Google search console ke is guide me hum aapko batayenge ke aap GSC ki help se apne site ke technical SEO ko optimize kaise kare. Aap jante honge ke jub aap technical SEO problems ko fix karte hai to aap search engine me higher rank gain karne ke sath hi aapke site pe pahle se zyada traffic receive karne lagte hai. To is guide me hum aapko batayenge ke aap apne blog ka Technical SEO kaise kare.
Google Search Console pe aapko aise bahut se features mil jayenge jiski help se aap technical SEO issues ko find and fix kar sakte hai. GSC ke complete features ko aap is article Google Search Console Features me dekh sakte hai.
Yahan pe is article me hum aapko batayenge ke aap Google Search Console ki help se technical SEO kaise kare.
Apne site ke technical SEO ko optimize karne ke liye sab se pahle aapko GSC pe apne site ko add karna hoga aap apne site ko GSC pe add krne ke liye hamare is guide Google Search Console Me Apni Site Ko Add Kaise Kare ko follow kar sakte hai.
Apne site ko search console me add karne ke baad aap use setup karne ke liye Google Search Console: Setup Guide ko follow kar sakte hai.
“Index Coverage” Report: Indexing Problems Ko Find (And Fix) Kare :
Agar aapne apni site pe sab kuch acche se setup kiya hai to Google aapki site ko
- Jald hi find kar lega.
- Aur quickly index bhi kar lega.
Lekin kabhi kabhi chize ghalat ho jati hai.
Chalye ab baat karte hai un chizon ki jinhe aapko apne sabhi pages ko index karne ke liye fix karne ki zaroorat hai.
Aur yahi se Index Coverage report samne aata hai.
Index Coverage Report Kya Hai ?
Index Coverage report aapko batata hai ke aapke site ke kaun se pages Google index me hai. Iske sath hi ye aapko un technical issues ke bare me bhi batata hai jo aapke pages ko index hone se rokta hai.
Ye new GSC ka part hai jisne old Search Console se “Index Status” report ko replace kiya hai.
Aapko bata de ke new Index Coverage report khasa complicated hai. Hum aapko sirf features ki list bata sakte hai.
Index Coverage Report Me Error Ko Find Kaise Kare ?
Index Coverage report me aapko 4 tabs dikhenge:
- Error
- Valid with warnings
- Valid
- Excluded
To chalye sabse pahle baat karte hai “error” tab ke bare me.
Jaisa ke aap image me dekh sakte hai ke is site me 54 errors hai. Aur chart ye show kar raha hai ke ye errors time ke satrh kaise change ho rahe hai.
Jub aap niche scroll karenge ke to aapko in errors ke detail ka pata chal jayega.
Yahan pe aapke janne ke liye ahut kuch hai.
Isliye aapko in sabhi terms ko samajhne ke liye yaha pe kuch quick definitions diye gaye hai.
“Submitted URL seems to be a Soft 404”
Is error ka matlab hai ke page nahi mila tha, lekin header me ek incorrect status code deliver hua.
“Redirect error”
Kisi page ko redirect karne ke liye hum (301/302) ka use karte hai. Yahan pe bhi kiya gya hai par ye kaam nahi kar raha hai.
“Submitted URL not found (404)”
Is error me page nahi milne ki wajah se server sahi HTTP status code (404) ko return karta hai. Is error me server is page se communicate kar sakta hai par sahi page nahi milne ki wajah se server is error ko display karta hai. Ye Error broken links ki wajah se display ho sakta hai.
“Submitted URL has crawl issue”
Yahan pe bahut si aise chizen hai jo ho sakti hai. Is error ka pata lagane ke liye aapko page pe jana hoga. Ye error mainly tab display hota hai jub kuch google bot ko aapke page ko fully download ya render karne se rokta hai. Long page load times aur blocked resources iska reason ho sakte hai.
“Server errors (5xx)”
Is error me Googlebot server ko access nahi kar pata hai. Is error me web server ko pata hota hai ke error hai aur wo request ko perform karne me incapable hai.
Aur jub aap apne kissi bhi error pe click karte hai to aapko us particular error wale page ki ek list milti hai.
404 errors ko fix karna aasan hai. To chalye start karte hai.
List me diye gaye URL pe click kare. Aapke click karne ke baad 4 options ke sath ek side panel open ho jayega.
Chale sabse pahle URL ko browser me open karte hai. Is se hum is baat ko double cross kar sakte hai.
Agar aapka page browser me open nahi ho raha to iska matlab hai ke ab aapko apne page ke error ko theek karne ke liye steps perform karne honge.
To sa se aap side panel me “Fetch as Google” pe click kare.
Fetch as Google pe click kare.
Aur Googlebot aapke site pe chala jayega.
Agar ab bhi 404 “Not found” status display kar raha hai to aap niche diye gaye step ko follow kare:
Ise fix karne ke liye aapke pass do options hai.
- Jaisa hai waise hi rahne de. Google khud hi is page ko deindex kar dega.
- Aap is 404 page ko kisi dusre similar product page, category page, or blog post pe redirect kar sakte hai.
“Soft 404” Errors Ko Kaise Fix Kare
To chalye ab hum is “Soft 404” errors ko fix karte hai.
Phir se us error wale URL ko dekhe.
Ab aap inme se sabhi URL ko ek ek kar ke visit kare. Agar hamara page Google me theek se kaam kar raha hai. Yahan pe phir se hum “Fetch as Google” ka use karenge.
Is bar hum “Fetch and Render” option ko choose karenge. Fetch and Render Googlebot ko aapke page pe send kar dega. Iske sath hi ye aapke page ko render bhi karega isliye aap apne page ko is tarah se dekh sakte hai jaise Googlebot dekhta hai.
To aaeye dekhte hai ke Google page ko kaise render karta hai.
Niche scroll karne pe aapko Google aise resources dikhayega jise users dekhte hai…lekin Google inhe poori tarah se nahi dekh sakta hai.
Kahi kahi Googlebot se aapke kuch resources ko block karne ke liye kuch acche reasons hote hai. Lekin kabhi kabhi ye blocked resources soft 404 errors ke reasons ban jate hai.
Finally ab aap “Fetching” tab pe click kar ke live HTTP status code ko dekh sakte hai.
200 status ka matlab hai ke is baar page mil gya hai aur ise index kiya ja sakta hai, page index ho jayega.
Dusre Errors ko Fix Kaise Kare ?
Aap same isi exact process ko jise humne “Soft 404s” error ke liye use kiya tha use apne kisi bhi error ko fix karne ke liye use kar sakte hai:
- Browser me page ko load kare
- “Fetch and Render” pe jaye
- U errors ko padhe jo GSC me aapko dikh raha hai
- Page ke HTTP status ko check kare
Niche kuch example diye gaye hai.
Redirect Error :
Yahan pe sab kuch theek hai. Aapko kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai.
Crawl Error :
Server Error :
Aap dekh sakte hai server error apne aap hi ghayab ho gya hai.
Yaha pe ho sakta hai koi temporaru issues rahi ho. Lekin aapko yaha pe dhyan dena hai ke ye phir kabhi na ho.
Jaisa ke aapne dekha ke aap thore se effort ke sath Index Coverage report ki help se sabhi errors ko aasani ke sath theek kar sakte hai.
“Warnings” Ko Index Coverage Report Me Kaise Fix Kare
Index Coverage Report me “Valid with warnings” tab pe click kare jaisake aap dekh sakte hai ke yaha pe sirf ek warning hai: “Indexed, though blocked by robots.txt”.
Yaha pe GSC ye bata raha hai ke page robots.txt ne block kar diya hai. To isliye aapko “Fetch As Google” pe click karne ke bajay “Test Robots.txt Blocking” pe click karna hoga.
