Computer keyboard pe function keys or F-keys jinhe F1 se F12 tak mark kiya gya hai aise keys hai jinhe operating system ke through special function define kiya gya hai. Inhe Alt or Ctrl keys ke sath combine kiya ja sakkta hai. Niche keyboard shortcuts ki ek list di gayi hai jo keyboard function keys ka use karte hai.
Keyboard function keys
F1
Almost hamesha help key ki tarah use kiya jata hai, Jub is key ko press kiya jata hai to almost sabhi program ka help screen open ho jata. Agar aap Windows screen pe honge to ye aapke liye windows help screen open karega.
F2
Aapko kisi selected icon, file ya folder ko rename karne ke liye allow karta hai.
F3
Kisi bhi moment pe Microsoft Windows ke sath kisi bhi active application ke search feature ko open krta hai.
F4
Windows 95 aur later version me Windows Explorer me browsing ke time drive selection or address bar ko open karta hai. Alt+F4 press karne se open program close ho jata hai. Ctrl+F4 current active window me open window ko close karta hai.
F5
Sabhi modern browsers me F5 press karne se page ya document refresh ya reload ho jata hai.
F6
Curser ko Internet Explorer, Mozilla Firefox aur dusre browser ke address bar me le jata hai.
F7
Commonly Microsoft programs Microsoft Word, Outlook waghairah me document ke spell aur grammar ko check karne ke liye use kiya jata hai.
F8
Computer ko boot karte huye F8 ko baar baar press karne se computer safe mode me start hota hai.
F9
Microsoft Word me document ko refresh karta hai aur Microsoft Outlook me e-mail send aur receive karta hai.
F10
Sabhi computer version me File menu ko activate karta hai. Selected item pe right click ka kaam karta hai, ye tab kaam karta hai jub mouse se right click karna possible nahi hota hai.
F11
Internet browser me Full screen mode me enter aur exit karne ka kaam karta hai.
F12
Microsoft word me save as dialog box ko open karta hai.