Har ek successful blog content ke ek solid foundation pe banta hai, lekin iski consistency hi ek successful search engine ranking ki key hai. Apne content ko likhne se pahle hume apne content ke layout ke structure pe dhyan de. Structure aapke text ka skeleton hai, aur ise prepare karne ke kayi benefits hai. Agar aap apne structure ko pahle se hi ready rakhte hai to aapko text likhna aasan ho jata hai. Dusra ye ke agar aap ek structured post likhte hai to ye aapke user ko aapke post ko easily parhne aur samajhne me help karta hai. Is post me hum aapko batayenge ke aap kis tarah se ek clear blog post structure setup kar sakte hai.
Text Structure SEO Ke Liye Important Kyu Hai?
Kisi text ko acche se structure karne se aapke text ki readability improve hoti hai, aur is se aapke readers ko aapke content ko samajhne me help milti hai.
Agar reader aapki di gayi information ko behtar dhang se samajhte hai to is baat ke chances zyada hai ke unhe apne question ka answer mil jaye.
Jub Google ye notice karta hai ke aapke diye gaye answer ek valuable answer hai to Google search result me high ranking ke chances badh jate hai.
Apna Blog Post Structure Setup Kaise Kare?
Jub bhi likhne ke liye baithe to pahle soche. Pen aur paper ki help se aap pahle kjo likhna chahte hai uske bare me likhe. Isme keyword research shamil hai, lekin ideally aapne ye kaam pahle hi kar liya hoga. Aap keyword research ke bare me zayada jankari ke liye aap hamare Definite Guide: Keyword Research Kaise Kare ko follow kar sakte hai. Ab aap apne text ka structure set kare. Apna blog structure setup karte waqt aap in teen steps ko follow kare:
- Topics Ka List Create Kare: Ek baar jub aap apne post me use kiye jane wale sabhi information ko gather kar le to aap structuring start kar sakte hai, isliye aapun sabhi chizon ki list bana le jinhe aap apne post me cover karna chahte hai. Aap is post ke liye structuring ke example ke taur pe is image ko dekh sakte hai.
- Topics Ko Eksath Bunddle Kare: Jub aapke pass sabhi topics jinhe aap apne article me discuss karna chahte hai unka ek clear overview hota hai to aapke liye un topics ko bundling karna start kar sakte hai. Is se aapko pata chal jayega ke kaunsi similar topic hai jise aapko eksath discuss karna chahye. Is post ke liye ye is tarah ka dikh sakta hai.
- Order your topics : Bundlling karte waqt aapko apne article me topic ke order ke bare me decide karna chahye. Most cases me aapko thematically order karne ka decision lena chahye. Example ke liye agar aap apne blog post ke main topic ke bahut se aspects ko discuss karna chahte hai. Lekin aap apne text ko chronologically order kar sakte hai, jaisa ke aap niche diye gaye order table image me dekh sakte hai. Is image me topics ko thematically discuss kiya gaya hai joki sabse zyada mayne rakhta hai.
- Every sub topic Ke Bare Me kuch Na kuch Likhe: Apne article me aap jin topics ko cover karna chahte hai unhe order karne ke baad aapko ek new list banani chahye. Is list me essentially us article ka summary hoga jise aap likhna chahte hai. Aapne jitne bhi paragraph likhne ka plan kiya hai unke are me kuch words ya sentences zaroor likhe. Ye list aapke article ke liye skeleton ki tarah kaam karti hai isliye aapko apne poore writing process ke dauran iske close me rahna chahye.
Text order types
Theme ke according apne topic ke order ko arrange karne ke alawa aap unhe chronologically bhi order kar sakte hai ya phir aap pahle basic ko explain kare uske baad difficult aspects ko, jise didactic order kaha jata hai.Agar aap ek complicated subject ko expalin kar rahe hai to aapke liye ye ek accha idea hai.
Apart from arranging the order of topics according to a theme; you could also order them chronologically or by explaining the basics first and going on to more difficult aspects – known as a didactic order. This is a good idea when you are trying to explain a complicated subject:
Apne article ko order karne ka ek aur way inverted pyramid style hai, ye ek aisa method hai jiska use journalist sadyo se karte aa rahe hai. Isme method me shuruaat me hi sabse important topic se start karte hai aur baad me usme detail aur zyada background ko add karte hai.
