Jub kabhi bhi baat social media marketing ki aati hai to pahli site jo hamare man mind me aati hai wo obviously Facebook, uske baad Twitter, Instagram, etc hai. In social media sites ke market me popular hone ki wajah ye hai ke ye users ko aapki site pe late hai. Agar aap thora hat kar soch sakte hai aur apni creativity ka use kar sakte hai to aapka business ek underrated social media se kafi benefit utha sakta hai. Hum baat kar rahe hai Pinterest ki, ji hann aap Pinterest Marketing strategy ki help se apne brand ko popular bana sakte hai. To is post me hum Pinterest Marketing Guide ke bare me baat karenge jiski help se aap apne business ke marketing ko kahi zyada improve kar sakte hai.

Pinterest Marketing Exactly Kya Hai ?
Pinterest ek social media site hai jo visual sharing ke idea pe based hai. Users aur “Pinners” yahan pe internet se images/videos ko share kar sakte hai aur search bhi kar sakte hai, Jo Pinterest ko visual content ke liye biggest search engines banata hai.
Jin images aur videos ko users upload karte hai wo Pin kahlata hai. Pinners ke pass option hota hai ke wo apne pin ko bulletin boards me neatly organizing kar sake, jo pinboards kahlata hai.
User apne board ko customize aur theme kar sakte hai, jise dusre user follow kar sakte hai. Aap apne board ko private or public bhi ho sakte hai.
Aur jub visual share karne ki baat hoti hai to, aapke pass teen option hai:
- Manually visuals ko Links/descriptions ke sath upload aur share kare.
- Apne feed me discover kiye gaye visuals ko Repin aur share kare.
- Search me find kiye gaye visuals ko Repin aur share kare.
Pinterest ki khas baat ye hai ke ye aapko ideas ko share karne ke liye allow karta hai aur dusron ko inspire karta hai, jo dusre kisi bhi social platform me nahi hai.
Pinterest for Business Personal Account Se Different Hai
Agar pahle se aapke pass Pinterest account nahi hai, ya aapka personal account hai, to aapko Pinterest ke full potential ko utilize karne ke liye official Pinterest for Business account ko sign up karna hoga. Aapko business account me ye features milenge:
Educational Marketing Materials
Pinterest aapko sirf platform hi nahi provide karta hai, ye aapko apne business ke marketing ke effecttiveness ko kaise maximize kare iske liye educational marketing materials create karte hai.
- Pinstitute – Pinners ko connect karne ke liye ek interactive workshops hai.
- Webinars aur small businesses ke liye resources
Pinterest Blog ko aap basic tips aur updated rahne ke liye check kar sakte hai.
Pinterest Analytics
Pinterest Analytics Pinterest Business account ka newest aur bahut awesome features me se ek hai. Jub aap apne account ko verify karte hai to aapko important tracking information ki access mil jati hai. Aap yahan pe dekh sakte hai ke aapki kaun si strategy aur content work kar raha hai, isliye aap constantly apne marketing ko improve kar sakte hai.
Rich Pins
Five different type ke rich pin hote hai. In me real-time price stock updates direct site links, aur interactive map locations shamil hai.
Popular Pins Create Kaise Kare
Social Media Examiner Pinterest ko ek visual search engine ki tarah describe karte hai. Is liye jub kabi bhi aap apne business Instagram account pe blog articles post karte hai to to ye zaroor chahte honge ke aapka content searchable ho.
Agar ye searchable nahi hua to ye search me appear nahi hoga aur aapke pin kisi ko dikhenge bhi nahi.
Is liye jub aap pin karna start kare to, aap Pinterest ke culture ko samjhe aur ye jane ke aapke followers kin chizon keare
bare me search kar rahe hai, aur ye bhi jaan le ke aap popular pin ko kaise create kare.
Most Popular Categories
Agar aap jante hai ke most popular Pinterest category kaya hai, to aapko is baat ka idea ho jayega
ke kaun se board aapke business ke liye kaam karega.
Aapko aise categories ko select karna hai jo aapke business ke according relevant ho.
Images that Work
Pinterest ke ek study ke mutabiq jo visuals Pinterest pe work karte hai wo clear hone chahye. Agar aap apne visual image ki quality pe emphasize karenge to aap kapin aapke liye cornerstone sabit hoga.
Top Pinterest pins ko kya chiz itna popular banati hai.

Optimal Pin Size
Har pin ka same width hota hai aur unlimited length hai. Kisi bhi typical pin ki size 736×1102 pixels hai. Aapke pin na zyada bade hone chahye aur na zyada chote. Canva’s Pinterest template aapke image ke sizing ko aasan banata hai.
