Agar aap ek best WordPress SEO plugin khoj rahe hain, To aapko “All in One SEO Pack” zarur pasnd ayega kiyunki ye abtak ke most popular WordPress plugins me se ek hai (Iske 2+ million Active installations hain). Is guide me hum apko WordPress me All in One SEO Pack Install and Setup Kaise Karenge ye dikhyenge.
Why You Need a SEO Plugin for WordPress ?
‘Search Engine Optimization (SEO)’ google ya kisi bhi dusre search engine me aapki website ko higher rank pane me help karta hai. Isme bahut sare options hain jiske zariye aap apne SEO me improvement la sakte hai, Jaise meta tags add kar ke, XML sitemaps create kar ke, duplicate content avoid kar ke etc.
All in One SEO Pack apko WordPress dashboard ke sabhi features ko easy interface ke tarah use karne me help karta hai.
Note: wpseekho me, Hum Yoast SEO plugin ka use karte hai, Lekin search engine ke liye website optimize karne ke liye All in One SEO pack aur Yoast SEO dono hi best SEO plugin hai.
Setting up All in One SEO Pack in WordPress :
Ye free aur premium dono hi version me available hai. Pro version $79 me purchase kar sakte hai, aur isme bahut sare advance additional features bhi provide kiye gaye hai like – video sitemaps, eCommerce SEO, 1 year of professional support etc.
Sabse pahle apne WordPress site par “All in One SEO Pack” ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad aap dekhenge ki, WordPress admin bar me ek new menu item “All in One SEO Pack” Plugin ka “logo” add ho jata hai.
General Settings :
Plugins setting ko configure karne ke liye All in One SEO » General Settings par click kare. Settings page par, ab yaha ek settings ke bunch ko notice karenge. Har setting option ke pas me ek question mark hota hai, Aur uss question mark par click karne se uss option ke bare me info aur uske work ka pata chal jata hai.
General Settings page par pahla option “canonical URLs” set karne ka hai. Sare post ke liye ek canonical URLs specify karne se aap google se duplicate content ke dand se bach sakte hai.
WordPress installation me aap ko homepage, archives page, author page, category and tag pages jaise several locations par single post display ki jati hai. Isi wajah se mai WordPress archive pages me full post ke bajae article summary ya excerpts ka use karne ke liye recommend karti hu. Kyunki sabhi page par full article display karne se duplicate content banti hai.
Homepage Settings
Homepage settings section me, aap apne homepage ke liye title specify kar sakte hai. Ye title aapke WordPress website ke title se alag ho sakta hai. Agar aap title ko attractive banana chahte hai to title me important keyword use kana chahiye.
Agar aap iss field ko khali chhor dete hai, to ‘All in One SEO’ WordPress website ke default title ka use karega. Chahe kyun na aap ek alag title ya apne blog ke jaise hi kisi title ka use kare ho, Make sure kar le ki title me apke main keyword hai. Example ke liye, hamare homepage ka title wpseekho – Ye WordPress sikhane ke liye puri guide hai.
Homepage description field me, aapko apne website ka brief description provide karega. Ise 156 characters ke andar rakhen aur description se apni website ke sabse important keyword ka use karne ke liye try kare. Aap ise make sure karna chahte hai ki ye readable aur samjhne me asan ho, to description me keyword ke sath overboard na jaye.
Agar aap iss field ko khali chhorte dete hai, to All in One SEO usko aapke homepage par use nahi karega. Agar aap maximum benefits gain karna chahte hai, to iss field ko fill kare.
Agar aap static front page ka use kar rahe hai, to “Use Static Front Page instead” ke paas me “enable” par click kare. Ab aap apne front page ko edit kar sakte hain aur All in One SEO meta box me title aur description add kar sakte hai.
Title Settings
Title settings aapko WordPress ke zariye generated har page (single post, main page, archives, tags, aur category pages) ke liye default title templates set karne ke liye allow karta hai.
WordPress ke zariye generated sare pages me aapki WordPress theme file me ek <title> set hai. First option, “Rewrite Titles” me title ko rewrite karne ke liye All in One SEO ko allow karta hai. Ye by default kisi bhi theme settings ko override karne ke liye enabled rahta hai.
Mai recommend karti hu ki, aap iss setting ko chhor de kyunki mera manna hai ki theme ko SEO option me nahi add karna chahiye.
Isme aap ye bhi modiy kar sakte hai ki, different page ke titles ke liye use kiye gaye predefined tags ko badal kar apke single, archive aur kisi dusre pages ke titles ko laga kar dekh sakte hai ki ye kaisa dikhega.
