WordPress se related sabse zyada discuss hone wala Question hai WordPress kyun use kare? Dusre platform se wordPress par switch karne ki zarurat kyun hai? Agar aap bhi in sabhi questions ka answer chahte hai to aap bilkul sahi jagah par hai. Iss article me 6 Important Reasons hai, Jiske help se aapko samjh aajega ki apne Website Ke liye WordPress Kyun Use Kare.
Note- Iss article me jo bhi WordPress word use ho rha hai. Wo WordPress.org ke bare me hai, Ise WordPress.com se compare nahi kare.
WordPress.com – Ye ek free Blogging Platform hai jis par koi bhi free me blogging start kar sakta hai. Jab aap WordPress.com par blog create karte hai to apko is tarh ka “something.wordpress.com” sub domain milta hai, Jo ki apke website ka web address hota hai. In blog ko WordPress.com pe host kiya jata hai. Ye Platform aise logon ke liye bilkul sahi hai jo apne personal writing ko host karne ke liye blog banana chahta hai. Agar aap apne blog se paise earn karna chahte hai to ye platform apke liye sahi nahi hai.
WordPress.org – Ye ek popular website making platform (CMS -Content Mangement System) hai jiske bare me aapne bahut saari acchi baten suni hogi. Ye ek open source software hai aur har kisi ke use ke liye free hai. Yahan pe apne blog ko run karne ke liye aapko ek Domain aur Hosting buy karne ki zaroorat hogi. Yahi wajah hai ke ise self-hosted WordPress bhi kaha jata hai. Ise Details me janne ke liye separate article WordPress.com vs WordPress.org padhe.
WordPress ke bare me ek sabse aam ghalat sonch ye hai ki, Yeh sirf ek Blogging platform hai. Jii nahi aisa bilkul bhi nahi hai. WordPress ek blogging tools ke roop me shuru to hua hai, Lekin ye regularly ek powerful content management system (CMS) me develop hote raha hai.
WordPress ke bare me ek sabse achhi baat to ye hai ki, Iske zariye bahut hi easy aur flexible way me diff diff types ke website bana sakte hai. Ye ek main reason hai, Jiske wajah se WordPress popularity me bahut aage ho gaya hai. Recent survey ke according pta chala hai ki, Internet pe sabhi websites me se 32% website WordPress pe bani hai.
Iske strong features ke wajah se, Bahut sare top brands apne websites ke liye WordPress ka use karte hai, Jaise Time Magazine, Facebook, The New Yorker, Sony, Disney, Target, The New York Times etc. To chaliye ab jante hai Website Ke liye WordPress Kyun Use Kare aur uske 6 Important Reasons.
- WordPress is Free
- WordPress is Easy to Customize with Themes and Plugins
- WordPress is SEO Friendly
- WordPress is Easy To Manage
- WordPress is Safe and Secure
- WordPress Can Handle Different Media Types
1. WordPress is Free
WordPress ek free software hai. Iska matlab ye hai ki ise use, aur modify karna free hai. WordPress par website run karne ke liye ek Domain aur ek web hosting buy karne ki zarurat padti hai.
Domain – Ye internet pe apke website ka address hota hai. Ye wo hai jise users apke website tak pahunchne ke liye Apne web browser ke address bar me type karte hai ( Ex – wpseekho.com ). Ise detail me janne ke liye hamare separate article Domain Name Kya Hota hai ? padh sakte hai.
Web Hosting – Hosting Companies hume Space provide karati hai Jahan apke websites ka files store rahta hai. saath hi RAM, Security and Support bhi deti hai. Ise detail me janne ke liye hamare separate article Hosting Kya hota hai ? Web Hosting kitne types ke hote hai ? padh sakte hai. Mai hosting buy karne ke liye hamesha SiteGround hi recommend karti hu. Kyunki ye sare hosting provider ke compare me best, easy to use, aur kafi sasta hota hai.
