Hum sabhi jante hai ke link ek important ranking factor hai jis se hum apne ranking ko Google me boost kar sakte hai. Anchor text ka use hum apne ek page ko dusre page se link kiye jane wale clickable words ke taur pe use karte hia. Ye usually aas pass ke text ki tulna me ek alag colour me dikhta hai aur aksar ye underline hota hai. Ek accha anchor text aapne user ke batata hai ke agar wo us link pe click kiya jayega to wo kis topic pe jayenge. Agar aap sahi dhang se anchor text ka use karte hai to aapke link pe click karne ke chances badh jate hai. Is post me hum aapko batayenge ke Anchor text kya hai aur ise hum optimize kaise kare?
Anchor Text Kaisa Dikhta Hai?
Anchor text hame article ke link hone ke bare me batata hai aur visitors ko click karne ke liye attract karta hai. Yahan tak ki search engine bhi ye samajhta hai ke linked article relevant hai kyuki anchor text related hai. Example ke liye agar aap is article ko link karna chahenge to aap jis anchor text ka use karenge wo “Anchor Text kya hai?” ho sakta hai.
Aapko is tarah se article ko link karna chahye taki wo natural dikhe.
Anchor Text Ke Types
Anchor text aapke internal links aur aapke aane wale external links dono ke liye relevant hai. External sites aapke content se bahut tareeqe se link kar sakte hai.
- Branded links: Aisa link jiska anchoe text aapka brand name ho, jaise Billi4you
- Site name: Billi4you.in ke taur pe likha hua.
- Article title: Article ka Exact match jaise – Anchor Text Kya hai?
- Exact keywords: Anchor text ke taur pe apka keyword/keyphrase.
- Partially matching keywords: Readable link banane ke liye apne keyword ke variant ka use karna.
- Related keywords: Aisa keyword ya keyphrase jo main keyphrase ka direct match nahi balki ke closely related ho.
- Generic links: ‘Click here’ aur ‘Read more’ jaise links ka use karna avoid kare. Aur aise anchor text ka use kare jo logo ko ye bata sake ke aapka link kis bare me hai.
Best Practices
Ye koi rocket science nahi hai, relevant anchor text likhna ek common sence ki baat hai. Aapko aise anchor text likhne hai ke us se topic clear ho jaye aur aapke visitors ko anchor text ko dekh kar hi pata lag jaye ke ye kis bare me hai.
Aapka link aapke user ke liye valuble hona chhaye, aur anchor text us link ke value ko batane ka ek bahut hi important way hai isliye aapko ise natural rakhna chhaye.
Apne keywords ke exact match ke liye aap sentence ko bhada na banaye. Agar aap aisa karemge to wo natural nahi dikhega.
Iske sath hi apne anchor text ko poora ek sentence me na likhe ise jitna ho sake short aur samajhne me aasan banaye.
Read More: Internal Linking Guide
Anchor Text Me Kin Chizon Ko Avoid Kare
Sab se pahle apne link ko relevant rakhe. Apne anchor text ko spam na kare, aur logo ko apne link pe click karne ke liye generic anchor text ka use karne ki koshish na kare.
Aapko aise link kabhi bhi nahi use karna chahye jiska content se koi relation na ho. Aap jo kuch bhi kare lekin apne user ko bewakoof banane ki koshish na kare.
Aur isis tarah se aap aise link ka use kar ke jo link ki tarah na dikhta ho apne site ko alag dikhane ki koshish na kare. Aap contrasting font color ka use kare aur use underline kare.
Internal Links Aur Anchor Texts
Hum sabhi jante hai ke internal links bahut essential hai. Agar aap Yoast SEO ka use kar rahe hai to yaha pe aapko built in internal linking mil jayega jo aapko related content ko link karne ke liye suggest karega.
Internal linking karte waqt aapko anchor test ka khas dhyan rakhna chahye. Isa karne se aap apne user aur search engine dono ko apne site ko easily navigate kane me help karega.
Apne internal linking se zyada se zyada fayda uthane ke liye aap sirf aise links ko add kare jo user ke liye real me valuable ho. Ek acche anchor text ka use kar ke apne page ko link kare taki user ko clear pata ho ke ke link kis bare me hai, taki unhe us topic ke bare me zyada janne me help kar sake.
Anchor text user aur search engine dono ko ye decide karne me help karta hai ke kya is link pe visit karna chhaye ya nahi. Kuch log iske sath khel khelna chhate hai,lekin aap is tarah ke spam me na pare.
Google ye pata lagane me bahut zyada capable hai ke ke kaun sa link unnatural ya harmful hai. Isliye aapko ise natural and relevant rakhna chahye.
Ummid hai aapko ye article (Anchor Text Kya Hai Aur Ise Optimize Kaise Kare?) informative lagi hoaa. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.