Mai ise chorne ke liye recommend karti hu kyunki ye optimal results ke liye hai. Agar aap bahut sare landing page create kar rahe hai, to apko sirf “page title format”change karna hai. “Page title format” ya blog title part se site ka title apki 60 character limit nahi le raha hai, aur apka entire page title search me show hota hai.
Custom Post Type Settings
Custom post type settings me, aap apni site par use kiye jane wale kisi bhi custom post type ke liye All in One SEO plugin enable kar sakte hai.
Example ke liye, Agar aap WooCommerce ko use kar rahe hai to apka product ek custom post types hai aur use yaha show kiya jaega. Aap products ke liye SEO options enable kar sakte hai. Sabhi post types ko advanced SEO settings ki zarurat nahi hai.
Example ke liye, agar aap Envira Gallery plugin ka use kar rahe hai, to apki galleries yaha custom post type ke jaise show hogi, Jiska title ‘Envira Galleries’ hoga. Kyunki galleries ko usually WordPress posts aur pages me add kiya jata hai, Isliye apko unke liye advanced SEO option ki zarurat nahi hai.
Agar aap standalone galleries create karne ke liye, Envira’s standalone gallery addon ka use kar rahe hai, to aap uss custom post types ke liye “SEO” ko enable kare.
Display Settings
Display settings apko post ka SEO title aur posts screen par description dikhane ke liye allow karta hai. Ye by default enabled rahta hai aur aap is settings ko enabled hi chhor sakte hain.
Webmaster Verification
Ye wo jagah hai, jahan aap apni website ke ownership ko verify karne ke liye, Google, Bing ya Pinterest etc ke zariye provide kiya gaya webmaster verification code add karenge.
Mai recommend karungi ki, aap google webmaster tool aur Bing Webmaster Tools ke liye signup kare kyunki ye aapke SEO me help karega. Agar aapki website me kuch garbar hogi , to aapki website search engine se connect karne mesearch engine ko notify karne me madad milega.
Ye webmaster tools apko apki site aur apki search engine rankings ke bare me useful information provide karta hai. fir aap apne content ke strategy banane aur apni sites ke SEO ko improve karne me uss info ka use kar sakte hai.
Agar aap apne WordPress site par traffic lane ke liye Pinterest ka use karte hai, to Pinterest ke sath apni site ko verify karne se aap Pinterest Analytics ka use kar sakenge.
Google Settings
Google settings section me, aap google verified authorship add karne ke liye apna Google Plus profile URL enter kar sakte hai. Ek bar jab aap wahan link add kar denge, to apko page ke bare me apni Google+ profile par jana hoga aur contributors section me apni site ko add karna hoga.
Bhale hi google ne search results me author profiles ko use karna band kar diya ho, Lekin kuchh SEO folks ka manna hai ki, ye useful nahi hone ke wajah se harmless hai.
Yaha aap apni website ke liye apni Google Analytics ID bhi add kar sakte hai, aur All in One SEO automatically apna Google Analytics code add kar dega.
Noindex Settings
Ye section apko search engines ke zariye apni sites par category aur archive pages ke index ko disable karne ke liye allow karta hai. Kuch SEO experts ka manna hai ki ye duplicate content hai aur inn pages ko indexed karna behtar nahi hai.
Jabki, dusron ka manna hai ki apko apni sites par category aur archive pages ke index ko enable karna chahiye. Aur category archives aur tag archives jaise useful archives ko rakhna chahiye. All in One SEO by default, category aur archive pages ke liye noindexing ko enable rakhta hai, Mai recommend karti hu ki aap categories ko “mark” na kare.
Agar aap single author blog run kar rahe hai, to mai recommend karti hu ki aap author archives ke liye bhi noindex ko disable kare. Lekin agar aap multi-author site run kar rahe hai, to apko search engines index author archives dena chahiye.
Advanced Settings
‘Advanced settings section’ experienced webmasters ko apni website ke optimization ke kuch aspects ko modify karne ke liye allow karta hai. Jaise excluding pages, adding code to headers, auto-generate descriptions etc.
Jab tak aap jaan nahi lete ki aap kia karna hai, to mai apko recommend karungi ki ap iss section ko chhor dein.
Keyword Settings
Bahut se SEO experts ka mann hai ki, meta keywords tag ko use karne se koi faeda nahi hai. dusri taraf kuchh experts ka manna hai ki wo abhi bhi useful hai.
