Dashcam aur Dashboard Camera pichhle kuchh salo me India me tezi se popular huaa hai, Aur iske popular hona ka main reason hai isse milne wale safety benefits. Simply khen to ye ek type ka camera hai jo apke Car ke dashboard par lagaya jata hai aur ye apke driving karte time video aur audio record karne ke liye design kiya gya hai. Dashcam ka purpose road par hone wale har ek detail ko carefully record karna hai, aur agr car ke andar zarurat hai to iska use humlog different requirement ke liye bhi kar sakte hain. Agr aap is tarh ke product me interested hain to apko ek nazar is Procus Iris Car Dash Camera pe dalni chahiye.
Procus apke liye IRIS ek compact dash camera pesh karte hain jo apke vehicles ke liye affordable aur easy to install hota hai. Hamesha Procus IRIS Dash Cam ke sath aap road pe protected reh sakte hain. To chaliye ab iske features pe ek nazar dalte hain.
Features of Procus Iris Car Dash Camera :
- Display : 2.0″ Hight Resolution TFT
- Video Resulation : Video – 1080FHD (192081080) 30fps
- Lens Angle : 120 degree wide angle lens
- Image Resolution : 12 MP
- Video Format : AVI
- Image Format – JPG
- Micro Memory Card Support : 4GB – 32GB
- Motion Detection Function
- Cycle Recording Function
- G-Sensor Function
- Parking Monitor
- Playback Mode.
Product Highlights :
FHD 1080P 2″ LCD Screen Video Recorder, 120° Wide Angle Lens, G-Sensor, Motion Detector, Loop Recorder, Upto 32GB.
- G-Sensor : Serious collision ke mamle me gravity sensor dashboard ko immediately prompts krta hai video file ko lock krne ke liye.
- Cycle Recording : Iris apne purane unlock kiye huye video ko new footage ke sath badal deta hai ki apka memory card kabhi bhi out of space na jaye.
- Parking Monitor : Agr aap Worried hain ki apki car parking me ghanton se khari hai to parking monitor apke problem ko solve kar dega aur apko sari activity ko track krne ki izazat dega.
- Motion Detection Function : Motion detection feature Iris ko standby mode me bhi videos ko record aur save krne ke liye izazat deta hai.
- Wide Field View : 120-degree wide-angle lens ye sure krta hai ki vo ek single detail bhi miss nhi karta hai.
Benefits of Procus Iris Car Dash Camera :
- Car Accident ke pahle ka video apke paas hoga.
- Procus Iris Car Dash Camera Undisciplined Drivers ke liye Perfect Solution hai.
- Procus Iris Car Dash Camera Driving Instructors aur Worried Parents ke liye Perfect Solution hai.
- Insurance, Fraud aur Wrong Accident Charges ko rokne me help krta hai.
- Parking Accidents ko record karta hai.
- Car thieves ke liye ek deterrent ke tarh work karta hai.
One Device, Many Use :
- Video Evidence of Accidents : Procus Iris Car Dash Camera apke vehicles ka personal CCTV camera hai, Jiase public places par lage CCTV camera kisi bhi chori ya accident par nazar rakhne me help klarta hai waisehi Procus IRIS apke vechles ko kisi bhi damage ka first hand-evidence deta hai.
- Safety Device for Women Drivers : Jo log Malicious ka irada rakhte hain hai unke liye Procus IRIS ek deterrent ke tarh kaam karta hai. Aur ye khaskar women drivers ke liye importent hai. Procus IRIS ko number plate aur chehron ko capture karne ke liye road pe 360 degree me rotat kiya ja skta hai.
- Monitor Teen Driving & Chauffeur Driven Cars : Apne children ko jaldbazi me chalane ke bare me worried ya apke drivers apke vehicle ka use kaise kar rhe hain isse pareshn hai to aise situation me Procus Iris Car Dash Camera apko videos dekhne ki facility deta hai ki apke car ko kaise drive kiya gya hai.
- Protects Impact Videos : G-Sensor ka matlb hota hai Gravity Sensor. Agr kisi serious vehicle collision hoti hai to dash camera video file ko just lock kar deta hai.
- Inbuilt Parking Monitor : Car ko park karte time parking monitor function ka switch on kar den, Ye dash camera ko video record krne ki izazat deta hai, Ye apke car ko scratches ya chori jaise kisi bhi damage se bachane ke liye pura protect krega.
- Motion Detection : Standby mode me kisi bhi tarh ke motion ko detect kiya ja sakta hai. Motion detection function dash camera ko prompts karta hai automatically recording and video save ke liye.
- Loop Recording of Videos : Cyclic recording jo hai vo various options rakhta hai jaise 1 min, 3 mins, 5 mins, etc. Isse dash camera automatically SD card ko full nhi hone deta hai, Videos khud hi overwrite hoti jati hai, Sirf jis video ko lock kiye huye hain vo video ko chhod ke ke.
Procus Iris Car Dash Camera Technical Details :
Brand | PROCUS |
Model | PR07 |
Item Weight | 31.8 g |
Package Dimensions | 13.2 x 11.2 x 4.8 cm |
Batteries: | 1 Lithium Polymer batteries required. (included) |
Item model number | PR07 |
Additional Features | FHD Video resolution: 1080FHD(1920*1080) 30fps |
Included Components | 1 Dash Camera, 1 Car Charger, 1 Manual, 1 USB Charger, 1 Car Mount |
Number Of Items | 1 |
Screen Size | 2 Inches |
Image Stabilization | None |
Batteries Included | Yes |
Batteries Required | Yes |
Battery Cell Composition | Lithium Ion |
Viewfinder Type | Electronic |
What’s in the box ?
- 1 pcs Car Changer
- 1 pcs Suction Mount
- 1 pcs User Manual
Price, Availability and Warranty :
Ye apko Amazon pe available hai, aap ise www.procusgo.com se bhi perches kar skte hain. Iski print MRP hai 2999/- Mgr discount me ye apko me 2399/- me mil jyega, Waise to overall is product ki quality achhi hai, Aur ye product multiple quality checks ke baad market me aya hai, fir bhi is product me apko 6 Month ki warranty milti hai agr is product me kisi trah ka manufacturing defects hota hai to.
Hame umeed hai ke aapko ye article ( Procus Iris Car Dash Camera ) informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.
Also Read:
- Noise Shots X1 Air Full Review in Hindi
- Procus Bohemia Wireless Earbuds Full Review in Hindi.
- How to See WhatsApp Status Without Seen in Hindi
- Android Mobile Ko Secure Kaise Rakhe – Hindi ?
- Is Week Ki Top 5 Most Useful Android App – 10