Google Play store millions user ke through use kiye jane wale awesome Apps ka vast world hai jahan se har tarah ke Android App ko Download kiya ja sakta hai. Aaj is post me hum aapko aise Google Play store tricks ke bare me batane wale hai jise apply kar ke aap Google Play store pe un Apps ko bhi Install kar sakte hai jo aapke country me available nahi hai.
How to Install an app that isn’t available in your country
Agar aap koi aise App ko download karna chahte hai ji aapke country me available nahi hai to aap VPN ke use se use download kar sakte hai.
- VPN ko download kare
- Us country ko selet kare jahan pe App available hai, aur VPN se conect kare
- Ek baar connection securely create ho jane ke baad Playstore ke Android app settings ko open kare aur App data aur cache clear kare.
- Google Play Store app ko open kare terms of usage ko accept kare
- Kisi bhi browser ko open kare aur us App ka naam enter kare jise aap Install karna chhate hai.
- Google Play link pe click kare aur Play Store ko open kare.
- Ab aap Play Store se App ko download kar sakte hai.