Kaya aap WordPress posts and pages me font size change karna chahte hain ? To WordPress Font Size Change krna kafi easy hai. Is article me apko Step by Step btayenge ki WordPress Font Size Change Kaise Kare ?
WordPress user-friendly post editing ke liye jana jata hai. Apne favorite word-processing software ki tarh. ye kai options offer krta hai. Aap headings aur paragraphs set krne ke liye drop-down menu ka use krke easily content ko edite kar sakte hain.
Please ye zarur dhayan me rakhen ki apke content ki structure bhut important hote hain, visitors aur SEO dono ke liye. Ek good heading structure hone se search engines ko apke post ke main topics ko scan krne me help milta hai, especially long wale ko. Ye search engine results pages me better ranking achive krne me help krta hai.
WordPress posts ya pages me font size change krne ke liye apko niche diye steps ko follow krna hoga :
- Step : 1 : Jis bhi post me size bada choota krna hai use edit kijye.
- Step : 2 : Uske baad manually jitna bhi texts size ko chnge krna hai use select kijye.
- Step : 3 : Uske baad apko right-hand side me block pe ana hai.
- Step : 4 : Block section me apko Text Setting ka option dikhega.
- Step : 5 : Ab aap Text Setting se small, normal, medium, large, huge. ko choose kar sakte hain. Yafir aapko yahan pe custom ka option bhi mil jata hai. Custom me aap apne according number daal ke jitna bhi text size rakhna rakh sakte hain.
Ummid hai aapko ye article ( WordPress Font Size Change Kaise Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Me Password Protect Page aur Post Kaise Create Kare ?
- WordPress Sidebar me Social Media Icons Add kaise Kare ?
- WordPress Site Ko Social Network Me Convert Kaise Kare ?
- Complete Social Media Cheat Sheet – For WordPress