Instructographics
Kabhi kabhi longer length allotment ka fayda uthana accha hota hai. Instructographic term ko Pinterest ne coin kiya gaya tha, aur ye infographics ka dusra naam hai.Ye DIY, aur how-to type nature ki wajah se popular hai, joki hum jante hai ke second most popular catogry hai.
Apne Pin ko Optimize Kaise Kare
Agar aap chahte hai ke aapke pin kiya gaye content ko zyada se zyada logo tak pahunche to aap zyada se zyada log ise dekhe to iske aapko apne pin ko optimize karna hoga. Agar aap apne pin ko optimize nahi karte hai to koi aapke pin ko koi bhi find nahi kar sakta. To chalye dekhte hai kuch Pinterest pin optimization techniques ko.
Best Times to Pin
Pin karne ka sahi time aapke target audience ke habit pe depend karta hai. Isliye aapko hamesha apne specific optimal posting times ko test karna chahye. Lekin aapke general information ke liye bata de ke SocialFresh ke according on average post karne ka best time 2PM – 4PM EST aur 8 PM se 1 AM EST hai. Aur Huspot ke research ke mutabiq post karne ka sabse accha time saturday morning hai.
Make It Easy to Pin Content from Your Sites
Aap apne site pe hovering Pin It button ko add kar ke apne users ke liye apne content ko pin karna easy bana sakte hai. Agar aap Pin it utton ka use karte hai to is se aapke user aapke site ke ya app ke kisi bhi image ko directly Pinterest se connect karne ke liye use kar sakte hai. PIn it button ka use karne ke liye aap Pinterest directly ka use kar sakte hai.
Aur agar aap WordPress ka use karte hai to aap Pinterest Pin It Hover button plugin ka use kar sakte hai.

Connect Other Social Media Platforms
Agar aap apne sabhi social media platforms ko connect karte hai to aapko apne kisi naye social media account ko apne naye followers se start karna nahi parega.
Apne twitter aur facebook account ko apne Pinterest facebook account se connect karna bahut aasan hai.
Ye aapko apne dusre social media platform ke followers ko naye platform pe sirf ek click kar ke follow karne me help karta hai.
Apne social media accounts ko connect karne ke liye:
- Apne account settings me jaye.
- Social networks section me jaye.
- Apne Facebook aur Google accounts ko connect kare.

Yaha peaap facebook ke apne personal account ko hi connect kar sakte hai, kisi page ko nahi. Agar aapke business ka sirf page hai to aap use yaha pe connect nahi kar sakte hai.
Pinterest SEO
Aagar aap chahte hai ke aapke targeted audience aapke pins tak pahunche to aapko kuch SEO startegies ko use karna hoga. Aapko yahan pe apne pins ko optimize karne ke liye kuch zyada karne ki zaroorat nahi hai. Bus kuch steps hai jinhe aapko follow karne hai.
- Keyword research: Google AdWords Keyword Planner jaise tool ki help se aap aise keyword ko find kare jo aapki site pe targated audience ko la sake.
- Apne keyword/keywords ko apne pin titles me add kare.
- Apne keyword/keywords ko pin descriptions me add kare.
- Apne keywords ko apne pin image file names me add kare.
Apne pin ka Seo karte waqt is baat ka dhyan rakhe ke aap apne pin ko bahut zyada keyword rich na banaye. Apne pin ko is tarah se optimize kare ke wo right context me use ho.
Relationships Build kaise kare Aur New Followers Kaise Banaye
Ab aapko ye pata chal chuka hai ke kis tarah ke pins popular hai aur aap apne pins ko kaise aisa banaye ke zyada se zyada logo use dekh paye. Ab Pinterest marketing ka next step jo hai wo hai ke hum pins ka use karke kaise followers se relationship build kare jo aapke pin ke reach ko badha sake.
Jiasa ke hum jante hai ke jitna zyada pinterest pe hamare pins ke reach honge utna zyada hum zuccess payenge.
Ye janne ke baad ke aapke user dusre account ko follow karte waqt kya dekhte hai, ye aapko ye janne me help karega ke wo kya chahte hai. Aur is se aapke following grow karegi.
University of Minnesota ne Pinterest study me paya ke un teen main chizon ko paya jise Pinterest users follow karne se pahle consider karte hai wo hai:
- Aap kitne accounts ko follow kar rahe hai / kitne aapko follow kar rahe hai.
- Aapke kitne pins hai.
- Aapke kitne Boards hai.