WordPress ko khud se install aur setup karna bahut asan hai. Hamara separate article WordPress Website Kaise Banaye ? apke liye bahut helpful ho sakta hai. Aur agar apko koi problem ho rha hai to, Aap direct google pe apna question likh kar uske aage wpseekho.com jore. Apko hamare website par uska answer mil jaega.
2. WordPress is Easy to Customize with Themes and Plugins
Zayada tar WordPress user na hi web designers hai aur na hi programmers hai. In fact zayada tar log bina kisi coding knowledge ke WordPress ko use karna shuru kar dete hai.
Theme – Non-tech logon ke liye wordpress perfect solution hai. Isme without any coding language ke hazaro free website templates (themes) provide kiye gaye hai. Unme se kuch best theme ko detail me janne ke liye, hamare separate article 30 Best Free WordPress Theme ko padhe.
WordPress Theme ko customize karna bahut hi asan hai, Kyunki bahut sare themes apne khud ke option panel ke sath hota hai. Jiske zariye aap bina kisi coding knowledge ke apne blog par colors, upload logo, change the background, create beautiful sliders etc kar sakte hai.
Plugins – Aap wordpress sites pe Plugin ka use kar ke custom functionality bhi add kar sakte hai. WordPress plugins apke website ke liye app ki tarah hota hai, Jiska use sites par analytics, contact forms, membership area etc service ko add karne ke liye kiya jata hai.
Apke use krane liye hazaro free aur premium plugins available hai. Detail me janne ke liye hamare separate article Plugin kya hota Hai ? padh sakte hai.
3. WordPress is SEO Friendly
WordPress ko standard compliance high-quality code aur semantic markup ka use kar ke likha gaya hai. Ye Non-geek terms me google aur other search engine me WordPress ko select karwata hai. Isi wajah se WordPress sites search engine me dusre ke compare me zayada rank karti hai.
Design ke according, WordPress bahut SEO friendly hai. Aap apni website ko aur zayada SEO friendly banane ke liye SEO plugins ka use kar sakte hai.
4. WordPress is Easy To Manage
WordPress ek built-in updates management system ke sath hota hai. Iske zariye apne WordPress admin dashboard se apne plugins aur themes ko update kiya ja sakta hai.
Jab WordPress ka new version available hota hai, To WordPress apko notifies bhi karta hai, Isliye bass ek button pe click kar ke apni sites ko update bhi kar sakte hai.
Apne data ko kisi bhi accident aur hacking se bachane ke liye, Aap WordPress Backup plugin use kar ke automatically backup create kar sakte hai. Aur use safely remote location par store bhi kar sakte hai.
Aap WordPress mobile app par bhi apne wordpress sites ko manage kar sakte hai, Jaise WordPress.com Apps, WooCommerce, Google Analytics, Evernote, Pingdom etc.
5. WordPress is Safe and Secure
WordPress ko security ko dhayan me rakhte hue develop kiya gaya hai. Aur ise website ke liye bahut hi safe aur secure platform mana jata hai. Jabki internet ek uncertain place ho sakta hai.
Waha bahut sare aise intruders ( Ghuspaithi ) hai, Jo zayada se zayada sites ko hack karna chahte hai. To usse apne WordPress sites ko protect karne ke liye, Security plugin ka use kiya ja sakta hai. Security plugins ke best collections ke liye hamare separate article Best WordPress security Plugins ko padh sakte hain.
6. WordPress Can Handle Different Media Types
WordPress sirf text likhne tak limited nahi hai. Ye images, audio, and video files ko sambhalne ke liye ek built-in media uploader ke sath ata hai.
WordPress Embed enabled websites ko support karta hai. Jiska matlab ye hai ki, aap YouTube videos, Instagram photos, Tweets, and Soundcloud audio ko wordpress post me URL paste kar ke embed kar sakte hai.
Ways to use WordPress website
WordPress ka use alag alag tarah ka websites ke liye kiya ja sakta hai. Niche kuch alag alag websites ke examples hai, Jise apne wordpress ke sath bana sakte hai.
- Start a Blog
- Make a business website
- Start an online store
- Build a membership website
- Sell online courses
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article (Website Ke liye WordPress Kyun Use Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen