Key performance indicators (KPIs) social media campaigns ke performance ko measure karne ke liye marketing aur social media teams ke dwara use kiye jane wale values hai. Social media marketing kisi bhi business ka fundamental part hai, jo website pe traffic ko drive karta hai aur unhe leads me convert karta hai. Aai is post me hum aapko batayenge ke Social Media KPI Kya Hai?
Social media ek valuable tool jo hame audience ke sath personal relationships build karne me help karta hai, lekin iske sath hi ye hame revenue, reach, aur overall ROI ko increase karne me bhi help karta hai.
Social media teams aksar marketing messages ke impressions aur reach ko increase karne ke liye social media channels ka use karte hai. Is se campaigns ke success ko track karna mushkil ho jata hai kyu ki data and results multiple locations pe paye jate hai.
Marketing team ko social media performance ko samajhne ke liye social media metrics ko measure karna aur monthly results ko track karne zaroori hai.
Aapka social media metrics aapko aapke social media campaigns and the ROI ke performance ko determine karne me help karta hai. Aur ise ensure karne ke liye right social media KPIs ka use kiya jata hai.
Best Social Media KPIs
Top KPIs jise modern social media teams track karte hai:
- Likes
- Engagement
- Followers growth
- Traffic conversions
- Social interactions
- Social sentiment
- Social visitor goals
- Social shares
- Web visitors from social channel
- Social visitors conversion rates
Social Media KPIs Ke Types
- Social Media KPIs for Reach
- Social Media KPIs for Engagement
- Social Media KPIs for Conversions
- Social Media KPIs for Customer Loyalty
Social Media KPIs for Reach
Reach metric world ka ek aisa term hai jo aapko ye batata hai ke aapka message actual me kaha tak pahuncha hai. Kitne logo ne ise dekha hai aur wo kaun hai. Aap apne social media reach ko niche diye gaye KPIs se measure kar sakte hai.
1. Follower Count: Agar aap ye janna chahte hai ke kya aap zyada se zyda logo tak sahi dhang se pahunch rahe hai to ise aap apne followers ko count kar ke pata kar sakte hai. Yaad rakhe ke aapke aise fan jo engage nahi hote hai wo aapke brands ke liye zyada kuch nahi kar sakte hai.
2. impressions: Impressions measure karne ke liye ek complicated metric hai. Ye aapko batata hai ke aapka post timeline or newsfeed me kitne baar show hua hai.
3. Web Traffic: Scial media campaign se jo traffic aapke website pe aati hai wo bahut important hai. Ye aapke followers ko customer banane ka pahla step hota hai.
Social Media KPIs for Engagement
Social media engagement ek best social media KPIs jise hum measure kar sakte hai. Ye generally shares, likes aur comments ke amount ko dekhta hai jo aapke social updates generate karte hai.
1. Clicks: Clicks ek simplest forms of engagement hai jise hum measure kar sakte hai. Aapke blog ya site ke link pe click karne walo ke conversion ke chances bahut zyada hote hai.
2. Likes: Likes aapke brand ke liye attention generat ekarne ka ek natural way hai. Likes ek sign bhi hai ke aapke content ki authority hai aur aapke marketing team ko ispe zyada dhyan dene ki zaroorat hai.
3. Shares: Share ek aisa sign hai jo aapko batata hai ke aapka customers aapke brand ko apne friends ko recommend karna chahte hai.
4. Comments: Agar aap apne post pe comment pate hai to ek accha sign hai ke aap apne customers pe ek accha impact daal rahe hai.
Social Media KPIs for Conversions
Bahut sare companies ke liye conversion metrics social media campaign ke success ko measure karne ka way hai. Ek baar jub aapko attention milne lag jaye to aapko like share aur comment ke aage sochna hota hai. Kyu ki agar aapke koi bhi customer aapke product ko purchase nahi kar rahe hai to iska koi matlab nahi rah jata hai.
1. Sales Revenue: Jub aap shuruaat me social media campaign ke goal ko plan karne time aapko “increase sales revenue” ko ek dawedar ke roop me chuna hoga. Ye aapko ye determine karne me help karta hai ke social media se kitne conversion directly aapke site pe aaye hai.
2. Lead Conversion Rate: Lead conversion rate ye indicates karta hai ke aapke kitne lead aapse khareed rahe hai. Aap Google Analytics profile ko check kar ke easily conversion rate ko check kar sakte hai.
3. Non-Revenue Conversions: Aapke sabhio conversion sell me convert nahi hote hai. Kabhi conversion is liye bhi ho sakta hai ke log aapke newsletter ke liye sign up kar rahe ho. Yahan se aap ye pata laga sakte hai ke aapka social media strategy aapke customer se kis tarah ke action ko le receive kar raha hai.
Social Media KPIs for Customer Loyalty
Social media brand loyalty ka ek ultimate source ho sakta hai, lekin tabhi jub aap ise theek se use karna jante ho. Agar aap ye theek tarah se jaan jaye ke aapka campaign aapke customer base pe kis tarah ka impact daal raha hai to aap cost per lead ko minimize kar sakte hai aur apme purchase ko loyal user me convert kar sakte hai.
1. Cost Per Lead:
Aapka business qualified leads pe bahut zyada depend karta hai, isliye aapke liye ye janna zaroori hai ke aapko har ek pe kitna cost par raha hai. Cost-per-lead ko determine karne ka ek simple tareeqa ye hai ke aap us cash ko dekhe jise aapne social campaigns pe spend kiya hai.
2. Issues Resolved: Social media aapke customer se connect hone ke zarye ke alawa aur bhi bahut kuch hai, iski help se ye kayi different tareeqe se apne value ko prove karne ki oppertunity hai.
Example ke liye aap maan lijye ke aapne apne customers jinhone aapke product ka complain twitter ke are se kiya aur aapne uske us complain ko ek ghante me resolve kar diya. To aapka ye action aapke customer ko ye batata hai ke aap unka respect karte hai. Is tarah se aap customer service de kar apne brand ki loyalty ko improve kar sakte hai.
3. Customer Lifetime Value: Finally kisi bhi company ke liye sab se mushkil kaam ye hai ke wo apne customer ke lifetime value ko improve kare. Jitna zyada aapke customer aapke loyal honge utna zyada aapke aapke product ko buy karne ke chances zyada honge.
Social media campaigns ye ensure kar ke customer lifetime value ko enhance kar sakte hai ke aap constantly sahi ke sath connect hote hai.
Ummid hai aapko KPI ka ye article (KPI kya hia) informative lagai hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Learn:
- Ultimate Pinterest Marketing Guide
- WhatsApp Group Invite Link Kaise Banaye ?
- Facebook Public Search Se khud ko kaise Remove kare