Google map offline: Google Maps sabse popular aur reliable mapping/navigation services me se ek hai. Agar ham kisi aisi jagah pe ja rahe ho jahan pe Internet available nahi ho to Google Map ka offline feature kafi madad kar sakta hai. Google Map ka offline feature hame kis bhi area ke Map ko download karne aur internet connection ke na hone pe aapko Map ko use karne ki facility provide karta hai. To aaeye jante hai ke hum Google Map ko offline kaise use karen.
Google Map Offline Kaise Use kare
- Apne Android phone aur tablet pe Google Map App ko open karen
- Is baat ka dhyan rakhen ke aap Internet se connected ho aur Google Map me sign in ho
- Jis jagah ka pata karna hai use search kare
- Niche me Jagah ke Name aur address pe click karen.
- Location/area mil jane ke baad offline save karne ke liye three line ke option pe click kar ke menu me offline Maps ke option ko select kare
- Blue square box me us Area ko select karen jise aap download karna chahte hai.
- Ab apko screen ke niche me “download” ka option dikhega us pe click karen
- Download area ko bara aur chota banane ke liye screen pe pinch kar sakte hai.
- Aap dekhenge ki file ka size automatically screen ke niche update ho jayegi.
- Jitna bara size aap select karenge utna zyada file ka size hoga.
- Jub aap Map ke size ko select kar len to download ke option pe click karen.
- Map download ho jane ke baad aap usi tarah se use kar sakte hai jaise aap online ho kar use karte hai.