Agar blog ya website kisi bhi domain pe hai to aap apne us domain ka sub-domain create kar sakte hai. Aaj is post me hum aapko batayenge how to create sub-domain. Sub-domain ko create karne se pahle aapko suib-domain hota kya hai iska pata hona chahye. To aaeye dekhte hai ke sub-domain kya hota hai.
Sub-domain kay hota hai?
Sub-domain ko jaane ke liye hame ye jaanna bahut zaroori hia ke domain name kay haota hai. Domain name ke bar eme detail se jaane ke liye niche diye gaye post link ko follow kare.
Sub-domain ek second website hota hai jise hum apne existing website ka section kah sakte hai. Subdomain ko hum bina naya domain purchase kiye huye create kar sakte hai. Subdomain Main Domain ka Ek Hissa Hota hai. Jo website ke ek alag part ko navigate karta hai. Ex-
- billi4you.com = Main Domain
- shop.billi4you.com = Sub Domain
Subdomain
Yahan par shop. main domain or main website ke Shop wale part ko indicate kar rha hai. Slop. ki jagah Store. | In. | Hindi. kuch bhi ho sakta hai.
Sub-domain ki zaroorat kyu parti hai?
Sub-domain ki zaroorat hame apne website ke content lo alag alag define karne ke liye parta hai. Agar ek website apne content ko bahut saare languages me publish karti hai to aisa karne ke liye sub-domain create karna ek best option hai.
Example ke liye maan lijye hamare pass hamari website- www.billi4you.in hai, hum ne wordpress section ke liye apne site ka sub-domain create kiya hai www.wordpress.billi4you.in jispe hum wordpress se related content publish karte hai.
Agar hum subdomain create kiye bina apn eek hi site pe sabhi content ko dalte hai to ye hamare website ke load ko increase kar deta hai. Is liye sub-domain create karna ek accha idea hai.
How to create sub-domain
Sub-domain create karne ke liye aapko apne wordpress ke cPanel me jana hoga. cPanel me aapko domain section me jakar sub-domain ke option pe clcik karna hoga.
Apke samne ek page open hoga jisme aapko subdomain enter karna hoga. Hum ap yahan pe sub-domain wordpress enter kiya hai. Aap jo bhi enter karna chhate hai wo enter kare aur create pe click kare.
Ab aapka sub-domain web hosting pe cpanel me create kar diya jayega.
Aapka naya sub-domain create ho gay hai. Ab aapko domain ki DNS setting me ja kar new A record ko add karna hoga. Man lijye jaise yahan pe humne wordpress.wpseekho.com sub-domain create kiya hai. To hame apne DNS setting me ja kar ek new A record set karna hoga jiska name hoga wordpress. Is Arecord ko aapko apne hosyting ke hi IP address pe point kar dena hoga. Ab aapka subdomain action ke liye tayyar hai.
Umeed hai ye How to create sub-domain aapke liye helpful hoga.