye. Aapki heading aapke user ko ek quick scan provide karti hai taki wo ye jaan sake ke kya unhe aapke content ko parhna hai ya nahi.
Apko apne sabhi long paragraph ya kuch short paragraph ke group ke sath hamesha heading dalna chahye.
Aapko apne heading me focus keywords ka bhi use karna chahye. Aisa karne se search engine ko ye janne me help milta hai ke aapka ka text kis bare me hai. Chahe ye ranking factor ho ya na ho par aapke text ke structure ke liye heading ek bahut important factor hai.
Google ye janne ke liye ke text kis bare me iska use kar sakta hai.
Core sentences
Is baat ka khyal rakhe ke aapke paragraph ka pahla sentence us paragraph ka sab se important sentence,core sentence ho. Aapke visitors aapke paragraph ke first sentence ko content ko scan karne ke liye parhte hai.
Paragraph ka second sentence core sentence ka elaboration hona chhaye. Aisa chances hai ke Google text ke topic ko janne ke liye in pe extra attention dega. Agar yaha pe apne keywords ka use kare to ye keywords use karne ke liye bahut acchi jagah hai.
Agar aap ek well-structured article likhte hai aur topic pe rahte hai to aapka keyword naturally bahut se core sentences me aa jayega.
Conclusion
Text structure apne blog pe logo ko attract karne ke sath sath SEO reasons ki wajah se bhi important hai. Halaki well-structured aur well-written text likhna aasan nahi hai. In reasons ko janne ke baad aapko ye pata chal gaya hoga ke text structure important kyu hai.
Ummid hai aapko text structure importance ki ye article (text structure important kyu hai) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.