Google ne digital world me tarah tarah ki chizon ko develope kiya hai. Google ke unhi ahut sare technology me se ek hai firebase. Aaj is post me hum aapko batayenge ke aap Google firebase kya hai aur ye kaun kaun si services provide karta hai.
Google Firease Kya hai?
Google firebase Google ki ek service hai jiska use Mobile aur web App development ke liye kiya jata hai.
Google firebase ki help se hum high quality ke apps bana sakte hai.
Firebase kuch aise tool provide karta hai jiski help se Analytics ko track karne ke sath hi crash ko report aur fix bhi kiya ja sakta hai. Firebase ke tool ki help se App ki saari jankari milti rahti hai.
Firebase ka naam sab se pahle Envelope rakha gya tha. 2011 me jub envelope aaya tha us waqt iska kaam developers aur API (Application programming interface) ke beech me website pe online chat ka function enable karna tha. Phir aahista aahista ahut sare feature isme add hote gaye.
Phir Envelope ka istemal online game ke liye kiya jane laga jis se ye pata lagta tha ke online kitne log game khel rahe hai. Phir Envelope ko Online chat aur Real-time me alag kar diya gya.
2012 me Firebase ko ek alag company bana diya gya jiska naam Bass rakha gya aur iska kaam sirf real time data dena tha.
2014 me Google ne BaaS ko kharid liya jise aaj log Firease ke naam se jante hai.
Google ne BaaS me aur bhi bahut sare extra features ko atak add kiya hai.
Firease Ki Services
Firease ek Multi-Service Provider Tool hai jiski help se App Management Ke Sare features ko access kiya ja sakta hai.
Firebase Analytics
Firebase Analytics ek free of cost app measurement solution hai jo app ke user aur user engagement ke are me atata hai.
Firease Hosting
Firebbase pe aapko free hosting service available hai jahan pe aap html ki kisi bhi website ko host kar sakte hai.
Firebase Storage
Firebase storage firebase network quality ko consider kiye bina App ke liye ek secure file uploading and downloading ka feature provide karta hai.
Developer iska use images, audio, video, or dusre user-generated content ko store karne ke liye kar sakte hai.
Firebase Cloud Messaging
Pahle Google Cloud Messaging (GCM) ke naam se jana jata tha. Firebase Cloud Messaging (FCM) Android, iOS, aur web applications ke liye messages aur notifications ke liye ek cross-platform solution hai.
Firebase Realtime Database
Firebase real-time database provide karta hai, Ye application developer ko API provide karta hai jo application data ko client ke sath synchronize karne aur firebase ke cloud pe store karne ke liye allow karta hai.
Firebase Auth
Firebase Auth ek aise service hai jo sirf client side ka use kar ke user ko authenticate kar sakti hai. Ye social login provider Facebook, GitHub, Twitter aur Google ko bhi support karta hai.
Iske sath hi ye ek user management system include karta hai jiske help se developers firebase ke sath store kiye gaye email aur password se user authentication ko enale kar sakte hai.
Remote Configuration
Apne app me kisi bhi naye feature ko add karne ke liye aap firebase ke remote configuration feature ka use kar sakte hai.
To doston ye thi firease ke abre me kuch bate ke firebase kya hai? firebase kya kya services provide karta hai? Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga isi tarah ke aur bhi informative topics ko janne ke liye Billi4You ko subscribe kare.