In factors ko satisfy karne aur apne relationship ko build karne ke liye aapko apne reach ko badhani hogi. Apne reach ko increase karne ke liye aap in steps ko follow kare:
Post Frequently
Zyada se zyada Pinterest followers pane ke liye aapko 5-30 post daily karne chahye. Pin karte waqt is baat ka dhyan rakhe ke aap sirf dusron ke pin ko repin na kare bulki apne khud ke unique pin ko bhi pin kare.
Apne pins ko pin karte waqt is baat ka dhyan de ke aap jub bhi pin kare to apne sabhi 30 pins ko 5 minutes me ek baar hi pin na kere. Apne pin ko poore din me kuch time interval ke baad post karte rahe.
Apne time ko save karne ke liye aap ek secrete board create kar sakte hai jis me aap apne pins ko collect kar sakte hai taki aap aasani ke sath use post kar sake.
Kuch pin ko aap morning me pin kare aur phir poore din me kuch interval ke baad apne pins ko live board me pin kare.

Engage with Followers
Jis tarah se aap tweets, Facebook posts, aur Instagram comments ko respond karte hai, theek usi tarah se aap Pinterest pe bhi apne followers ke comments aur unke questions ke answer de sakte hai.
Apne followers se directly interact kar ke aap apne business ko ek next level ko pahuncha sakte hai.
Apne Followers’ Pins Pe Comment Kare
Engagement ek two-way street hai. Aapko apne followers ke board pe bhi pahunchne ki zaroorat hoti hai. Apne followers ke pins pe bhi comment kare, taki aapke followers ko accha feel ho. Is tarah se aapke followers aapke brand ko bhi janege.
Follow and Engage with Popular Boards
Successful Pinterest strategy ko action me dekhne ke liye aap popular boards ko follow aur engage kare. Aap aise popular pins se bahut kuch sikh sakte hai. Aap yaha pe dekh sakte hai ke wo kis tarah ke pins ko pin karte hai. Kis tarah ke unke board hai, wo kitne logo ko engage karte hai. Aur aapka goal us level tak pahuchna hona chahye.
Agar aap in popular pins pe comment karte hai to aapke brand name un boards ko follow karne wale bahut sare logo ke dekhe jane ke chances hai.
Build Influencer Relationships
Zyada se zyada audience tak pahunche aur apne field ke influencers tak pahunch kar zyada followers anaye.
Sab se pahle unke boards ko follow kare se start kare, unke pin ko repin kare, aur unke pin pe engaging comment kare. Is tarah se jub aap apne name ko kahi pe chorenge to aap ek bare collaoration ko start kar sakte hai.
Brand Ko Successfully Promote Kaise Kare: Pinterest Strategies
Integrate Rich Pins
Rich Pins aapke audience ke liye zyada actionable data provide karta hai. Aur aise brands jo rich pin ka use karte hai hai to unke pin aur repin ke ration bahut zyada badh jate hai.
Rich pins four different flavors me aate hai: app, product, recipe, and article. In me sabhi ke apne valuable set of features hai, jo aapke engagement ko boost karne ke sath hi aapke site pe traffic bhi direct karta hai.
Rich pins use karne ke baad aapke traffic me increase ke chances zyada hote hai.
Agar aap upar diye gaye charo type me se kisi ko bhi pin karne ka plan banate hai to hamara suggestion hai ke aap Rich Pin ka use zaroor kare.
Perks of Rich Pins
Jub aap rich pin ke liye apply karte hai to aapka real-time information automatically aapke pin pe update ho jata hai. Kyuki aapki site aapke rich pin se jud jayegi joki aapke site pe logo ko direct karne ke zyada ways provide karta hai.
Agar aap “Article” pins bhi valuable hote hai, aap apne blog post ko bhi promote kar sakte hai, aur apne Pinterest user ko apne blog pe direct kar sakte hai. Article pin me brand logo ke sath ek bara title. description, aur ek call-to-action bottom hota hai jo direct aapke original site se linked hota hai.
Rich Pins Ko Kaise Integrate Kare
Agar aapke kisi bhi rich pin me direct traffic ko site pe lane ki potential bhi hai to bhi aapko unhe khud Pinterest site pe validate karne ki zaroorat hai [agar aap ek tech savvy nahi hai toiske liye developer ki help le sakte hai]. To chalye dekhte hai ke Pin ko validate kaise kare:-
- Is page pe jaye
- Decide kare ke aap kis tarah ke Rich Pin (product, recipe, movie, article, or place) aap apply karna chahte hai.
- Apne Rich Pin type ke documentation ko padhe.