“Test Robots.txt Blocking” pe click karne ke baad Jaisa ke aap dekh sakte hai ke URL robots.txt se block kiya gya hai.
Agar aap page ko index karna chahte hai to aapko page ko Robots.txt se unblock karna hoga.
Lekin agar aap page ko index karna nahi chahte hai to aapke pass do options hai:
- Page me “noindex,follow” tag ka use kare aur use robots.txt se unblock kare.
- Aap URL Removal Tool ki help se aap URL ko remove kar sakte hai.
To chalye dekhjte hai ke URL Removal Tool ka use kaise kare:
Search Console Me URL Removal Tool Ka Use Kaise Kare
URL Removal Tool pages ko Google index se remove kane ka ek quick aur easy tareeqa hai.
Aap search console me Legacy tools and reports me Removals pe jakar aap apne URL ko remove kar sakte hai.
Continue karne se pahle aapne jis url ko enter kiya hai use cross check kar le.
Aapko bata den ke removal sirf 90 days ke liye hi active rahega. 90 days poore hone ke baad Googlebot aapke page ko access karna chahega.
Aapko is baat lka khyal rakhna hoga ke Google aapke un pages ko exclude na kare jise aap index karna chahte hai.
Aapko bahut sare excluded page mil jayenge.
Niche scroll karne pe aapko wo reasons mil jayenge jinki wajah se Google ne aapke pages ko exclude kiya hai.
To chalye jante hai is reasons ke bare me.
“Page with redirect”
Iska matlab hai ke page dusre url pe redirect ho raha hai.
Is reason me koi bhi problem nahi hai. Kuch aise internal links hai jo is url ko index hone se rok rahe hai.
“Alternate page with proper canonical tag”
Google ne is page ke alternative version ko kisi dusre jagah paya.
Aapko in canonical URL ki prolem ko fix karne ke liye in canonical URL ki guides ko follow karna chahye.
“Crawl Anomaly”
Is case me aisa lagta hai ke listed pages 404 error return kar rahe hai.
“Crawled – currently not indexed”
Ye wo pages hai jinhe google ne crawl kiya hai par index nahi hua hai.
Google aapko exact reason nahi batat ke usne kisi page ko index kyu nahi kiya. Lekin mere hisab se iska matla ye hai ke ye page Google ke search results me display hone ke valid nahi hai.
To ise fix karne ke liye:
Aapko yahan pe mention apne page ki quality ko improve karna hoga.
Example ke taur pe agar ye ek category page hai to aap isme aise content ko add kare jo ise describe kar sake. Aur agar aapke page me duplicate content hai to use unique banaye, aur agar aapke page me zyada content nahi hai to aap apne page me content ko add kare.
Basically, apne page ko aisa banaye ki wo Google me index ke layaq ho.
“Submitted URL not selected as Canonical”
Yahan pe Google ka kahna hai ke:
Is page pe jo content hai wo kuch dusre pages se similar hai. Is liye Google ne inhe index nahi kiya hai.
Hmari ray me agar aapke site pe ahut sare duplicate pages hai to aap unme noindex meta robots tag ko add kar de taki Googlebot use index na kar sake.
“Blocked by robots.txt”
Ye aise pages hia jinhe robots.txt Google ko crawl karne se rok rahe hai.
Is pages ko robots.txt index karne ke liye roka gya hai. Isliye aapko iske liye pareshan hone ki zaroorat nahi hai.
“Duplicate page without canonical tag”
Ye pages duplicate pages ke part hai, inme canonical URL shamil nahi hai.
Is case me aap dekh sakte hai ke yahan pe kya ho raha hai.
“Discovered – currently not indexed”
Google ne in pages ko crawl kiya hai par inhe abtak index nahi kiya hai.
“Excluded by ‘noindex’ tag”
Yahan pe No-index kiye gaye pages hai jinke liye aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai.
To ye tha GSC ka Index Coverage report joki kafi impressive tool hai.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article ( Blog ka technical SEO kaise kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen