Best battery saver app: Traditional phone ke comparison me latest smartphone bade screen Dual SIMS, 3G/4G technology, aur zyada storage capacities ke sath aata hai. Insari facility ki wajah se hamare smartphone ki battery bhi bahut jaldi khatm ho jati hai. Isliye har koi apne smartphone ki battery life ko improve karna Chahta hai. Agar aap bhi battery ke jaldi khatm hone ki problem ko face kar rahe hai to battery saver apps download kar sakte hai aur apne battery ki life ko improve kar sakte hai.
Bahut saare battery saver software market me available hai jiski madad se aap apne battery ko save hi nahi balki iske backup ko boost bhi kar sakte hai. To aaj hum aapko apne phone ki battery ko boost karne ke liye kuch best battery saving app ke bare me batane ja rahe hai.
Also Read: मोबाइल पर LIVE TV देखने के लिए ये हैं 5 पॉपुलर ऐप्स | Android Live Tv Apps
Best Battery Saver Apps for Android Device
Greenify
Price: Free / $2.99 (optional donate version)
Greenify best battery saver apps me se ek hai. Ye App android aur iOS dono ke liye available hai. Is App ke 10 millions se zyaad downloads ho chuke hai. Greenify aapke phone me un Apps ko identify karta hai jo background me run hote rahte hai aur battery ko consume karte hai. Background me run ho rahe in Apps ko stop karke phone ke battery ke consumption ko rokta hai. Ye App rooted aur non rooted dono device ke liye useful hai.
Greenify App apne “close everything” feature ki help se aapko un Apps ki list ko choose karne ki permission deta hai jinhe aap band karna chahte hai. In sab ke sath hi Greenify ye claim karta hai ke wo aapke personal information ko save nahi karta hai.
Battery Doctor
Price: Free
Battery doctor mobile device ke liye free battery monitor aur energy saving tool hai joke 28 languages ko support karta hai aur Android aur iOS devices dono pe acche se kaam karta hai. Ye App dono platform par downloading ke liye free hai. User-friendly interface ke sath yahan pe sirf ek tap pe aap battery ko consume kar rahe applications ko stop kar ke battery power ko optimize karne ke option mil jayenge.
Battery doctor App ke type ke hisab se battery ke condition ko monitor karne ki permission deta hai. Yahan pe aapko power saving modes, accurate battery-left time, brightness control aur screen off hone ke baad chal rahe App ko rokne jaise feature available hai.
DU Battery Saver
Price: Free
DU Battery Saver Android aur iOS device ke liye design kiya gya ek free battery saving app hai jisme ek aasan control widget aur one-touch power optimization diya gya hai. Ye automatically battery draining Apps ko identify karta hai aur problem ko fix karta hai.
Du battery saver App ki unique feature “phone cooler” option hai jo aapke non-active CPU intensive applications ko shut down kar deta hai. Wahin “task killer” widget aapko Wi-Fi, brightness, sound, aur data ko ek tap me manage kar ke battery usage ko optimize karne me madad karta hai.
Avast Battery Saver
Price: Free
Avast Battery Saver Android user me ek popular battery saver app hai, jo aapki battery life ko un Apps ko stop kar ke badhata hai jinka aap use nahi kar rahe hai. Ye App battery saving App ko on/of karne ke liye ek single master switch provide karta hai. Iski smart technology smartly remaining battery ko calculate aur display Karti hai. Agar aap manual setting nahi karna chah rahe hai to aap environment ke hisab se work, home, emergency, night, and smart mode jaise pre-set battery saving profiles ko select kar sakte hai. Ye App in-App purchase ke sath free hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.