Agar aapko aisa lagta hai ke Facebook aur twitter social media tool ki dunya me yahi sabkuch hai to aap ghalat hai. Aaj hum apne is post me ek aise social media tool ke bare me batane ja rahe hai jiske monthly 322 million active user hai. Pinterest un revolutionary social media channels me se ek hai jiske bare me zyadatar logo ko theek se pata nahi hota ke iski unhe kitni zyada zaroorat hai. Aaj is Pinterest guide me hum aapko important Pinterest Growth Strategies ke bare me batayenge.
Pinterest pins 100 times kisi bhi tweet se zyada spreadable hai. Aur jaha tak facebook ki baat hai to kisi bhi pin ki half-life Facebook post se 1,6000x longer hoti hai.
Pinterest ka real strength uska integrated business account feature hai. Pinterest ke business account ke marketing feature ki help se aap apne brand ko is fastest growing aur is popular social media platforms pe promote kar sakte hai.
Is Pinterest guide me hum aapko Pinterest marketing strategy ke sabhi goals aur objectives ko batayenge jisme how to reach your following, what to post, how to measure, jaise bahut se topics honge.
To chalye start karte hai……
Pinterest Guide: Important Pinterest Growth Strategies
Pinterest pe pin create karne se pahle ye bahut zaroori hai ke aap is baat ko jaan le ke aapka brand Pinterest kyu use kar raha hai, aur aap kya achieve karna chahte hai.
Aap khud se ye sawal kare: How will Pinterest benefit my business?
Pinterest dusre social media platforms se thora different hai. yeh content post karne wale ke are me nahi hai alki content hai, aur ye batata hai ke log is se kaise related hai.
Yahan pe teen business Goals & Objectives diye gaye hai jinhe hume Pinterest pe kisi bhi brand ko manage karte Waqt dhyan me rakhna chahye:
Pinterest Business Goals & Objectives
1. Build Brand Equity
Aap Pinterest ka use kar ke apne brand image aur exposure ko strong bana sakte hai.
Pinterest pe aap apne product ki marketing start kar ke apne product ke brand ko build kar sakte hai.
Pinterest ne ek internal brand lift study kiya jisme pinners ko compare kiya gya, jinme aise pinners the jinhone promoted pins ko dekha aur jinhone nahi, jin logo ne unhe dekha unme naye product ke bare me 40% zyada awareness aur 50% zyada us product ko purchase karne ka irada tha.
2. Drive Traffic
Agar aap apne site pe zyada traffic lana chahte hai to aapko Pinterest join karna chahye.
Brands jo Pinterest ka use karte hai unhe apne user tak pahunchne aur product ke awareness ko generate karne me success mili hai.
Aap Pinterest ke use se apne page view ko bahut zyada increase kar sakte hai. Bahut sare examples aapko mil jayenge jinhone apne site traffic ko Pinterest ki help se bahut zyada increase kiya hai.
Pinterest ne referral traffic ko increase karne ke liye apne feed ko phir se redesign kiya hai, taki pinterst user zyada traffic gain kar sake.
Pinterest pe aapko apne site ke liye dher sari traffic milegi, aur is se benefit gain karna aapka kaam hai.
3. Increase Sales & New Customers
Apne brand ki equity build karna bahut acchi baat hai.
Traffic drive karna behtar hai.
Aur Bottomline ko increase karna best hai.
Aur isi ka bahut sare brandiska advantage le rahe hai.
Pinterest pe aapko wo sabhi opportunities mil jayenge jiski e-commerce brand ko ROI increase karne me zaroorat hogi.
To chalye in objectives ko achieve karne ke liye hum sidhe source ki taraf chalte hai aur jante hai ke hum kaise Pinterest pe hum in goals aur objective ko achieve kar sakte hai.
Pinterest pe Apne Business Ko Grow Kaise Kare
Kya aapko idea hai ke Pinterest pe kitne pins hai. Aapko bata den ke Pinterest pe 175 billion se zyada Pins hai. Ab hum aapko batayenge ke aap kis tarah itne zyada pins ke beech me apne pins ko popular banayenge.
