HIGHLIGHTS
- WhatsApp Fingerprint Lock Android users ke liye bhi ab roll out ho gya hai.
- WhatsApp new feature me aplog Fingerprint Sensors ka use kar ke Application ko unlock kar payenge.
- WhatsApp Beta latest version features ko use karne ke liye apna WhatsApp beta ko update kijye.
Finally, Ab humlog WhatsApp Fingerprint Lock Android Beta Version me bhi use kar paynge, WhatsApp ne Fingerprint Lock Feature ko Android beta users ke liye ab available kar diya hai.
Pahle to ye sirf iOS users ke liye hi tha, Par ab ye WhatsApp Beta latest version 2.19.224 me aya hai, aur ye new feature jo hai vo By Default Disabled hoga. WhatsApp Fingerprint Lock ko enable aaplog setting me jakr kar skte hain.
WhatsApp new feature jo hai vo apne users ko allow krta hai ke vo apne WhatsApp ke chats ko extra protection de payen, aur sath hi is new feature me aapko ye bhi decide karne milega ki aapko jo notification ayenge WhatsApp me usme aap Message aur Sender Preview ko show ya hide rkhna chahte hain ya nhi, jab apka WhatsApp Fingerprint Lock Enable rhega tab, Ye totally appe depend krega.
Is saal February mehi WhatsApp ne iOS users ke liye biometric unlock feature ko roll out kiya tha, Jis feature me iPhone users Face ID or Touch ID ka use kar ke apne phone me extra protection laga skte hai, Ye future phone ke ability pe depending hai, Ab nearly seven months ke baad WhatsApp ne same feature Android Beta Users ke laya hai.
Sare Android smartphone users jo WhatsApp Android Beta use karte hain vo ab apne smartphones ko unlock krne ke liye fingerprint sensors ka use kar skte hain, Agr aap beta user hain to WhatsApp’s Android app ko abhi update kijye Beta version 2.19.224 ke sath.
Ek baar jab aap Android Beta Version ko update kar lete hain to apko Fingerprint Unlock use krne ke liye niche diye huye steps ko follow krna hoga :
Step : 1 – Sbase pahle WhatsApp open kar ke top right corner pe click kar ke menu me jayenge.
Step : 2 – Uske baad Settings me aynge.
Step : 3 – Uske baad Account me aynge.
Step : 4 – Account me ane ke baad Privacy option me aynge.
Step : 5 – Privacy option me ane ke baad Scroll down krnge to hume milega Fingerprint lock option.
- Ye option turned off by default hoga.
- Ab apko yahan pe Tap kar ke fingerprint feature ko enable krna hai.
- Uske baad WhatsApp apko fingerprint sensor ko tuch krna hoga.
- Fir, apko yahan pe time duration dalna hoga ki kitne der baad aap WhatsApp ko lock krna chahte hain, Apko in option ke ke bich koai ek choose krna hoga – immediately, after 1 minute or after 30 minutes.
WhatsApp’s biometric authentication feature me is kuchh mahino me bhut se changes huye hain, Is feature ko Authentication feature kaha jata hai, Jabke initially me ise WABetaInfo kaha jata tha.
WhatsApp ke android app ke Beta users ke liye Fingerprint Lock ka naam ise release hone se pahle Screen Lock me badal diya gya tha.
To Finally, Ab WhatsApp Fingerprint Lock Android Beta users aur iOS users ke liye available hai aap is feature ka pure trh se benefits le skte hain.
Umeed hai ke aapko WhatsApp Fingerprint Lock Android ka ye article pasand aaya hoga. Is tarah ke aur bhi post ko padgne ke liye aap hamare blog ko subscribe kar sakte hai.
Make Sure You Also Check Our Other Amazing Article :-
- WhatsApp Messages Jinpe Bhool kar bhi click na karen
- WhatsApp Pe Apne Lost Conversation ko Recover kasie kare
- WhatsApp Beta Ko Android Pe Kaise Download Karen
- WhatsApp Beta Version ko iOS Pe kaise Download karen
- Android pe WhatsApp message ko Schedule kaise kare