Agr aap ek achchhi quality ka aur comfortable Wireless Earbuds ki khoj me hain to, Apko ek nazar is ( Procus Bohemia Wireless Earbuds ) pe zarur dalni chahiye kiyunki ye apke liye best option ho sakta hai. Ek aur baat Aap is product ko Procus Bohemia Edition bhi keh skte hain, Kiyunki ye designed by Bohemia hai, Agr apko nhi pata to bata dun ki Bohemia ek jane mane Punjabi Rapper hain.
( Procus Bohemia Wireless Earbuds ) PRODUCT DETAIL :
Procus Bohemia me apko Bluetooth 5 TWS wireless earbuds hain, Dusre bluetooth wireless earbuds ke tarh ye bhi apke smartphone ke sath auto connect ho jyega. Agr baat karen iske Build aur finishing ki to ye bhut hi achchhe hain. Ye earbuds ear support ke sath ata hai jo apke ear me fit ho jyega aur apko ek achhi feeling dega, Chunki ye ear support ke sath ata hai to ye apko exercise krte time bhi ek good feel dega.
Aur ye charging case ke sath ata hai, Iski ek khas baat ye hain ki iska jo charging case hai usse aap dusre devices bhi charge kar skte hain. Kehne ka matlb ye hain ki aap is Wireless Earbuds ka charging case ek Power Bank ke tarh use kar skte hain.
Iska charging case bada hai, Balke iske jo ear buds hain vo bhi bade size ke hain chunki ye ear support ke sath ata hai to ear buds size ko ignor kiya ja skta hai. Overall, Iska charging case bada hai.
Isme 1800 mAh battery ke sath USB to micro USB cable hai, Jisko aap easly cable ke diye gye hole pe clipped kar skte hain, Joki bahut zaruri hai aur iske vjh se apko separate cable carry krne ki zarurat nhi hai. Iske 1800 mAh battery se aap earbuds ko multiple time charge kar skte hain, Earbuds me 50 mAh battery hai, Jo generally full charge par 6 hours tak aap use kar skte hain, Aur earbuds + charging case ka use aap 60 hours tak earbuds ka use kar skte hain, Jiske baad apko charging case ki zarurat hogi.
Is charging case me ek USB port bhi hota hai, Jisse aap cable ka use kar skte hain aur apne smartphone ko bhi chrge kar skte hain, Jo ki emergency purpose ke liye bilkul perfect hai. Agr aap is Wireless Earbuds me interested hain to chaliye iske Design, Speaker, Microphone, Battery, Product Dimension, Weight ke bare me detail me baat karte hain.
TWS BUDS BLUETOOTH 5.0 :
Procus Bohemia apko Horizon-wide active audio experience ke liye cutting-edge technologies Provide krta hai. Ye ek Lightest, most compact, aur most advanced headphones hai jo leading battery life aur IPX5 waterproof rating ke sath ata hai.
IMPECCABLE SOUND :
Is earbuds me drivers ke liye har chhoti chhoti details pe focus kiya gya gya hai, Jaise ki Iske sound ko behtr bnane ke liye circuits ko tunning krne se lekr. Maximum Bluetooth® signal strength ke liye antenna position ko tweak krne tak. Tabjar iska result ye huaa hai ki, Ye ( Procus Bohemia Wireless Earbuds ) play consistent aur clear hai.
MINIMALIST COMFORT :
Sport Fit : Ye Secure, Sport-specific fit ke liye Ultra-comfortable silicone ear gels ke sath Streamlined design hai.
IPX5 RATING :
Procus Bohemia construction ko IPX5 splash aur sweatproof rating di gayi hai, Sabhi critical components ko dust aur grit ke against sealed kiya gya hai.
TOUCH VOICE CONTROL :
Easy krne ke liye Siri aur Google Assistant ke sath compatible kiya gya gya hai taki apko music aur call manage krne me koai preshani na ho.
CHARGE ON THE GO :
Apne divices ko charge krne ke liye isme apko 1800 mAh ki battery di gyi hai, taki aap isse kahin pe bhi apne devices ko charge kar sken jo ki apko emergency me bhi bhut kaam aayega.
TECHNICAL SPECIFICATION OF PROCUS BOHEMIA WIRELESS :
Abtak apne jana ki ye ( Procus Bohemia Wireless Earbuds ) Jise humlog Procus Bohemia Edition bhi keh skte hain, Ye Bluetooth 5 TWS , Eear support , IPX5 splash, Sweatproof , 1800 mAh, Siri & Google Assistant voice control, Ultra-comfortable silicone ear gels ke sath ata hai. To chaliye ab dalte hain ek nazar iske Technical Specifications pe.
Brand | PROCUS |
Model | PR033 |
Item Weight | 381 g |
Package Dimensions | 17 x 14 x 5 cm |
Batteries: | 2 Lithium ion batteries required. (included) |
Item model number | PR033 |
Compatible Devices | Android and iOSDevices |
Number Of Items | 1 |
Batteries Included | Yes |
Batteries Required | Yes |
Battery Cell Composition | Lithium Ion |
Connector Type | Bluetooth |
Material | ABS |
PRICE, AVAILABILITY AND WARRANTY :
Ye apko Amazon pe available hai, aap ise www.procusgo.com se bhi perches kar skte hain. Iski print MRP hai 7999, Mgr discount me ye apko me mil jyega.
Waise to overall is product ki quality achhi hai, Aur ye product multiple quality checks ke baad market me aya hai, fir bhi is product me apko 1 Year ki warranty milti hai agr is product me kisi trah ka manufacturing defects hota hai to. Hame umeed hai ke aapko ye article ( Procus Bohemia Wireless Earbuds ) informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.
Also Read:
- Noise Shots X1 Air Full Review in Hindi
- Digital Marketing Me Career Kaise Start Kare
- Digital Marketing Kya Hota Hai
- Apni Website Ka SEO Audit Kaise Kare
- Mobile SEO Guide