What is Graphics Design?
Graphics design ek art hai jise images, symbols aur words ki help se creative aur systematic way me design kiya jata hai. Graphics design me kayi tarah ke graphical textual elements ko liya jata hai aur unhe multiple types ke media me implement kiya jata hai.
Graphic design visual aur textual content ko create karne ka process hai aur ise communication design ke naam se bhi jana jata hai. Is me kisi bhi chiz jo visually represent kioya jata hai, taki log use dekhne ke sath hi uske message ko samajh jaye.
Elements of Graphic Design
Graphic design me image-based designs jaise photos, illustrations, logos aur symbols type designs, ya dono techniques ke combination ko use kiya jata hai. In designe me niche diye gaye elements ke different combination shamil ho sakte hai.
- Color
- Line
- Shape
- Texture
- Space
- Form
- Size
In elements ko ek dusre ke combination ke sath use kiya jata hai taki ye ek impactful design bana sake. Graphics design ke kuch tools hai jinka use designing ke liye kiya jata hai jaise Photoshop, illustrator and coral draw.
Agar aap ek creative artist hai to graphics design ko apna career chun sakte hai. Creative logon ke liye ye ek behtareen career option hai.