SEO me hum aksar apne page ke liye ek sahi dhang ka slug create karne ki baat karte hai. Slug ek page ke url ka part hota hai jo kisi unique page ko find karne me hamari help karta hai. Agar ap apne slug ko sahi dhang se optimize karte hai to ye definitely aapko SEO ko improve karne me help karta hai aur apke site pe zyada se zyada traffic ko lane me apki help kar sakte hai. To chalye jante hai ke slug kya hai aur hum ise optimize kaise kare.
Slug Kya Hai?
Slug url ka ek part hota hai jo website pe kisi particular page ko easily readable form me identify karne me help karta hai. Dusre word me kahe to ye url ka wo part hai jo page ke content ko expalin karta hai. For example, is page ke URL https://billi4you.in/slug hai jisme “slug” simply slug hai.
WordPress Me Slug Ko Edit Kaise Kare?
WordPress me slug url ka wo part hai jise hum new article likhne ke time edit kar sakte hai. Slug ko WordPress me edit karna is tarah dikhta hai.
Ek baat dhyan me rakhw ke ye sirf sahi permalink setting ke sath kaam karta hai.
Aap WordPress me permalink settings ko Settings > Permalinks me jakar change kar sakte hai. Aapko aisa option choose karna chahye jiske URL me relevant words ho, kyuki ye user aur search engine ko aapke page ke bare me kisi ID ya parameter se zyada jankari deta hai.
Date ya category jo URL me kabhi kabhi shamil hote hai wo slug ka hissa nahi hote hai. Aur agar aap apne URL me aur bhi variable ko add karte hai to aapka slug URL ka wohi editable part hota hai.
URL ke end me aapko kabhi aditional values dikh jayenge aisa is kliye kiya hota hai taki hum slug ko same rakh kar URL ko alag bana sake.
Slugs SEO Ke Liye Important Kyu Hai?
Agar aap apne post ka ek acche slug ka use karte hai to ye aapke SEO positively affect dalta hai. Ye aapko niche diye jane wale features provide karta hai.
Keywors Ko URL Me Include Kar Sakte Hai
Slug ka jo ek sab se acha benefit hai wo hai ke aap jis keyword ke liye rank karna chahte hai use apne slug me include kar sakte hai, joki Google ke liye ek indicator hota hai tai wo aapke content ke bare me jan sake.
User Friendly URLs
URL un chizon me se ek hai jise search result me user dekhte hai. Is liye aapko aise slug create karna hai taki user use dekh kar samajh sake. Example ke liye agar aap koi article WordPress SEO bare me likh rahe hai to aapko URl- https://billi4you.in/wordpress-seo hona chhaye joki direct point pe hai.
Logo ke aapke is tarah ke URL- https://billi4you.in/?p+9088 se zyada direct topic add kiye jane wale article ke link pe unke click kiye jane ke chances zyada hai.
Also Read:
Slug Ko Optimize Kaise Kare
Slug create karte waqt aapko kuch important chizon ko dhyan me reakhna hota hai, jiski help se aap apne slug ko optimize kar sakte hai.
1. Focus Keyphrase Ko Include Kare
Aapko apne slug me apne keyword ko include karna chahye. Ye aapke user ko clearly ye janne me help karega ke aapka page kis bare me hai. Agar aap SEO yoast use kar rahe honge to aapko ye show karega ke apne slug me keyword ka use nahi kaya hai.
2. Function Words
Aisa slug jo by default generate hota hai usme function words shamil hote hai jaise – “a”, “the” aur “and”. Kabhi kabhi aapko apne page ke bare me clearify karne ke liye inka usekarna parta hai, lekin usually aap inhe chor sakte hai.
3. Add focus
Aap unnecessary function word ko na sirf filter kare balki aap unhe bhi kare jinki aapko zaroorat nahi hai. Yahan pe aapko ek baat ka dhyan rakhna hai ke aap slug ko ek baar hi use kar sakte hai. Isliye aapko ise jo page sahi ho uske liye hi use karna chahye. Example ke liye jaise is article ka URL hai https://billi4you.in/seo joki bahut specific hai. Aur ab aap is same topic ka use kar ke koi dusra article nahi likh sakte hai.
Ye informative article hamare site pe slug ke bare me hai. Lekin agar ye sirf ek additional post hai, aur agar hum is topic ke bare me main article likhna chhaenge to hame problem hoga. Aur aap samjh sakte hai ke aisa kyu hoga kyuki humne is topic ko slug me pahle use kar liya hai.
4. Slug Ko Short And Descriptive Rakhe
Google search results me aapke page ka URL dikhaya jata hai isliye aapko chahye ke aap apne articleko short aur descriptive rakhe taki aapke user aur search engine ko aapke topic ko samajhne me aasani ho.
Apne URL me date ya is tarah ke kisi bhi information ko add na kare, kyu ki is se pata chal jata hai ke aapka content kb plish hua hai.
3. Lowercase Letters Ka Use Kare
Apne slug me lowercase letters ka hi sirf use kare. Aisa isliye hai ke aap kuch cases me uppercase aur lowercase letters ke mix kar ke duplicate content create kar sakte hai.
Aapko in tamam steps ko apne post ko publish karne se pahle follow karna hoga. Agar aap apne post ko publish karne ke baad slug change karne ke bare me sochte hai to ye aapke liye thora mushkil ho sakta hai kyuki aise condition me aapko 404 error se bachne ke liye ke liye redirect karna hoga.
Aap SEO Yoast premium ke help se easily apne post ko redirect kar sakte hai.
Also Read:
Ummid hai aapko ye article (slug kya hai aur hum ise optimize kaise kar?) informative lagi hoaa. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.