What are layers in photoshop?
Graphics Software me layer ka use different levels ko describe karne ke liye kiya jata hai jispe aap ek object ya image file ko place kar sakte hai. Photoshop layer aapko image ke pixel ko interact aur mix kiye bina image ke top pe image ko stack kar ke non-destructively kaam karne ke liye allow karta hai. Layer ke help se hum Photoshop me kisi bhi image ke upar dusre image ko place karte hai aur dusre image ko affect kiye bina har image pe separately work karte hai.
Hum layer ko kabhi bhi add kar sakte hai ya delete kar sakte hai. Jub kabhi bhi hum kisi image ko open karte hai ya phir create karte hai to wo layer pannel me visible hota hai.
Jub hum Photoshop pe kisi bhi project ko create karte hai to bydefault ek background layer add ho jata hai. Aur aap us layer pe ek lock symbol dekhenge. Iska matlab hai ke layer lock hai aur aap us layer pe kuch bhi nahi kar sakte hai.
Aap kisi bhi Photoshop layers ko Lock aur unlock kar sakte hai. Layer ko lock karne ke liye layer ko select kare aur upar aa rahe lock ke sybbol pe tap kare, aapka layer lock ho jayega. Isi tarah aap layer ko select kar ke lock ke symbol pe click kar ke lock ko unlock bhi kar sakte hai.
Apne project me images ko add karne ke liye aap shift key press kar ke image ko center me drag aur drop kar sakte hai. Image ko add karne ke baad aap dekhenge ke aapke project me ek aur Photoshop layers add ho jayega.
Layer panel me aapko har layer pe ek eye symbol dikhega. Eye symbol pe click kar ke hum Photoshop layers ko turn on ya off kar sakte hai.
Isi tarah jub aap koi text add karenge to aap dekhenge ke ek aur layer top me add ho jayega. Isliye layer system ka kaam hamare project me sabhi item ko alag alag rakhna hai taki koi bhi image ek dusre me mix na ho.
photoshop layers me ek aur jo khas feature hai wo hai Layer mask ka jiski help se hum kisi bhi layer ko hide ya reveal kar sakte hai.
Mask ki help ke bina agar hum kisi image ke kisi bhi part ko hide karna chahte hai to hame uske liye eraser tool ki zaroorat hogi.
Photoshop layers ka ye basic concept tha umeed hai aapko pasand aaya hoga.