How to download showbox on android: ShowBox Android ke liye ek popular third-party media streaming aur downloading App hai. Abhi ye google play store se direct downloading ke liye available nahi hai. Anpne Android smartphone pe ShowBox ko direct download aur install karne ke liye aapko apne device pe kuch setting ko change karna hoga.
Apne phone pe showbox ko download aur install karna bahut aasan hai. To aeeye dekhte hai ShowBox download kaise karen.
Setting ko kaise change karen
- Apne phone pe Settings icon pe tap karen aur niche scroll karen
- Apps ke option pe click karen aur Chrome ko select karne ke liye niche scroll karen
- Chrome pe tap karen aur niche scroll kar ke Install Unknown Apps ke option ko select karen.
- Option ko select karne ke baad aapko right side me ek slider dikhega jispe “Allow from this source” likha hoga. Us slider ko tap karen taki aap Chrome browser se aap ko download kar sake.
Agar aapke pass poorane version ka Android phone hai to aapko “Settings,” me ja kar “Security,” ke option pe jana par sakta hai uske baad “Device management,” ko aur finally “Install apps from unknown sources” ko sellect karna hoga taki aapka phone ShowBox ke liye ready ho sake.
Also Read: WI-FI ka Password Pata Kaise Karen
How to download Showbox on android
showbox ko Android pe download karne ke liye sabse pahle aapko ek bharosemand site se Android ke liye showBox apk milna chahye. Hamesha is tarah ke non-google play downloads ke sath, chrome ke zarye se files ko download karte waqt hoshyari baratni chahye. Agar aapke phone me virus protector hai to phir aapko koi diqat nahi hogi.
- Chrome ke zarye android pe ShowBox for Android APK files search karen. Aur jub aapko koi mil jata hai aur aapko lagta hai ke ye bharosemand hai to process ko start karne ke liye download link pe click karen.
- Aagar aapne unknown source se file ko accept karne ke liye setup kiya hoga phir bhi browser aapse message ke zarye ye poochega ke kya aap ShowBox APK download karna chahte hai. File ko download karne ke liye “Download” pe click karen aur phir chrome aapse poochega ke kya aap ise open karna chahte hai.
- Ab Showbox aap khud aapse poochega ke kya aap apne phone pe App install karna chahte hai. Agar aap install karna chahte hai to install page ke “install” ke option pe click karen.
- Ise install karne ke baad Showbox app automatically launch ho jata hai aur aap movies, TV shows wagairah ko stream karne ke liye ise use kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.