Hamare sath bahut baar aisa hota hai ke hume apne phone ko family ya friends ko dena par jata hai. Hamare phone me bahut se aise images, videos, aur file hote hai jise ham kisi dusre ko dikhana nahi chhate hai. To agar aap Android user hai to aap apne files aur folder ko hide kar sakte hai taki wo sirf file manager se hi open ho sake. Agar aap bhi apne Android phone me apne file aur folder ko hide karna chhate hai to niche diye gaye “How to hide file and folder in Android” guide ko follow kare.
How to hide file and folder in Android
Method 1: Create a dedicated hidden folder
Is method me ek naya folder create karna hoga joki automatically hidden hoga. Aur aap isme apne kisi bhi photos, file aur video ko store kar sakte hai.
- Apne Smartphone pe File Manager App ko open kare
- Create a new folder ke option pe dhundhe
- Folder ka naam type kare
- Folder ko hidden banane ke liye Folder ke naam se pahle ek (.) ka use kare.
- Ab un sabhi data ko is folder me transfer kar den jise aap hide karna chahte hai.
Method 2: Hide an existing folder
Is method ki help se aap apne pahle se maujood folder ko hide kar sakte hai jsie whatsApp media folder.
- Apne Smartphone pe File Manager App ko open kare
- Us Folder pe jaye jise aap hide karna chahte hai.
- Folder ko open kare aur ‘Create new file’ option pe tap kare
- ‘.nomedia’ File name type kare
- File manager se Exit kare aur apne phone ko restart kare
- Ab aapka folder Hide ho jayega
How to access Hidden File and Folder
- File manager app me jaye aur settings me ‘Show hidden files’ option ko select kare
- Hidden folder ko dekhne ke liye Folder location pe jaye
- Method 2 me create kiye gaye ‘.nomedia’ file ko folder se delete kar den.