Theme Kya Hota hai : Simply, Theme visual pattern ya pattern ka collection hota hai jo Graphics Interface ke look aur feel ko determine karta hai. WordPress Theme ke use se hum apne website ke appearance aur display ko define karte hai.
Theme ko hum add, manage aur change kar sakte hai. Bahut se free aur paid WordPress theme available hai jise hum apne site pe use kar sakte hai. WordPress.org pe aapko bahut se free theme mil jayenge jise site pe use kiya ja sakt hai.
- Har ek Theme different design, layout, aur features ke sath aata hai. Hame aisa theme select karna chhaye jo hamare website ki requirements ko poora kar sake. Har tarah ki website ke liye aapko specific Theme mil jayega.
- WordPress Theme ko Plugins ya functions.php file me code ko add kar ke modify kiya ja sakta hai. Child theme add kar ke bhi Theme me changes laya ja sakta hai. Images aur Javascript File ke alawa theme me style.css file, WordPress template files, aur ek optional functions.php file hota hai jiski help se hum Theme me changes kar pate hai.
- Har ek Theme me ek unique Style.css file hona chahye iska matlab hai ke har ek theme ka Header Identifying Information alag alag hona chahye. Agar Theme ka Identifying Information alag nahi hota hai to Installation me problem ho sakti hai.
- WordPress Install karne ke baad sabse pahle hame apne site ka Theme select karna hota hai. Hum jub chahe Theme ko change kar sakte hai aur naya Theme install kar sakte hai. Theme change karne pe hame apne website ke content ko modify karne ki zaroorat nahi hoti hai. Lekin agar hum starting se hi apni website ke mutabiq ek Standard theme ka selection kare aur apni site ko develop kare to ye ek accha approach hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Theme Kya Hota hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.