Ye method khas kar News article me ye bahut acche se kaam karta hai.
Apne Text Ke Zarye Se User Ko Guide Kare
Ab tak aapko apne article jiske bare me aap likhne wale hai uske skeleton/summary ke bare me information mil gaya hai. Ab jub aap likhna start karenge to aapko niche diye gaye kuch best practices ko dhyan me rakhna hoga, taki aapke user easily aapke well-crafted structure me flow kare:
1. Create paragraphs
Aapne apne set up kiye gaye text structure me jub apne topic koek sath kar liya hai to ab aap paragraph likhna start kar sakte hai.
Lekin aapke samne ye sawal hoga ke kya chiz ek accha paragraph banata hai. Ek paragraph ko teen chizo se define kiya ja sakta hai. Aap likhte waqt in baton ka dhyan rakhe:
- Ek paragraph ko ek thematic unit form karna chahye.
- Ek paragraph me ek core sentence aur us core sentence ka elaboration hona chahye.
- Whitespace ka use kar ke Info ko zyada visible banana chahye.
Bahut se log paragraph create karte waqt mistake karte hai. Kuch writers apne paragraph me random jagah pe whitespace dalte dete hai, lekin wo apne text ke coherence aur structure ke bare me nahi sochte hai.
Bahut sare cases me aisa dekha jata hai ke paragraphs me aur paragraphs ke beech me coherence yani taalmel clear nahi hota hai. Is tareah ki ghaltiya aapke text ke structure ko gadbad kar sakti hai.
Paragraph chota ya lamba ho sakta hai. Paragraph ki lambayi us theme pe depend karta hai jise aap discuss kar rahe hote hai, to ye do se 15 sentences ke beech me ho sakta hai.
Website pe likhe jane wale articles ko aapko thora chota 6 se 7 sentence me rakhna chahye kyuki screen se parhna thora mushkil hota hai.
Website pe likhe jane wale text ke liye aapko apne sabse important sentence se start karna chahye aur baad me use explain ya elanborate karna chahye.
Aapko apne paragraph ko is tarah start karna chahye ke ek aapka reader aapke article ke most important concepts ko pahla line parh ke hi samjh jaye. Aap apne concept ko clearify karne ke liye apne paragraph ko summarize karke lamba kar sakte hai.
2. Use transition words
apne users ko guide karne ke liye aapko apne text me bahut sare transition words ka use karna chahye. Transition word aapke user ko direction provide karta hai. Ye words reader ko batata hai ke aap summarize kar rahe hai (e.g. and, too), compare kar rahe hai (e.g. less than, rather) or kuch conclude kar rahe hai (e.g. thus, consequently, hence). Aap niche diye gaye table me transition words ke example ko dekh sakte hai.
Agar aap apne text me transition word ka use karte hai to ye aapke user ko sentence aur paragraph ke beech me ek connection show karta hai.
3. Headings Ka Use Kare
Headings aapke user ke liye bahut importance rakhta hai. Heading aapke user ko aapke content ko scan karne me help karta hai, taki wo jaan sake ke unhe aapka article parhna hai ya nahi. Isliye aapka heading attractive hone ke sath hi aisa hona chahye ke wo aapke paragraph ke content ko cover kare.
Aapko apne har paragraph ya similar topic wale kuch paragra ko hamesha heading se cover karna chahye. Heading aapke text ke structure ko reflect karna chahye.
Ye the kuch important blog post structure setup jiska use karke aap apne post ko reader ke liye attractive bana sakte hai. Apne blog post ke coherent structure create karna SEO copywriting ka essential step hai. Ye aapke blog post ke message ko ek better uderstanding provide karta hai. Aur agar log aapke post ke message ko behtar dhang se samjhenge to chances hai ke wo aapke post ko social media aur desre jagah share bhi kare. Agar aap in rules ko follow karenge to aapka blog post aapke audience ke liye zyada understandable aur readable hoga.
Ummid hai aapko text structure ka ye article (blog post structure setup) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.