What is Affiliate marketing?
“Affiliate Marketing” marketng ke sab se poorane form me se ek hai, jisme aap kisi ko kisi bhi online product ko refer karte hai, aur jub aapki refer par us product ko kharida jata hai to aapko uska comission milta hai. Online paise banane ke sabse popular tariqo me se ek Affiliate marketing hai. Affiliate program ki help se aap acchi khasi earning kar sakte hai. Bahut sare Affiliate program available hai jinme se ek product review hai.
Affiliate marketing se earn kiye gaye commision aapke refer kiye gaye product pe depend karta hai. Aap $1 se $10,000 tak affiliate link se earn kar sakte hai. Affiliate marketing ke liye Aise product ya services ka use kare jo user ke liye helpfull ho. Aap jis company ya product ko select karenge use marchant kaha jata hai.
Industry me use kiye jane wale term
- Marchant: jise retailer ya brand kaha jata hai.
- Network: Isme affiliate ke select karne ke liye offer aur payment ka dhyan rakha jata hai.
- Publisher: Publisher ko Affiliate bhi kaha jata hai.
- Customer: customer aapke referal se product ko purchase karenge.
Affiliate marketing start karne ke liye sabse pahle aapko us product ya company ke bare me decide karna hoga jiske liye aap affiliate ban ne wale hai. Uske baad aapko us company ke sath partnership start karne ke liye uske partnership program ke liye partnership karna hoga. Partnership karne ke baad aap us company ya product ke affiliate ban jate hai.
Affiliate marketing me Company ke partner program me shamil ho jane ke baad ek Affilate ID mil jata hai. Aapko apne website pe un products ko promote karne ke liye apne affiliate link me affiliate ID add karna hota hai. Aapki isi Id ki help se aapke reffer kiye huye sabhi traffic ko track kiya jayega aur jub kabhi koi bhi aapki refer kiye huye product ko purchase karega to aapko uska commission milega. Aam taur pe 45 se 60 dino me aapki income ek threashold value tak pahunch jane pe aap apni payment ko reedeem kar sakte hai.
Also Read: Best money making Apps