- Apne site pe appropriate meta tags add kare
- Rich Pins ko validate kare aur pin ko approove hone ke liye apply kare.
Jub aapke Rich pin ko Pinterest approve kar leta hai to phir use entire world me dekha ja sakta hai, aur ise repin aur site pe redirect kiya ja sakta hai.
Site Ke Direct Link Ko Include Kare
Aapne sabhi pin ko Rich Pin banane ka koi sense nahi hai (Product photos, events, aur articles ke sath provide kiye gaye information rich pin me benefit provide karte hai, naki aapke sabhi content)
Jub aap apne “brand Inspiration” board me apne image ko pin karte hai to aapko rich pin ki zaroorat nahi hai. Relevant quotes aapke business ke liye Rich Pin ko call nahi karega.
Lekin ek information jise aapke Rich pin aur dusre simple pin me hone ki zaroorat hai wo hai aapki site ka direct link.
Yhan tak ke aapke inspiration pin me bhi aapke site ka link hona chahye. Kyuki agar aapke ek bhi piece of information aapke followers ko pasand aati hai to wo zaroor aapke board ko check karega. Aise me aapke followers ko information ko search nahi karna parega aur aap unke liye apne site ko find hone ke chances ko increase karenge.
Simply aap apne pin description me link ko add kare.
Apne Most Popular Boards Ko Top Me Rakhe
Time ke sath, aap ye jaan jayenge ke kaun se board zyada popular hai aur engagement gain karte hai. TO aap apne un boards ko page ke top me move kare taki jub koi aapke page pe aaye to wo aapke est material ko pahle dekhe.
Blog Posts Ke Liye Ek Alag Board Create Kare
Jitne bhi article Rich Pins aapke hai unhe aap ek separate board me organize kare. Aap in boards ko top me bhi place kar sakte hai taki aapke followers sab se pahle inhe dekhe. Ye aapke followers ko aapki site pe direct aane me help karega. Aise me aapke user ko aapke content ko find karna easy ho jayega.
Success Ko Track Kare Aur Pinterest Analytics Ke Sath Kaam Karne Wale Strategies Ko Jane
Pinterest pe apni startegies ko track karne ke liye jo sab se zyada helpful feature hai wo hai Pinterest Analytics. Ye feature sirf business account ke liye hai aur ye aapko in chizon ko dekhna allow karta hai:-
- Kin pins and boards ko aapke profile pe sab se zyada pasand kiya ja raha hai.
- Log aapki website se kya save karna pasand karte hai.
- Aapke pinterest audience kaun hai… gender, location, aur other interests.
- Aapke stuff ko pin karte waqt log kis device use kar rahe hai.
- Kis tarah se website pe Pin It button add karne se referral traffic aata hai.
Ye sabhi information aapke liye bahut important hai. Kyuki ye aapke account aur aapke reach ko grow karne me help karta hai.
Aapke pinterest analytics se gain kiye gaye information aapke ye janne me help karta hai ke aapki use ki gayi kaun si strategy work kar rahi hai aur kaun si nahi. Aap in facts ke base pe apne future ke strategies ko decide kar sakte hai.
Lekin apne Pinterest Analytics ko access karne ke liye aapko pahle apne website verify karna hoga.
Agar aap apne account ko verify karte hai to is se aapko ye fayda hoga ke ye authority aur trust gain karne me help karega. Jub user little red check mark ko dekhte hai to wo aapke site ko genune samjhte hai.
Aap setting section me meta tag add kar ke apne site ko verify kar sakte hai. Verify hone ke baad aapko verification badge mil jayega aur aap official ho jayenge.
Pinterest Growth Strategy
Pinterest pe apne business ko improve karne ke liye humne aapko bahut se information bataye hai, lekin is se aap pareshan na ho. Yahan pe bataye gaye sabhi aspects important hai jinhe aapko apne brand growth ke use karna hi chahye.
Agar aap un important sumarized information ko janna chahte hai jise aap use kar ke easily apne brand ko grow kar sake to aap Important Pinterest Growth Strategies post ko follow kar sakte hai.
Agar aap in strategies ko follow karte hai, aur jo engagement aapko milti hai us se kuch seekhte hai to aapka brand lagatar develop karta jayega, zyada target audience ko target karega, aur aapke site pe logo ko direct karega.
Ummid hai aapko ye Pinterest Marketing Strategy (Pinterest Marketing Guide) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko Hindi me mil Tips and Tricks ke articles mil jayenge. Aap hamari videos dekhne ke liye hmare Billi4You YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.