Agar aap ek news website run kar rahe hai to aapke pass ise search engine ke liye optimize karne ke liye bahut kuch hai. Is post me hum News Site Optimization ke liye kuch chizon ko discuss karenge jise aapko apne news website ko optimize karne ke liye dhyan me rakhna hoga.
SEO ke kuch rules jaise great content publish karna aur good user experience provide karna universal hai jo har tarah ke website ke liye zaroori hai.
Lekin hame har tarah ki website ke liye exact same set of SEO guidelines ko follow karne ki zaroorat nahi hoti hai.
News Site Optimization me kuch particular chizon pe dusre types ke sites ke comparison me zyada dhyan dena hota hai.
Yahan pe News Site Optimization ke kuch best practices diye gaye hai jinhe aapko apne site ko search ke liye optimize karte waqt dhyan me rakhna chhaye.
1. Build Evergreen Content
Ek news website ka core business timely subjects ke bare me likjna hota hai.
Ninety-nine percent time jub aap timely subjects ke bare me likhnge to aapke articles ka naturally ek short lifespan hoga.
Initially aap apne article pe bahut zyada traffic dekhenge, aur time ke sath jaise jaise ye article poorana hota hai to aapka article kam se kam traffic gain karne lagta hai. News article ka nature aisa hi hota hai ke starting me wo acche traffic gain karta hai aur time ke sath hi uska traffic aana kam hota jata hai.
Aur isi wajah se aapko apne site pe in Uttar aur charhao ko dekhna hota hai, aur isi liye aapko consistently high levels traffic ko maintain karne ke liye hamesha article likhte rahna hota hai.
Lekin aap evergreen content ke core news model ke intact ko barqarar rakhte huye apne site pe traffic ke consistent flows ko manage kar sakte hai.
Evergreen aise content hote hai jo long period tak relevant aur useful hote hai.
Aap Investing.com pe jakr dekh sakte hai ke yahan pe kis tarah se is chiz ko manage kiya gaya hai.
Halaki inhe apne actual news articles se ek fair amount ki traffic mil jati hai, lekin uske sath hi ye apne evergreen content se traffic ke consistent flows ko maintain karte hai.
2. Sure Kare Ke Apka Content Google News Me Show Ho
Apne content ko Google News me zaroor include kare.
Google standards pe poora utarne ke liye ke liye content guidelines ko parhe. Reputable news sources in guidelines ko already follow kar rahe hai.
Iske sath hi aap apne site ke technical guidelines ko bhi check kare taki Google aapke site ko crawl kar sake aur ye jaan sake ke kaun sa pages news article ke hai.
Ek baar apne site ke accept hone ke baad strong content produce karne ke liye work kare.
Google News organic search jaise bahut sare basic SEO principles pe hi kaam karta hai.
Industry authoritativeness, keyword optimization, uniqueness, aur social shares aapko behtar rank karne me aur Google News se zyada se zyada traffic gain karne me help karenga.
3. Clean Architecture Pe Concentrate Kare
News Site Optimization ek special SEO challenge deta hai kyu ki wo usually large aur constantly grow karne wale site hote hai.
Iska matlab ye hai aapke site ka architecture aapke user ke site navigation aur search engines ke easy crawl dono ke liye bahut important hai.
Apne site pe use kiye jane wale tag aur categories pe nazar dale aut ye soche ke kya ya aapke liye kaam kar raha hai.
Aapke site pe itne tags aur categories hone chahye ke aapke user easily apne khoje jane wale topic ko dhoondh sake.
Agar aapke site pe multiple tag hai jisme bahut kam articles hai to aapko unhe ek sath combine karna chahye taki aapke har page pe zyada content ho.
Dusra important aspect jo site structure ka hai wo hai depth. Easy word me ke aapke site ke home page se kisi bhi page pe jane me kitne clicks karne parte hai. Ye ideal hai ke aap is number ko jitna zyada rakh sake utna rakhe.
Search engines aapke site ko ek page se dusre page ko crawl karne ke liye link ka use karta hai isliye aapke site ka jitna kam deapth hota hai utna zyada crawler ke aapke site ko crawl karne ke chance hote hai.
Dusri chiz jo aapke site architecture ko improve karti hai wo hai har page ke niche “next” and “previous” buttons ki jagah pagination ka use karna. Ye irrelevant pages se direct kisi specific pages pe jump ko aasan banata hai.
4. Mobile Usability
Mobile usability kisi bhi website ke liye aajkal bahut important hai, lekin news site ke liye ye aur bhi zaroori hai.
Majority population apne mobile phones se hi news follow karte hai.
Kam se kam aapki site ko responsive design ka use kar ke construct kiya jana haye, taki wo aapke user ke kisi bhi screen size pe fit ho.
Iske sath hi aapko Accelerated Mobile Pages (AMP)ko consider karna chhaye joki ek publishing technology hai jo formatting ko hatati hai aur mobile users ke liye pages ko jaldi load karti hai.
Lekin jald hi Google apne Page Experience algorithm update me AMP ke use ko hatane wala hai.
5. Crawl Speed Ke Liye Optimize Kare
Jub baat News Site Optimization ki aati hai to aapki site ke pages ko Google pe fast crawled aur fast index hone ki zaroorat hai.
Fortunately, several SEO factors hai jo jo aapke crawl speed me help kar sakte hai, jisme site speed, hosting performance and XML sitemaps shamil hai.
Aap news sitemaps dusre sitemap ki tarah consider nahi kar sakte hai.Iskeliye Google ke kuch important guidelines hai.
Pahle aapko apme sitemap me 1,000 URLs ya is se kam ko add karna chahye. Aap apne URLS ko multiple sitemaps me break kar ke add kar sakte hai. Lekin is baat ka dhyan rakhe ke 50,000 sitemaps se zyada sitemap index fileme add na kare.
iske sath hi aapko apne news sitemap ko fresh article ke sath upadate karte rahna chahye. New articles ko add karne ke liye news sitemap create na kare balki existing sitemap ko hi update kare.
Aapke news sitemap me last two days ke news honge, aur sare articles news index me30 days ke liye rahenge.
Sitemap create karne ke liye non-Google plugins ka use kare. Agar aap Google Sitemap Generator ka use karte hai to isme aapke specific news articles correspond URL shamil nahi honge.
Site pe publish hone ki frequency aapke crawl speed me positive impact dalti hai. Agar Googlebot ko lagatar aapki site pe har crawl pe new content milega to wo aapke site pe jaldi jaldi aayega.
Lekin zyada content publish karne ka matlab ye nahi hai ke aap site pe kuch bhi publish kare. Agar aap unnecessary content ko publish karte hai aur Googlebot apna precious crawl budget in ess valuable pages pe waste karta hai to aapke good content unseen rah sakta hai.
As a rule of thumb, hamesha duplicate content ko avoid kare aur unwanted pages ko robots.txt/robots meta me optimal crawl speed ko ensure karne ke liye block kare.
Ummid hai aapk News Site Optimization ka ye article (News site Ko Optimize Kaise Kare) informative lagi hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.