All in One SEO me by default keywords disabled rahta hai. Agar aap keywords ka use karna chahte hai to aap use yaha par enable kar sakte hai. Mai apni website par meta keyword ka use karti hu kyunki mera manna hai ki agar wo useful nahi bhi hai to koi baat nahi, sare post ke sath kuch keyword add karne me koi harm nahi hai
The Features Manager :
All in One SEO Pack ek powerful plugin hai, aur jaisa ki apne dekha hai isme bahut sare options hain. Aur uss features ko use karne ke liye apko “All in One SEO >> feature manager” par ja kar features ko activate karna hoga. Iske kuch features box se bahar wale users ke liye available nahi hai.
All in One SEO ke creator ka manna hai ki kuch users pahle se hi XML sitemaps aur Facebook Open Graph meta tags ke liye kisi dusre plugin ka use kar rahe hote hain. Agar aap bhi XML sitemaps aur Facebook Open Graph meta tags ke liye kisi dusre plugin ka use kar rahe hai, to apko maximum SEO advantage gain karne ke liye two addons ko activate karne ki zarurat hai.
Yaha kisi bhi features jaise XML Sitemap, Social Meta aur Robot.txt etc ko activate karne se ye apke All in One SEO settings me add ho jaenge.
XML Sitemap Settings
Simply, aap All in One SEO » XML Sitemap page par jaye aur “Notify Google’ and ‘Notify Bing’ options ke paas wale box ko “mark” kare.
Baki sare options ko chhor de, jo jaise waise hi hai. Aur “update” button par click kare.
Social Meta Settings
Sabse pahle apko All in One SEO » Social Meta Settings page par jana hai aur “Homepage setting section” tak scroll down karna hai. ye wo jagah hai jahan aap apne sites ke liye title, description, aur home page ke liye image set kar sakte hai.
Jabki, hamne General settings me already hi homepage title aur description set kar liya hai. Isliye aap ” Use AIOSEO Title aur Description” option ke paas wale box ko “mark” kare.
Next aapko ek image upload karne ki zarurat hai, kyunki iss image ka use jab apke kisi link ko Facebook, twitter jaise socal sites par share kiya jaega tab hoga.
Jab aap iss page ko scroll karnege to apko ek social profiles link section milega, jahan aap apne social profile URLs ko per line ek ek link add kar sakte hai.
Next section aapko Facebook admin aur app ID set up karne ke liye allow karta hai. Iss section me setting apko Facebook author tag add karne aur website ke liye ‘Facebook Insights’ gain karne ke liye allow karta hai.
Optimizing Posts and Pages with All in One SEO :
All n one SEO plugin WordPress post/page edit screen me ek meta box add karta hai. Jabki bahut se beginner aksar confused hote hai ki ise properly kaise use kiya jaye. Kis type ke title ka use karna chahiye ? ya Description kaise likhe ?
Isliye mai chahti hu ki aap All in One SEO Pack setup karne se pahle hamare separate article Step by Step – WordPress SEO Complete Guide for Beginners ko read kare. Aur jane ki kaise properly WordPress post ko optimize karne ke liye SEO function ka use kiya jata hai. Agar aap koi dusra SEO plugin use kar rahe hai to koi baat nahi, sabka concept same hi hota hai. Isliye ye apke liye useful hai.
Single posts aur pages ko optimize karne ke liye, aap apne zariye likhe gaye sare post ke liye SEO title, description, aur keywords enter kar sakte hai.
Iss meta box ki settings apke global All in One SEO settings ko override karti hai. Aur agar ap use khali chhor dete hai, to All in One SEO apke liye uss fields ko fill karne ke liye apni global settings ka use karta hai.
Ye title ke tarah apke post title ko use karega, Description ke tarah posts excerpt ko use karega, Aur keywords ke tarah tags ka use karega. Agar aap maximum results gain karna chahte hai, to mai recommend karti hu ki aap iss field ko khali chhorne ke bajae manually fill kare.
Inke alawa agar aap search engines par ek specific post ya indexed page gain nahi karna chahte hai, to nofollow aur noindex options set kar sakte hai. beginners ke liye iss option ko avoid karna hi best hai.
Lastly, aap kisi particular post ya page ke liye All in One SEO ko bhi disable kar sakte hai, Lekin aisa karna bawakoofi hai. Kyunki upar diye gaye sare process aapne maximum SEO benefit ke liye apne single post aur page ko optimize kiya hai.
Ummid hai aapko ye article ( All in One SEO Pack Install and Setup ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen