WordPress Kiyon Use Kare : Jub aap Blogging start karne ka sochte hai to aapke samne bahut se blogging platform ke options hote hai. Aapke pass jitne bhi options honge unke kuch pros aur cons honge.
BlogSpot, WordPress, Tumblr jaise kayi blogging Platform hai jahan pe aap apni blogging start kar sakte hai. 2019 me aayi ek report ke mutabiq internet pe maujood 30% website WordPress pe bane hai.
WordPress ek comprehensive Content Management System (CMS) hai jisme aapko E-commerce stores se lekar professional business websites banane ke liye sabhi tarah ke tools mil jayenge. Bloggers ke liye WordPress ek right blogging platform hai. Aap WordPress se sirf 10-minute ke andar apni website create kar sakte hai.
WordPress Best Blogging Platform Kiyun Hai ?
Blogosphere me bahut saare blogging platform hai jaise blogger.com, Typepad, Tumblr etc lekin WordPress use karne ke bahut se reasons hai jiski wajah se hume WordPress ko consider karna chahye. Yhan niche kuch reasons diye gaye hai jo aapko batayenga ke WordPress kyu ek best blogging platform hai.
WordPress Plugins :
WP Plugin directory me aapko bahut se free Plugins mil jayenge. Ye aapki website me important role aur functionality perform karte hai. Aap apni zaroorat ke mutabiq plugins ko install kar sakte hai. WordPress me aapko free aur paid Plugins ki ek vast variety mil jayegi. Is wajah se WordPress ek best blogging platform ban gya hai.
WordPress Theme :
Agar aap WordPress ko apni Blogging Platform chunte hai to aap free Theme ka use kar sakte hai. WordPress me bahut se free aur paid plugins ki list di gayi hai jise aap apni ease aur need ke according use kar sakte hai. WordPress pe Theme ka customization bhi bhaut aasan hai. Ye sabhi theme search engine ke liye optimize kiye gaye hai.
SEO friendly :
WordPress ek SEO friendly blogging platform hai jispe aapko SEO ke bare me zyada kuch karne ki zaroorat nahi hoti hai. Aapko bus kuch SEO Plugins ko install karna hota hai aur phir aap us plugin ki help se apne blog ka SEO easily kar sakte hai. Yost SEO ek best SEO Plugin hai jise aap apni WordPress website pe use kar sakte hai.
Security :
WordPress ko iski security ki wajah se bhi jana jata hai. Agar aapke pass wordpress Blog hai to bahut kam chances hai ke aapke blog ko hack kiya ja sake. WordPress website ko hack karna hackers ke liye toughest job hai aur agar aap kuch security measures apnate hai to aapke site ko hack karna namumkin ho jayega.
WordPress me aapko apni site ko secure kaise rakhna hai ye aap tutorial se sikh sakte hai. Iske alawa WordPress aapko apne Blog ka backup lene ka bhi option provide karta hai taki aap apne website ka time to time backup le sake jo aapko problem ke waqt me kaam aa sake.
Monetization :
WordPress pe hum apni website ko monetize kar sakte hai. Bahut se aise advertising networks hai jo Blog Spot aur is jaise bahut subdomain hosted site ko entertain nahi karte hai. Google AdSense, PropellerAds ne bahut se WordPress blog ke liye Dedicated plugins ko launch kiya hai.
Ye apne jana WordPress ke kuch Pros ko. Agar aap ek well maintained aur full-featured blogging platform ka use karna chahte hai to WordPress ek best option hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article (WordPress Kiyon Use Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- Blogspot Blog ko WordPress me kaise import kare
- WordPress.com pe free Blog kaise start kare
- Best WordPress SEO Plugin
- Bloggers ke liye kuch basic WordPress SEO Practices