1. Apni Website Pe Pinterest Save Button Install Kare
Apni website pe Pinterest save button install kar ke aap apne user ke liye apni site content ko direct pin karna aasan banaye.
Jitna zyada log save button ka use karenge utna zyada content wo aapke liye Pinterest pe add karte hai.
Aapke aisa karne ke baad aap dekhenge ke aapke site ke bahut sare content pinterest pe save ho chuke honge, aur iske sath hi aapke page ka total impression pahle ke comparison me bahut badh jayega.
2. Apply for Rich Pins
Rich Pins aapke audience ke liye zyada actionable data provide karta hai.
Ye four types ke Rich Pins hai: app, product, recipe, and article.
Rich pins use karne ke baad aapke traffic me increase ke chances zyada hote hai.
Agar aap upar diye gaye charo type me se kisi ko bhi pin karne ka plan banate hai to hamara suggestion hai ke aap Rich Pin ka use zaroor kare.
3. Pinterest Tag Ko Apni Website Pe Install Kare
Agar aap Pinterest pe advertising ka soch rahe hai to pinterset tag ko install kare. Pinterest apne ad platform ko improve kar raha hai.
Abhi haal me hi Pinterest ne conversion optimization ad option ko launch kiya hai, jo brands ko Pinterest pe ad dekhne ke baad visitors action ko track karne ke liye allow karta hai.
4. Get Product Pins
Hum sabhi jante hai ke Pinterest aur eCommerce ka ek gahra taluq hai. Isliye ye zaroori hai ke aap apne site pe Pinterest Pin ko install karna chahye.
Pin user ko ek link provide karta hai jaha pe wo purchase kar sakte hai.
5. Upload Your Product Catalog
Pinterest brand ko apne full catelog ko platform pe upload karne ke liye allow karta hai.
Aur agar aap Pinterest pe advertise kar rahe hai, to ye dynamic Product Pins automatically ‘Shop the Look’ Pins pe tie ho jata hai aur apne product ko dynamic Product Pins me badal deta hai.
6. Nail Your Images
Agar apne brand ke liye kisi bhi stock photography websites ka use karte hai to to aap use delete kar de, kyuki Pinterest users custom images ko pasand karte hai jo aapki brand ka unique ho.
Yahan pe kuch tips diye gaye hai jiski help se aap pinterest pe apni images ke sath long lasting impression uild kar sakte hai:
- Mobile experience ke liye design kare: Lagbhag 85% searches jo Pinterest pe hote hai wo moile se kiye jate hai. Iska matla hai ke aapko high-quality images chahye jisme high aspect ratio ho. Pinterest 2:3 and 1:3.5 ke beech (width to height) images ko est manta hai jiska minimum 600 pixels width ho
- Apne Product aur Logo ko naturally Image me shamil kare: Apne logo ya watermark ko image me shamil kar ke aap exposure gain kar sakte hai
- Lifestyle images aur text overlays ka use kare: Apne customers ko prodect ka feel lifestyle shots se de taki unhe product ka behtar exposure mil sake.
Product Descriptions Ko Simple Rakhe
Product description Pinterest ka wo section hai jaha se Pinterest ka asal fun start hota hai.
Yaha pe kuch tips diye gaye hai jo aapko aapke product description ko optimize karne me help karega:
- Apne product description ko 200-500 characters me rakhe.
- Apne product Price ko hamesha add kare.
- Hamesha Apne brand Name Ko Add Kare.
- Apne sahi description me hashtag ka use kare. Hashtag aapke pin se related relevant trending topics ke liye kiya jata hai, isliye aap ise specific rakhe. Agar aap confirm nahi hai ke kaun se hashtag ka use kare to aap pinterest pe guidance ke liye search bar me autocomplete suggestions ka use kare.
- Dusre ko apne description me tag ya mention kare.
8. Pinterest Boards Ko Optimize Kare
Pin description ki tarah hi aapko apne Pinterest board ko bhi ek SEO ki tarah optimize karna chahye. oards ko optimize karne ke liye in steps ko follow kare:
- Top keywords ko find karne ke liye aap keyword research kare. Ye top keywords ko aapkeo apna board tittle banana chahye.
