Is Article me humlog YouTube Video Background me kaise chalate hain wahi dekhnge, Ye jo new technique hai ( Play Youtube in Background ) ye apke iPhone Android dono mobile me same tarike se kaam karega.
Jab bhi humlog apne mobile me YouTube Online chala rhe hote hain aur uspe Videos ya fir Youtube Music Videos dekh rhe hote hain to jaise hi humlog YouTube App ko close krte hain hmara video bhi close ho jata hai.
To abse hume Youtube Music Videos ya fir koai bhi YouTube Video dekhne ke liye app ko open rakhne ki zarurat nhi hai kiyunki is article ko pura padhne ke baad aap sikh jyenge ki kis trh se humlog YouTube Video Background me chalaynge.
YouTube Video Background me Chalane ke Liye Niche diye gye steps ko follow karen :-
Step : 1 – YouTube App ko open kar ke Video link ko copy karen.
Sabse pahle apne YouTube App ko open krnge, Use open karne ke baad koai bhi video ka link copy karnge. Aap niche diye huye photo me dekh skte hain.
Step : 2 – Google Chorome App ko Open Krenge :
Ab Link copy karne ke baad humlog Google App ko open krne, Agr apke mobile me Chorome App nhi hai to aap ise ise install kr lijye.
Step : 3 – Google Chorome App me Link Paste kijye.
- Ab humlog yahan pe Google Chorome me us link ko paste karne jo humne YouTube aap me jakr Video ki link copy kiya tha. Aap niche photo me dekh skte hain.
- Link paste krne ke baad hmara video Google Chrome me play ho jyega.
Step : 4 – Google Chorome ke Menu menu me jakr Desktop Version select krna hai.
- Ab Google Chrome me niche menu icon pe click krenge.
- JA aap bottom me menu icon pe click krenge to apko bhut se options milnge, Unme se apko ek option milega Request Desktop Site, apko is option pe click krna hai.
- Jab aap apne Chorome App ko mobile version se Desktop version me convert kar lijyega to ye apko bilkul diffrent dikhne lagega, Iska interface pura change ho jyega. Jaisa ke aap photo me dekh rhe hain.
- Uske baad ab humlog video ko play karnge.
- Useke baad jab video on ho jye to humlog Google Chorome App ko minimize kar denge, Jisse apka video band ho jyega, uske baad hume ab sbase last step krna hai.
Step : 5 – Apne iPhone Android Mobile ko slide kar karnge.
- Jab aap apne mobile ko slide krnge to apko is trh ka option dikhega jaisa ke aap av niche diye gye photo me dekh rhe hain.
- Apko yahan se play ke icon pe click kar dena hai, thats it itna hi krna hai aur ab apki video background me chalne lagegi aur aap ab aram se apne dusre app ka enjoy kar skte hain vo bhi YouTube Video ko background ko chlate huye.
You Can Also Watch These Steps in Below Video :
Umeed hai ke aapko YouTube Video Background ka ye article pasand aaya hoga. Is tarah ke aur bhi post ko padgne ke liye aap hamare blog ko subscribe kar sakte hai.
Make Sure You Also Check Our Other Amazing Article :-
- Youtube में Incognito Mode कैसे यूज़ करें
- अब आपको लगातार विडियो देखने पे अलर्ट करेगा YouTube का यह नया फीचर
- YouTube पे कैसे पायें ज़यादा Views
- Youtube Channel Kaise Banaye hindi?
- Youtube Dark Mode On And Off Kaise Karen