Doston har week hum aapke saath share karte hain week ki Top 5 Most Useful Apps. Is week bhi kuch khaas useful app humne aaapke liye khoj nikala hai. Hum aapke saath wahi app share karte hain jo actual me aapke liye usefull hon.
Top 5 Most Useful Apps
1. FooViewer
Fooviewer ek multi function app hai, Fooviewer me aapko mainly on screen Text and Image Search, on screen Translate, on screen OCR ka feature mil jaata hai. Aap koi bhi app use kar rhe ho Fooviewer popup me aapke liye ye kaam karega. saath kafi saare gesture mil jaate hain. Zyada Jaankari ke liye video dekhen.
2. TransCriber For WhatsApp
Transcriber Whatsapp voice masge ko text me convert kar deta hai, Agar aap kahin aisi jagah par hain jahan Voice massage nhi sun sakte wahan ye app aapke liye kafi helpful hoga. Zyada Jaankari ke liye video dekhen.
3. AiCut
AiCut perfectly aapke foreground and background ko seprate kar deta hai, aap Blur effect ya portrait effect apni photos me aasani se daal sakte hain. ye application automatically main object and background ko sense kar leta hai. Zyada Jaankari ke liye video dekhen.
4. Split Lens 2
Split lense 2 Specially Tick Tok user ke liye kafi mazedar app hoga. is app ke hilp se aap double role or ek frame me multiple time aap appear ho sakte hain. Zyada Jaankari ke liye video dekhen.
5. LongShot
Long Screen shots capture karne ke liye ye app best app hai. aap whatsapp conversation, facebook ya kisi bhi website ke poore page ka screen shots ek hi image me le sakte hain. Zyada Jaankari ke liye video dekhen.
Guys Ummid hai ki aapko humari To5 5 Most usefull app ki list achi lagi hogi. aap humare YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain, aapko wahan par kafi sari chizen seekhne ko mil jayengi, jaise ki, website making, video editing, photoshop etc.