Website aapko ye opprtunity deta hai ke aap poore world ko target kar sake. Wahi local SEO local area me high-rank karne pe focussed hai. Customers apne aas pass best products aur services ko dhoonte hai aur agar aise me aapne apne site ko local SEO ke liye optimize nahi kar rakha hai to aap apne bahut sare opportunity ko kho rahe hai. Is post me hum aapko local SEO kya hai ye batayenge. To chalye dekhte hai local SEO in hindi.

# 1. Local SEO Basics
Is section me hum local SEO ke basics ke bare me janege. Yaha pe hum kuch data ko show karenge jo aapko ye samjhne me help karega ke local SEO aapke business ke liye kitna zaroori hai.
Local SEO Kya Hai?
Kisi search query ke liye apne business, product, ya services ko kisi khas location ke liye optimize karne ke practice ko local SEO kaha jata hai. Local SEO ki help se hum apne website ko optimize karte hai taki hum zyada se zyda local traffic gain kar sake.
Google ke sath sath dusre search engines bhi user ke location IP address (for desktop) aur geolocation (for mobile)ke base pe ye determine karte hai ke user ko kya dikhana hai. To aise me agar aap kisi dentist ya restaurants ke liye search karte hai to Google aapke location ke base pe aapko result show karta hai, Isliye aapke liye ye bahut zaroori hai ke aap local SEO ke liye apne product ya services ko optimize kare.

Local SEO se related common tasks me local keywords ko find karna, Google My Business profile ko business ke liye optimize karna, aur “NAP” citations ko build karna shamil hai.
Local SEO jise kabhi kabhi local search marketing bhi kaha jata hai, ye apne local business ko online karne ka ek effective tareeqa hai. Ye hamare products aur services ko local customers ke beech same time me jub log ise online dhundh rahe ho promote karne me help karta hai.
Local SEO Important Kyu Hai?
Yaha pe kuch stats diye gaye hai jo aapko ye prove kar denge ke local search hamare business ke liye kitna important hai:
- 50 percent people jinhone apne phone pe local search kiya wo physical store ek din ke andar gaye.
- 34 percent jinhone ne apna search computer ya tablet pe kiya unhone bhi yahi kiya.
- Google pe kiye jane wale 46% search “local intent” ke liye hota hai. (Search Engine Roundtable).
- “Near me” searches traditional, local-based searches se 150% zyada tezi se badhi hai. (Google).
- Sabhi Google SERPs ke 29% results me local pack hota hai. (RankRanger).
To ye clear hai ke local search SEO ki dunya ka ek bada hissa banati hai. Aur agar aap local search ke liye khud ko optimize karte hai to iska high chance hai ke searchers aap tak bahut aayenge.
Local SEO Work Kaise Karta Hai?
High-level pe Local SEO “normal” Google search ki tarah hi kaam karta hai.
Jub bhikoi kuch search karta hai to Google apne index ko scan karta ahi taki wo us person ke query ka best answer de sake.
Local SEO ko jo chiz unique banati hai, wo hai local search results ko rank karne ke liye Google ka ranking factors ke different set ka use karna.
In fact, local SEO ke kuch unique ranking signals hai jisme:
- Location jaha se log search karte hai.
- Google My Business listing ka presence.
- Google My Business profile me use kiya jane wala keyword.
- Online reviews ka sentiments.
- Online reviews me use kiye gaye keywords.
- us location pe kiya jane wale “check-ins”.
- Social media sharing.
- Business pe diye gaye Google Maps star rating.
- NAP citations
# 2. Map Pack Introduction
Ye section Map Pack ke bare me hai. is section me hum janege ke:
- Google local Map Pack works kaise karta hai.
- Map Pack rankings ko kaise track kare.
- Helpful local SEO tools
- Local keywords ke liye Google organic me kaise rank kare.
Map Pack Kya Hai?
Map Pack (jise “Local Pack” bhi kaha jata hai) 3 local business results ka set hai, jisme Google Maps se liya gaya locations map bhi shamil hai.

