Ultrasurf ek desktop based proxy program hai jo ISP ya phir aapki country me block kiye gaye website ko access karne ke liye Use kiya jata hai. Ultrasurf ki tarha hi bahut se proxy software’s hai jaise Your-freedom, Freegate, JAP. Lekin in sab me Ultrasurf ek best option hai kyu ki ye ek lightweight desktop software hai jisme installation aur bahut zyada configuration ki zaroorat nahi parti hai. Is post me hum aapko batane wale hai “how to use Ultrasurf proxy Software”.
How to use Ultrasurf proxy Software
- Sabse pahle aapko Ultrasurf download karna hoga. Lekin agar aapke network pe proxy sites ko block kar diya gya hai to aap ise niche diye gaye link se download kar sakte hai.
2. Ultrasurf zip file ko download kar lene ke baad, use unzip kare aur u.exe ko run kare. Ultrasurf ke liye kisi bhi configuration ki zaroorat nahi hai aur by default internet explorer open ho jayega, Aur proxy setting automatically configure ho jayega.
3. Ultra-surf Internet se connect hone ke baad 3 servers se connect hoga aur sabse accha server se automatically connect ho jayega.
4. Agar aapke device me “Successfully connected to Server!” ka status nahi dikhta hai aur not connected show kar raha hai to aapko setting me ja kar dekhna hoga ke aap kisi dusre firewall software ya Windows firewall ka use kar rahe hai to aapko ultraSurf ko exception me add me karna hoga.
Settings to connect UltraSurf
Agar aapke internet connection ke liye aapko proxy setting set karne ki zaroorat hai to internet se connect karne ke liye aapko us proxy ka use karne ke liye Ultrasurf ko setup karna hoga.
- options pe click kare uske baad Proxy settings pe
- Phir Manual proxy settings me jaye aur net se connect hone ke liye network admin ka provide kiya hua proxy server address enter kare
- Ok pe click kare Ultrasurf proxy program internet se connect ho jayega.
Set a Proxy in UltraSurf With Firefox
- Firefox launch kare, “Tools” Menu pe click kare aur phir “Options” me jaye
- “Network proxy” ke option ko search kare.
- “Configure how Firefox connects to the Internet” ke next me “Settings” tab pe click kare
- “Manual proxy configuration” ke side me check box pe click kare.
- “HTTP proxy” ke next wale field me “127.0.0.1” type kare aur “Port” field ke next me “9666” type kare. Ok enter kare.