- Board description likhe: Description me aapko ise fill karne ke liye 500 words hai jinka use aap kar sakte hai. Aap apni site product ko explore karne ke liye ek call-to-action aur a URL ka bhi use kar sakte hai.
- Aap aise hi boards create kare jise aap fill kar sake. Jaise agar aap clothing sell kar rahe hai to aapke board ka tittle “black shoes” nahi hona chahye. Aapko apne board tittle ke liye “shoes” jaise broad category ka use karna chahye.
- Apne board tittle ko board description me repeat kare.
- Apne board tittle ke liye ek cover photo create kare, jiska graphic 217 X 147 pixels me hona chahye.
9. Engage Your Following
Kisi bhi social channel ki tarah Pinterest pe bhi networking aur collaboration aapke success ka vital source hai.
Pinterest partnership ke liye ek ideal platform hai. Yahan pe kuch strategy diye gaye hai jinka use kar ke aap apne followings ko Pinterest pe engage rakh sakte hai:
- Start a Group Board: Pinterest ka Group boards aapko allow karta hai ke aap apne collaborators ko board me add kare taki aap dono same board me pin kar sake.
- Comment on Pins: Pinterest ke popular section ka advantage uthane ke liye aap us pe comment kar sakte hai. Aap kisi bhi popular pin ko find kare aur uspe useful, thoughful Pin likhe. Aisa aap din me 2 se 3 times kar sakte hai.
- Follow others: Aap similar interest ke logo ko Pinterest pe follow kare.
- Influencer campaign Create Kare: Pinterest ne influencer marketing platforms jaise OpenInfluence, Hypr, Klear, AspireIQ, Mavrck, Izea, Influence.co and Obvious.ly ke sath partner bana hai. To iska matla hai ke Pinterest aur influencer marketing ke liye bahut kuch aane wala hai jise aap start kar sakte hai.
10. Promoted Pins Pe Invest Kare
Promoted Pins regular Pins ki tarah hi dikhte jise businesses ko promote karne ke liye pay karte hai. Wo is tarah home feed, category feeds, aur relevant search results me dikhayi dete hai.
Promoted pin aamtaur pe har $1 spend kiye gaye ad costs pe $2 earn karte hai. Yeh pata karne ke liye ke aapke usiness ke liye bada investment sahi hai ke nahi, chote pin ke sath Promoted pins ko test kare.
11. Pin Frequently
Pinterest pe frequent posting aapke engagement ko increase karta hai. Agar aap 10-times din me pin karte hai to buffer Pinterest pe aapke engagement ko 150% increase kar deta hai.
Kuch interesting studies hai jinse pata chalta hai ke kitne pin karna best hai:
- Trafficwonker.com ke study ke mutabiq 72 pi per day karna best result aapko de sakta hai. Wahi dusri log 30-50 pins per day ko sufficient mante hai.
- Agar aap pin ke per day ke is amount se fear me hai to aap Tailwind tool ki help le sakte hai jo aapko is process ko manage karne me help karega.
12. Repin More
Pinterest pe sell aur traffic drive karne ke sath sath hi aapko dusre ke pin ko repin kar ke engage aur interact karna hoga.
Aap dusro ke content ko jitna repin karenge utna zyada chances hai ke wo aapke content ko bhi repin karenge.
Repins ko Pinterest apne Algorithm me use karta hai. Jitna zyada repin hoga utna zyada chances hai ke aap search result me show ho.
Ye the kuch important Pinterest Growth Strategies jinka use aap kare aur apne broduct ko aur zyada popular banaye. Pinterest ek social network se zyada hota ja raha hai. Ye logo ke product search ke way ko change kar raha hai.
Humne is pinterest marketing strategy me aapko Pinterst ke bare ek idea diya hai. Aap iske potential ko realize kare aur is se zyada se zyada marketing benefit gain kare.
Ummid hai aapko ye Pinterest guide (Important Pinterest Growth Strategies) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Hindi me mil Tips and Tricks ke articles mil jayenge. Aap hamari videos dekhne ke liye hmare Billi 4 You YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- Instagram ko Facebook Aur Twitter se kaise Link kare
- WhatsApp Fingerprint Lock Android me kaise Enable kare
- Android pe WhatsApp message ko Schedule kaise kare