For example jub aap “Restaurants” search karte hai to result ke top pe Google ka Map Pack hota hai.

Iske niche “normal” search result hote hai.

Map Pack me Google businesses ko rank kaise karta hai ye hum aapko is guide me aage batayenge. Abhi ke liye aap itna jaan le ke Map Pack ke apne algorithm aur set of rules hai.
Yaha pe bhi Surely aapko kuch ranking factors (jaise backlinks) local aur traditional organic results me rank karne me help karenge.
Yaha pe ek chiz jo dhyan me rakhne wali hai wo ye hai ke, Google sirf un keywords ke liye local result nahi dikhata hai jinme koi specific city ya state hota hai.
Agar Google ko lagta hai ke aapke search ko local results ke set ki zaroorat hai, to wo ise aapko dikhayega chahe keyword local na bhi ho.
Ab hum local SEO rankings ko kaise track kare ye dekhenge.
Map Pack Rankings Ko Kaise Track Kare
Kisi bhi local SEO campaign ka first step me se ek ye janna hota hai ke aap abhi kaha pe hai.
Specifically, aap ye janna chahte hai ke aap Map Pack me kaha pe rank kar rahe hai. Aur time se sath aap apne Map Pack rank ko track kare.
Jitne bhi rank tracker available hai usme aapko Map Pack tracking mil jayega.

Yahan pe issue ye hai ke local SEO me jaha se aap search kar rahe hai ye bahut impact dalta hai. In fact, Map Pack ke results one mile se dusre tak jane me completely different ho sakte hai.
For example maan le ke kisi ne sect 16, Noida, UP mse “coffee shop” search kiya.

Is search result pe ye baat se bahut zyada impact dalega ke searher kaha se search kr raha hai.
In fact, same search ek completely different Map Pack results ka site show karega agar searcher kuch block aage ja kar search karta hai.

Agar aap apne local ranking ko single location se track karte hai to aap sirf ek small sample dekh rahe hai ke aap real world me kaha pe rank kar rahe hai.
Yahi reason hai ke aapko apne ranking ko poore city ya local area me dekhne ke liye tool ki zaroorat hogi, jis se aap ye jaan sake ke aap apne poore area me kaha pe rank kar rahe hai.
Is tarah ke detailed Map tracking ke liye aap Local Falcon tool ka use kar sakte hai.

Yahan pe sab se pahle aapko apna business name choose karna hai.
Note: Yhan pe feed directly Google Maps se aata hai. Isliye is tool ko use karne ke liye aapka Google My Business profile pahle setup kiya hona chahye.
Phir aapko un keywords ko choose karna hai jiske liye aap apna ranking check karna chahte hai.

Uske baad aapko ye choose karna hai ke kitna specific ya broad aapka rank tracking ho sakta hai.
Example ke liye aap 2 ya 3 mile rank tracking radius le sakte hai.

Ye 7 x 7 grid ka setup hai jo aapko ye idea deta hai ke aapka business entire area me kaha pe rank kar raha hai.
Ab aapko ranking check karna hai.
Aapke samne ranking ka ek visual open hoga jispe har geographical position ke liye aapka rankings show hoga.

Aap map me dekh sakte hai ke aap kisi particular area me kis kis place pe rank kar rahe hai. Aur aap result pe click kar ke ye dekh sakte hai ke aap aapko kaun outrank kar raha hai.
Agar kisi position pe aap apni ranking se satisfy nahi hai to aap competitor’s address ko listing me check kare. Is tarah aap ye cross-check sakte hai ke wo map pe physically kaha pe located hai.
Aur jub aap competitor’s location ko rankings map pe dalenge to aap dekh sakte hai ke aap #1 position pe rank kyu nahi kar pa rahe hai.
Yaha pe simple explanation ye ho sakta hai ke search location competitor ke bahut close tha is liye ye ek perfect sense banata hai ke Google us competitor ko #1 result pe rakhe.
Local Organic Rankings
Agar aap local business run kar rahe hai to Map Pack wo jagah hai jaha pe aapko hona chahye.
Lekin aap traditional local results ko completely ignore nahi kar sakte hai.
local organic results usually local pack ke niche show hota hai.

Zyadatar local searches strong commercial intent ke hote hai isliye aapke liye ye bahut zaroori hai ke aap local SERPs me bhi rank kare.
Isliye local organic rankings ke liye apne site ko optimize karne ke liye aapko title tag aur URL me apne keyword ko add karna hoga. Aur iske sath hi aapko sabhi on-page SEO stuff ko follow karna hoga.
Local organic rankings ke bare me jo unique thing hai wo ye hai ke aap use kaise track karte hai.
Is baat ko yaad rakhe ke “store + city” aapke local searches ka ek hissa hai.
Isliye “Delhi restaurant” ke sath hi aapko “restaurant near me” “restaurants” jaise keyword ke liye bhi track karna chahye.
“Restaurant near me” Jaise keyword ke liye aapko apne rank tracking tool me location ko specify karna hoga.
Aap same keyword ke liye bahut sare different spots ke liye apne ranking ko track kar sakte hai.
# 3. Local SEO Keyword Research
Is section me aap local SEO ke liye keyword find kaise kare ye janege.
Fortunately, local SEO keyword research basically ek baar me kiya jane wala process hai.
Blog ki tarah aapko yaha pe new keywords hamesha nahi dhundhna parta hai.
Yaha pe aapko start karne ke liye keyword ke short list ki zaroorat hai jise log aapke local business ko find karne ke liye use karte hai.
Google Suggest
Google Suggest local searches ke liye accha kaam karta hai.
Yaha pe ek baat jo aapko dhyan me rakhna hai wo ye hai ke aapke local searches me kuch aisa hona chahye jo aapke potential local customers search kar rahe ho.
For example, agar aap “HVAC” type karenge to aapko suggestions ki ye list milegi.

“near me” ke alawa isme local SEO ke liye koi khas keyword nahi hai.
Lekin jaisehi aap yaha pe local term, like “HVAC C” use karte hai to aap aise keyword yaha pe dekh sakte hai jise aap use kar sakte hai.

Local Voice Searches
Google ke according moile pe kiye jane wale Google searches me 20% voice searches hai.

Voice aur keywords searches me ye difference hai ke voice searches long hone ke sath hi natural language ka use karta hai.
Aisa koi tool nahi hai jo voice search keywords ko find karne me help kar sake par ek aise chiz hai jise aapko keyword search karte waqt dhyan me rakhna chahye.
GKP “Start With Keywords”
Google Keyword Planner aapko specific geographic areas ke liye search volume data provide karta hai.

Agar aapke pass pahle se hi kuch keyword haii to aap is feature ka use kar sakte hai.
Lekin agar aap NEW keywords ko find karna chahte hai to aap hai to aap “Start With a Website” feature ka use kar sakte hai.
Aap sirf apne competitor ke homepage URL ko dale

Aur Google aapko us page pe show kiye jane wale terms ke according kuch keyword suggest karega.
#4. Local SEO Ranking Factors
Ab aapko ye janna hai ke local SEO Google me actual me work kaise karta hai.
Yahan pe hum briefly most important Google local search ranking factors ko cover karenge.
Aur aapko kuch tips denge ke aap uske kaise optimize kare.
Google My Business Profile > Your Website
Last year Moz ke annual “Local Search Ranking Factors Study” me paya gaya ke map pack me rank karne ka #1 ranking factor Google My Business Profile tha.
Aapla local business website abhi bhi important hai. Aapke page ka content aur aapke site ko point karne wale link Map Pack rankings me role play karte hai.
Lekin aapke business ke liye Map Pack me #1 pe rank karne ke liye, aapka GMB profile hona chahye.
But for your business to rank #1 in The Map Pack, your GMB profile needs to be on point.
NAPs
NAP (Name, Address aur Phone number) citations dusre key local SEO ranking signal hai.

Google ye confirm karne ke liye ke aapke sabhi business info correct hai NAPs ka use karta hai.
Aur jitni baar wo aapke business ke liye NAP citations dekhta hai, wo utna zyada confirm hota hai ke aapka address wahi jo aap bata rahe hai aur aapka phone number correct hai.
Is liye ye zaroori hai ke aap apne NAP citations ko jitni zyada reputable websites daal sakte hai dale.
Online Reviews
Moz ke local ranking factors me ye bhi paya gaya ke “Review Signals” ek important role play karta hai.
Specifically, ye bataya gya ke GMB profile pe diye gaye negative reviews aapko hurt kar sakta hai. Aur Google 3rd party sites pe diye gaye review ko bhi use karta hai.
Isliye agar aapko positive review milte hai to ye aapke ranking me help karega.
Ek study ke panalist ke according: “Reviews ye show karta hai ke consumer aapke business ko trust karte hai aur trust aapke ranking ka ek foundational factor hai”.
Iska matlab hai ke review ka answer dena, yaha tak ke negative bhi aapke local SEO efforts me help karega.
“Normal” SEO Bhi Applly Hota Hai
Upar jitna kuch aapko bataya gaya hai uske sath hi Google ka traditional ranking factors 100% local pe apply hota hai.
Iska matlab hai ke aap jitna high organic results me rank karenge, utna high aap Map Pack me rank karenge.
Yahi reason hai ke content create karna, apne page ko optimize karna aur backlinks build karna local SEO rankings ke liye bahut important hai. Especially competitive industries (jaise legal, dentistry, etc) ke liye.
# 5. Google My Business
Is section me hum aapko Google My Business profile ko optimize karne ke bare me batayenge.
Jaisa ke hum aapko bata chuke hai ke Google me apne business listing ko claim karna local results ke liye kitna important hai.
So, agar aap apne GMB se zyada se zyada fayda uthana chahte hai to ye chapter aapke liye bahut important hai.
Har Ek Chiz Ko 100% Stable Rakhe
Jub baat GMB ki aati hai to consistency bahut matter karta hai.
Na sirf GMB me dale gaye sabhi chize aapke site se match karni chahye balki ye web pe aapke NAP citations se bhi match karni chahye.

Jub Google ye dekhta hai ke apka business info apke GMB, website aur 3rd party sites like Yelp pe ek jaise hai to use lagta hai ke ye business lsahi hai. Aur inki sarae local info match kar rahe hai.
Lekin agar aapke local business ka address GMB me alag aur aapke site pe alag hota hai to ye Google ke liye ek bada red flag hai.

Is liye agar aapka business apna name, physical location ya phone number change karta hai, to ye zaroori hai ke aap apne new info ko jitna zyada jaldi ho sake update kare.
Yahan pe aapko ek aur baat jo dhyan me rakhna hai wo ye hai ke aapko apna business’s address exact usi tarah se likhna hai jaisa ke GMB profile aur dusri jagah pe dikhta hai.

Google is chiz ko like nahi karta ahi ke aapka ek address “Avenue” ho aur dusra version “Ave.” use kiya gaya ho.
Aise address kisi insan ke liye confusing nahi honge par Google ke liye hai.
Jitna Zyada Data Point Aap Cover kar Sakte Hai Kare
Google aapko aapke profile completeness ke base pe score deta hai.

Aap sirf kuch basic ko cover kar ke is score ko high kar sakte hai.
Yahan pe hum aapko kuch aise point ko batayenge jise log generally miss kar dete hai. Agar aap in points pe focus karenge to aap score ko high kar ke competitive keywords ke liye accha rank kar sakte hai.
Main thing jise log chor dete hai wo hai category selection.
Google aapko aise top level category ko choose karne ke liye force karta hai jo aapke business ko describes kar sake.

Aur aap jis category ko choose karenge us category ko pahle diye gaye category se match karna hoga. Aap apna khud ka category nahi bana sakte hai.

Bahut sare log secondary categories ko add karna bhool jate hai.
Ye secondary categories directly aapke business ko rank karne wale keywords aur searches ko impact karega.

Iske sath hi aap “Services” and “Products” tabs ko bhi fill kare.

Ye Google ko exactly batayega ke aapka business actually me kya sell kar raha hai. Isliye ise fill karna bahut zaroori hai.
Important Business Data Ko Updated Rakhe
Apne opening hours, holidays aur dusre basic business info ko double check kare ke wo accurate aur up-to-date ho.
Is tarah ki chizen directly rankings ko impact nahi karti hai.
Lekin agar aise me koi aapke service provide karne ki jagah pe aaye aur aapka closed sigh dekhe to ye accha review nahi chorta hai.
Isliye aapko is baat ka dhyan rakhna hoga ke jub aapka opening ya closing hour change ho to aap apne Google My Business me bhi ise update kare.
More Reviews (Aur Reviews Ka Reply)
Jaisa ke humne aapko pahle hi bataya hai ke reviews ek top local ranking signals me se ek hai.
Isliye aap zyad se zyada positive reviews gain kare. Jub koi review positive, negative, ya inke beech me hota hai, to aapko chahye ke aap har single review ka reply kare.
Agar aap aisa karege to ye show hoga ke aap apne potential customers ki care karte hai.
Jub review ki baat aati hai to, do chizen hai jise aapko apne mind me rakhni hogi.
- Aapko customers ko reply karne ke liye kahna hoga.
- Aur aapko ise unke liye aasan banana hoga.
Aur in dono kaam ko karne ka jo best tareeqa hai?
Ke aap apne customer ko review link ke sath email send kare.
Way #1: Is page pe jaye aur apna business name enter kare.

Ye apko apke business ka “Place ID” de dega.
Phir is URL me apna place ID add kare.
https://search.google.com/local/writereview?placeid=
Upar diye gaye example ka usekar ke aapka URL aisa hoga:
https://search.google.com/local/writereview?placeid=ChIJ-x3_Q8d544kRkvCvAv2dNqY
Aur jub aap link pe click karenge to ye user ko review ke liye kahega.

Way #2: Apne GMB account me login kare aur “Get more reviews” card pe jaye.

Finally, short URL generate kare jise aap customers ko send kar sake.
Local Businesses On-Site SEO
Is section me hum kuch aise short way ko cover karenge jiski help se aap on-site SEO efforts se zyada se zyada fayda gain kar sake.
Ek baar jub aap apne title tags aur body copy ko traditional on-page SEO approaches ke sath optimize kar lete hai to aap in strategies ko apply kare jo specifically local small business websites ke liye designed kiya gay hai.
Every Location Ke Liye Unique Content Likhe
Aap shayad pahle se hi jante ho ke aapko apne site ke har page ke liye 100% unique content likhna chahye.
Isliye agar business Delhi ya Noida me serve karta hai, to aapko pane har page ke content ko completely different rakhna chahye.

Lekin aap jonahi jante hai wah yeh hai ke jub tak aap duplicate content ko avoid karte hai tab tak aap cities e liye is tarah ke landing pages bana sakte hai joiki physically based nahi hai.
Ye obviously aapko Map Pack me rank karne me koi help nahi karega. (Aapko GMB profile uske liye us location ka hona chhaye)
Lekin aap local organic results me different local keywords ke liye accha rank kar sakte hai.
Local SEO Ke Liye Schema Ka Use Kiase Kare
Jub baat local SEO, Schema markup hona accha hai.

For example, aap is Schema ka use address aur phone number ko markup karne ke liye kar sakte hai.
Map Pack rankings ranking ke liye Google schema pe depend nahikarta hai. Lekin agar aap confident hai ke aap ise sahi se implement kar lenge to “LocalBusiness” markup ko apne site pe use karne me koi burai nahi hai.
Ek type ka scheme jo review markup me help kar sakta hai
Kisi bhi tarah ke SERPs ki tarah hi review stars aapke boring result ko eye-catching Rich Snippet me turn kar sakta hai.

Note: Google “LocalBusiness” aur “Organization” schema types ke liye review snippets ko support karna band kar diya hai. Lekin aap abhi bhi apne local business website par content, tools, recipes ya dusre content ke liye review schema ka use kar sakte hai.
Title Tag Cliffhangers Ka Use Kare
Ye technique local business sites ke liye bahut accha work karta hai.
Karna ye hai ke aapko apne title tag ko strong, benefit-driven statement se start karna hai.
Aur apne tittle tag limit ko Google ke recommended limit se zyada rakhe.(currently ye 500-600 pixels ya 50 characters hai).

Aisa karene se jo cutoff create hoga wo zyda click gain karega.
#7. NAP Citations
Ab local SEO ke most challenging parts NAP citations ke bare me baat karenge.
NAP citations backlinks ki tarah hi hai: Ise build karna bahut mushkil hai. Lekin ye bahut zyada important bhi hai.
Is chapter me hum aapko batayenge ke aap kis tarah se local citations ko build kaise karenge.
NAP Audit Run Kare
Aapko chahye ke aap apne NAP data ko hae jagah pe 100% ek jaisa rakhe.
Apne website pe
GMB profile pe
Listings sites pe
Business directories pe.
Basically: har jagah jahan pe aapne apne business ko online mention kiya ho.
Million citation tools and services aapko mil jayenge. Lekin hamara recommendation hai ke aap WhiteSpark and Loganix use kare. Iske alawa bhi aapke pass select karne ke liye bahut seoptions hai jise aap select kar sakte hai.
Is baat se koi farq nahi parta ke aap kaun se tool ya service ka use kar rahe hai. Lekin jo chiz start karne se pahle important hai wo ye hai ke:
- Business ka current, up-to-date NAP .
- Any historic NAP info( Is tarah aap outdated citations kofind aur update kar sakte hai)
In informations ke sath tool aapke NAPS ko internet pe search karega.

Incorrect NAP Ko Fix Aur Correct Kare
Ab jub aapke pass citations ke list hai, to aapko un NAP citations ko find karna hai jo correct ya consistent nahi hai.
To jub aapke pass aise NAP citations hai jise updation ki zaroorat hai to aapka next step ye hai ke aap jitna ho sake use correct kare.
Incorrect NAPs two different categories me aate hai.
- Citations jise aap change kar sake.
- Citations jise kisi aur ko change karna hai.
First category me aapko ise one by one update karna mushkil ho sakta hai, isliye aap Yext aur Bright Local jaise service ka use kar sakte hai.

Aise citations jise kisi dusre se manual change ki zaroorat hai, uske liye aapko one-by-one targeted, friendly outreach emails se pahunchna hoga.
Link Intersect Ki Help SE Citation (and Link) Opportunities Find Kare
Yelp, FourSquare, Angie’s List, aur is tarah ki dusri jagah pe citations built kar lene ke baad aapko kya karna hai?
Aapke best citation opportunities aapke local sites se aate hai. Local citations bahut relevant citations hote hai jo aapke Map Pack rankings ko real boost provide karte hai.
Aur kyuki aap apne local area me logo ki talash me hai isliye ye aapka outreach conversion rate usually bahut high kar sakta hai.
Yahan pe question ye hai ke hum apne in local citations ko kaise find kare?
Iske liye aap Ahrefs me Link Intersect feature ko check kare.

Jaisa ke naam se hi pata chalta hai ke ye feature link building ke liye banaya gya hai. Lekin ye citations ke liye bhi work karta hai.
In fact, aap kabhi kabhi “double dip” kar ke same place se link aur citation donogain kar sakte hai.
Iske sath hi niche aapke liye step-by-step process diya gaya hai:
Pahle aap 2-3 competitors ka batch le aur unhe tool me dale.
Tips: Yahan pe aapko hamesha direct competitors ko use karne ki zaroorat nahi hai. Aapke area ka koi bhi businesses work kar sakta hai.
Phir aapko ek report milegi jisme aapke wo sabhi site listed honge jo step #1 me enter kiye gaye competitor se judi hogi.
In results ke through aapko citation opportunities mil sakti hai.
Reverse Engineer Competitor NAPs
Jis tool ko aap NAP audits ke liye use karte hai, use aap aapne competitors ke against bhi use kar sakte hai.
Aapko sirf unke NAP details ki zaroorat hai, aap un sabhi jagaho ki comprehensive list pa lenge jinhe unhone online mension kiya hoga.
Mere according, ye approach Link Intersect se zyada behtar kaam karta hai.
#8. Advanced Local SEO Tips and Strategies
Is section me hum advanced local SEO tips, strategies aur tactics ki baat karenge.
Ye tactics NAP building or GMB optimization ko replace karneke liye nahi hai.
Aap in strategies ki help se apne ranking me thora jump dekhenge.
Thumbtack Suggest
Ye optimization ke liye local keywords ko find karne ka ek aur tareeqa hai, jahan se aap achhe local keywords find kar sakte hai.
Example ke liye jub aap “Cleaners”, type karte hai to ye aapko kuch suggestions show karta hai.

Google Map Pe Apne About Page Ko Embed Kare
Yeh Google ko ye batane ka accha tareeqa hai ke aap kisi specific place pe locate karte hai.
Aapko sirf itna karna hai ke aapko apne business ko Google Maps pe find karna hai.

Phir screen ke top left corner se dropdown menu ko hit kare. Aur “Share or embed map” pe click kare.

Ye aapko embed code dega.
Finally, us map ko apne site ke contact or directions page pe embed kare.

Location-Focused Keyword Ka Use Kare
Ye tip aapke local organic rankings ke liye bahut helpful hai.
Aapko sirf itna karna hai ke local-focused keyword aapke page ke top me headline me show hona chahye.
Aisa karne ke liye aapko use H1 tag me dalna hoga.
Ye straight on-page SEO ke comparison me UX signals ke liye kafi hai.
Aisa is liye hai kyuki jub koi local searcher aapke page pe land karta hai,to wo within 2 seconds ke andar me ye janna chahta hai ke kya aap uske areako serve karte hai ya nahi.
Aur jub searcher is tarah ke headline ko dekhta hai to wo search result pe wapas jakar dusre business ko find karega kyuki is se use pata chal jata hai ke hai ye 100% unke city me focused hai.
Title Tag
Ye ek old-school SEO approach hai jo local businesses ke liye bhi bahut accha kaam karta hai.
Aapko sirf itna karna hai ke aapko apne homepage title tag ko 2-3 keywords ke around optimize karna hoga.
Ye technique local world me kaam karta hai kyuki zyadatar local businesses ke internal pages pe bahut kam links hota hai.
Local sites ke mainly backlinks unke homepage pe point karte hai.
Iska matlab ye hai ke hame apne homepage se zyada se zyada value gain karne ki zaroorat hai. Aur ise bahut sare different related keywords ke around optimize karna isa karne ka ek best tareeqa hai.
Meta Descriptions Ko Local Searchers Ke Liye Optimize Kare
Apne organic CTR ko improve karne ka description ek behtareen tareeqa hai.
Unfortunately, bahut sare local businesses keyword-stuffed descriptions likhte hai.

Balki aapko is tarah ke formule ko follow karna chhaye:

Pro Tip: Compelling description copy ke liye Google Ads ka use kare.
Ab aap ka turn hai ke aap in techniques ko kaise use kare aur apne local business ke ranking ko improve kare.
Ummid hai aapko Local SEO ka ye article (Local SEO kya hai) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.